# 1

190 28 22
                                    

Maa...

Wo mri badsuluki pe bhi mujhe dua deti
Agosh me leke har gham bhula deti hai...
Aesa lagta hai jannat se aa rahi hai khushbu
Jab wo apne anchal se hawa deti hai....
Anjane me agar ho jaye koi ghalti
To wo usko bhi muskurakar taal deti hai....
Kitni bhi takleef se guzar jaye wo
Lekin wo phle hame dawa deti hai....
Duniya se hame kitni bhi thokar mil jaye
Uski eK thapki har aziyat bhula deti hai....
Jaan se pyari wo hasti
Jab na ho To uski duaen chaon deti hai...
Jiske hone p uski ahmiyat ni pta lagti
Na ho to duniya veeran kar deti hai....
Kitna anokha hai ye maa ka rishta
Wo sath hai to duniya ko jannat bana deti hai.....
Maa k bad mera kon sahara hai
Ye soch Hi kabhi bhi rula deti hai....


Support it 🙏🙏💓
Click ⭐to vote this poetry

baap

Azeeztar rakhta hai wo mujhe apni rage jaan se
Ha ye bat sach hai k mera baap kam ni meri Maa se....
Judi hai uski har ek han meri han se,
khun paseena baha rahe hai hamari har khwahish ka dhyan lea.,
Han ye bat sach hai k mera baap kam nahi meri mAa se...
Wo mujhe soye hue dekhta hai g bhar k
Hamare bina har sapne hai uske veeran se...
Zimmedaariyo se jhuK rahe hai kandhe us insan ke,
Par nahi jati uske hotho se wo shafqat bhari muskan bhi,
Han ye bat sach hai k mera baap kam nahi meri Maa se...
Hamare ek ansu se tadap uthta hai dil unka
Kese saup deta hai wo apni jaan kisi or ke hath me,
Han ye bat sach hai k mera baap kam nahi meri mAa se........

⭐click....

Night Thoughts...❤️Where stories live. Discover now