Safar

68 7 2
                                    

Aaj firse kalam uthaya hai humne dkhiye ye shabd koun si kahani bunte hai....

Wo aankhein jinme bht sare sapne the, bht si unkahi kahaniya thi, wo udna chahti thi, aasman ko chuna chahti thi bus rukna nhi chahti thi. Un dino lucknow ke khafi pratishthit vishwavidyala mein fashion designer mein adhyapak ki khoj zoro se thi thi, unhone akhbar mein ye khabar chapwai thi, tamanna ye khabr padh ke ess trh jhoom uthi jaise mano baarish dekh ke morr jhoom uthe bus fir kya usne turnt waha avedan de diya or ek hi hafte baad usse waha se joining letter bhi aagya. Tamanna usse padh hi rahi thi ki tb tk darwaze pe dastak huyi usne jaise hi darwaza khola th uska shohar meethai ke dabbe ke sath khada tha or ek khushkhabri btane ko bechain sa tha, usne tamanna ko bahon mein bharkar btaya ki usko naukri mein padonnati mili hai or lucknow ke branch mein bator manager ki post di gyi hai ye baat sunkr tamanna ki khushi mano dugni ho gyi, usne bhi aapne naukri ke bare mein shoaib ko btaya or essi khushi mein shoaib ne ussi shaam tamanna ki khushi mein sharikh hokr uske liye ek bht hi behtareen davat ka aayojan kiya or dono do din baad kanpur se lucknow ke liye nikal gye..vishwavidyala jaatein hi tamanna ki takraar ek ladke se hogyi..tamanna ne usse zameen pr uss trh girra dekh hasne lgi or tamanna ki uss khilkhilati huyi hassi ko dekh wo ladka bus usse dekhta reh gya or kuch hi der baad tamanna ko pta chla ki wo ladka koi student nhi balki dance ke sir hai or unki bhi posting kal hi huyi hai or unka naam alok hai, ye baat jann kar tamanna thori hichkicha si gyi pr kuch hi dino mein wo bht ache dost bann gye the, wo roz college ke baad sath coffee pine jaaya krte the weekend mein movie ya kuch dosto ke sath ghumne ka plan ban jata tha, tamanna ko ess trh khush dkh shoaib bhi bht khush tha wo usse prerit bhi krta tha ki essi trh sbse ghule mille, insb ke doran tamanna jb tk aapne dil ko smjha pati ya kuch kr pati bht der ho chuki thi, tamanna ki aankhein har waqt alok ko hi khojti thi, yunhi unki mulakat badhti chli gayi, ek din alok ne tamanna ko ek coffee shop pe bulaya kuch zaruri baat krne ke liye, tamanna waha diye huye waqt mein phuch gyi, alok waha phle se hi baitha uska intezar kar rha tha. Tamanna uski pasandeeda rang ki saree phn ke aayi thi, ye dkh alok ki aankhon main alg hi khushi ki chamak thi, bht hi pyar se neeche jhuk ke alok ne tamanna se uska hath manga shaadi ke liye, ye baat sunkr tamanna ke aankhon mein aansu aagye, usne bht hi dabbe awaaz mein alok ko btaya ki wo shaadi shuda hai, ye sunte hi alok muskurate huye waha se chla gya, tamanna palat kr usse rokne hi wali thi ki uski nazar piche table pr pdi or usne shoaib ko dekha, shoaib ne sb kuch sun liya tha or usse gusse mein ghurta uth ke chla gya, tamanna shoaib ke piche piche ghr chli gyi, shoaib ne aapna saman liya or tamanna ko piche chor hmesha ke liye waha se chla gya, dusre din tamanna ne kisi trh khud ko sambhala or vishwavidyala ke liye nikl gyi ye soch mein ki alok se milke baat kr ske or shoaib or aapne alg hone ki khabr de ske pr usse kya pta ki uski zindgi mein kuch alg ki mod aane wala tha ya yu kahein ki zindagi ne tamanna ke liye kuch alg hi soch rakha tha, tamanna waha phochte hi alok ko khojne lagi tbhi uski mulakat ek sir se huyi or unhone ne usse btaya ki alok ne aapna eestifa kal hi de diya, ye sunkr tamanna ko vishwas naa hua or wah tutt si gyi..wo roz alok ko uske ghr ke pate mein chitti likha krti thi pr ek bhi chitti ka jawab kbhi usse wapas na mila.

wo zindagi ke ess modd pr aakeli reh gyi thi...pr insab mein galti kiski thi??? Shoab ki?? Jisne tamanna ko kbhi roka nhi, Alok ki?? jisne tamanna ko itna chhaha, tamanna ki? Jisne zindagi ko phli baar ess trh jiya, wo sb kuch kiya jo wo hmesha se karna chahti thi pr phle kbhi kr naa paayi.. ya fir halat ki? jisne in teeno ki zindagi ko ess modd par lakar khada kar diya.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Sep 08, 2020 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

SafarWhere stories live. Discover now