Last Part

552 69 21
                                    

Ek hafta ho chuka tha use gaye huye.Yeh ghar itna suna suna sa kyun lag raha tha? Pehle bhi to yeh ghar aise hi tha.Bari maa to yaha kabhi kabhi aati thi.Woh akela hi to raha hay humesha phir kyun yeh ghar aisa lag raha tha?Ab jab bhi der raat ko uski neend khulta tha to koi uske taraf dekh nehi raha hota.Woh couch ab khali tha.Woh use miss kar raha tha.Kab tumne mujhe apni adhi bana diya tha mujhe khabar hi nehi huya.Jab bhi may ghar laut ti hu mere aakhe tumhe kyun dhundta rehta hay?

Ek hafte say Shehnaaz apne ghar laut chuki thi.Uske aakhe aab bhi surkh lag rahe the jese kuch der pehle bhi royi ho.Woh office bhi nehi gayi thi.Na hi use jaana tha.Sidharth kay samne woh ab kabhi na jaye to behtar hoga.In ek hafte may use har pal yehi laga tha ki na jane kab woh Divorce paper bheje ga. Phir usdin jab Sid nay use ghar bulaya to use iss baat ka yakin tha ki usne divorce paper sign karne hi use bulaya hoga.

Divorce ka to use yaad bhi nehi tha.Woh to iss baat ko bhul hi gaya tha.Magar usdin Laywer nay Shehnaaz ko ghar bulake undoke samne Bari maa ki will parha tha.Bari maa ki hi khwahish tha ki Will undono kay moujudgi may parha jaye.Thik usi waqt Natasha na jane kaha say aa pohchi thi jissne lawyer ki sari baate sunli thi.

Unke sare jaydad ki 50% owner Sidharth tha aur baaki 50% ka Bari maa.Unki koi aulad nehi tha to jahir si baat hay sab Sid ko hi milne wala tha.Magar Bari maa ki will anusar yeh saari jaydad jinnke woh maalik thi woh Sidharth kahi hi hoga Par agar kabhi usne Shehnaaz ko ya Shehnaaz nay usko divorcee diya ya phir Shehnaaz kay sath shadi rehte huye usne kisi or say shadi karliya to iss  property ka Adha hissa Shehnaaz ko aur baki
adha hissa trust kay naam chala jayega.Woh dono yeh sab sunke shock may the.Magar Sidharth jab laywer ko bahar chorne jaa raha tha tab Natasha Shehnaaz kay samne gusse may aa khari huyi aur use ek zordar tamacha maari.Shehnaaz apni gaal pay haath lagaye khari ro rahi thi.

Natasha:Wow what a player you are!Yehi karti rahi tum itne dino say hai na?Tumhari nazar yeh sari jaydad pe tha na?Tabhi Baari maa ki samne masoom bholi bhali hone ka acting karti rahi taaki in sab ki malik ban sako.
Shehnaaz:Nehi yeh sab jhoot hay.Maine yeh sab nehi kiya.Mujhe iss bareme kuch bhi nehi pata.
Natasha:Jhoot!May jhoot keh rahi hu?Tum jaise larkio ka mujhe achchi tarha pata hay.
Paise kay liye tum log kisi bhi had say gir sakti ho.Ab Sidharth ko phasake uske daulat hatiana chahte ho haina?
Shehnaaz:Aisa nehi hay mera yakin karo may use divorce day dunga.May tum dono ki bich nehi aaun..
Natasha:Divorce to tum do gay hi.After all ussay bhi tumhe achcha khasa hissa mill jayega na aur Phir koi naya bakra phasane nikal jaoge.
Shehnaaz:Nehi hu may aisi.Mujhe kuch nehi chahiye mere bareme tum aise ghinona ilzaam mat lagao.
Natasha:Tum jaisi larkio ka koi kirdaar bhi hota hay.Jo paise kay liye kisise contract
marriage karke ko raazi ho jaye woh paise kay liye ab tak kya kuch kar chuki hay aur aage kya kuch kar sakti uska mujhe achche say malum hay.
Shehnaaz ab waha ek pal nehi ruk sakti thi. Waha say bahar nikalta huya Sidharth nay uski roti huyi aakho ko dekh yeh samajh chuka tha ki zarur Natasha nay use kuch kaha hay kyun ki Natasha ki chikhne ki awaz bahar tak aa rahe the.Shehnaaz chali gayi thi jab Sid nay Natasha say pucha
Sid:Kya kaha tumne usse?
Natasha:Use uska aukad yaad dila diya hay bass.Tum iss lalchi larki ki chakkar may kaise phas gaye Sidharth?
Sid:Shut up.Just shut up.Khabardar jo tumne uske bare ek aur bakwaas kiya.Tumhe maine kaha tha na ki may tumse nehi millna chahta.
Phir kyun aayi ho yaha?
Natasha:Tum uss larki kay liye mujhe bate suna rahe ho?
Sid:Izzat say naam lo uska.Biwi hay woh meri.
Natasha:Biwi my foot.Tum apne property bachane kay liye yeh sab keh rahe ho haina?
Sid:May tumhe koi bhi jawab dene ka paband nehi hu.Just leave from hear.May tumhari shakal nehi chahta.
Natasha:Sidharth..
Sid:I said leave.Itne jillat kay baad Natasha ka waha ruqne ka koi wajah nehi banta tha. Uski jaane kay baad Sidharth apne room may aa gaya tha.Qamray ki dewaar may abhi bhi Shehnaaz aur uske photo laga huya tha jo unhone shadi ki din khichwayi thi.Usne apne jeb say woh letter nikala tha jo bari maa ne uske liye lawyer pass chora tha.Woh use kholkar parhne laga tha.

🎉 आपने Safar Abhi Baaki Hay को पढ़ लिया है 🎉
Safar Abhi Baaki Hayजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें