chapter-3 (We are strangers)

35 0 0
                                    

Alia's POV,

Uski sakal jaise he dekha meine mein kuch bol nhi paayi naa he kuch samajh paayi. Sab kuch achanak se jaise maano badal gaya ho. Tabhi chachi ki awaaz sunayi di,' alia yahan aa k baith jaa beta'. Or mera haath pakad k bithaane le gayi. Tabhi achanak mujhe hosh aaya ki sab mujhe he dekh rahe the or mein sirf uski sakal pe.

Papa or uske papa baat kr rahe the. Tabhi uski mummy ne kaha bahat sundar hai apki alia. Hume iss rishte se koi sikayat nhi. Tabhi uske papa bole ki hume ye rishta manjoor hai aap kaa kya khayal hai. Mere papa ki khushi unke chehre pe saaf dikh rahi thi. Papa bole jab apko koi sikayat nhi to hume bhala kya sikayat ho sakti hai. Tab mujhe ek dum se laga kya harr baar ki tarah mujhse koi nhi puchega. Dadaji ne v kuch nhi kaha. Mein samajh nhi paa rahi thi ki ye sab kya ho raha hai. Tabhi meine Ayush ki taraf dekha. Oh! Hnn mein to uska naam btana he bhul gayi thi. Uska naam Ayush hai or mein usse pehle se kaise jaanti hun ye aap logg jaldi he jaan jaoge. Ayush k chehre pe koi expression nhi thaa wo ek dum chup baitha thaa. Or hnn Ayush uske ghar kaa eklauta beta thaa. Or wo logg kaafi jyada ameer the or mein ye samajh nhi paa rahi thi ki unko hamse rishta kyun jodna thaa. Dekhte he dekhte kaafi time beet chuka thaa baat chitt mein or wo logg to sagai ki v puri tayaari kr k aaye the. Maa ne mere haath mein anguthi thamayi or usne mera haath maanga or anguthi pehna diya. Meri to duniya he badal gayi thi. Aab mein officially engaged thi matlab ki mein officially Ayush ki ho chuki thi. Or saadi kaa date 4 dinn k baad kaa thaa. Kisi bhayanak sapne se kam nhi thaa ye sab. Mein mann mein ye soch rahi thi ki kaash ki ye dinn mere life mein kabhi nhi aata. Mein apne gharwalon se sirf ye sawaal krna chahti thi ki kya mere se puchna v jaruri nhi thaa??!!.

Sabne khaana khaya or saadi k baare mein discuss kiya or wo logg chal diye. Unke jaate he meine apne papa se puccha, bas ek baar mere se puch lete?!! . Unhone namm aankhon se mujhe dekha or kaha ki "aab ussi ghar se teri kismat judd gayi hai beta. Tu wahan khush rehna". Or wo wahan se chal diye.
Mein naa he kuch samajh paa rahi thi naa mujhe koi samjha raha tha.!!

Authors note,
Dear readers hope you are enjoying reading this. Please do tell me what you think about what is going on in alia's family and her life.
Next chapter is coming soon stay tuned.
Do here the song while reading the chapter in the media box on the top of the page to relate to the feelings of alia.💔

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Jun 26, 2020 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Love beyond everythingWhere stories live. Discover now