Mrs.Zayan Ali Khan

746 52 10
                                    


"Qabool Hai"

"Qabool Hai"

"Qabool Hai"

Zayan keliye Yeh teen lafz Bolna bohat Asan tha kiunke Shayad Woh Janay anjanay mein mohabbat Kar betha tha Zimal se Lekin Zimal keliye Yeh teen lafz Bolna kisi mahaz se kam na tha uska dil kiya woh bhag jaye Yahan se jab Qazi ne musalsal teesri dafa phoocha Toh usne akhir Kar apni Zindagi Ki dor Zayan Ke hath mein de hi Di

"Qabool Hai"

Zayan Dada Jan Ke kamray mein tha Jabkay Zimal Shahana begum kesath thi

"Dekho beta mein tumhein yaqeen dilati Hun tumharay Mama baba se mein bat karoongi mein khud bhi kabhi nahi chahti thi Ke Yeh sab itna jaldi ho Lekin umeed Hai tum Meri majboori samajh Sako Rahi bat Zayan ki Toh Woh tumhein bohat Khush rakhay Ga" Shahana begum Zimal ka hath Apne hath mein lekar boli

Zimal Yeh bat sun kar achanak se boli "Sirf Nikkah keliye han ki Hai mein ne Rukhsati Meri Marzi se hogi mein Mama baba ko Abhi Kuch nahi bataon gi umeed Hai ap Meri majboori bhi samjh sakein gi"
Yeh keh kar Zimal pheechay muri toh Zayan ko darwazy mein khara paya Jo Yeh sari Batein sun raha tha Zimal usko Nazar Andaz karke kamray se Bahar Nikal Gayi Zayan uske pheechay Aya

"Mein tumhein Ghar drop kardeta hun" Zayan uske pheechay chaltay huay bola

"G nahi bohat shukriya"

"Mein phooch nahi Raha Bata Raha Hun Betho Gari mein" Zayan apni pur Waqar awaz mein bola

************************************

Agli subah Zimal ki ankh fajar ki azan kesath hi khuli thi Woh bistar se uthi wuzu Kiya Aur jaye namaz par Khari hogayi Namaz parh Kar usne dua keliye hath uthaye.

"Allah Mian Meri Zindagi itni Mushkil kiun hogayi Hai Ya Allah mere liye sab Asan kardein mein Mein nahi chahti Mama baba mujhse naraz hon"

Jaye namaz fold karke Woh bed par bethi jab uska phone Baja Ek Aur unknown number usne call uthayi

"Salam Mrs.Zayan Ali Khan"
Phone ki dusri janib se kisi shakhs ki awaz ayi Yeh awaz usne pehle Kabhi nahi Suni thi

"Ap Kon"

"Arrey mere baray mein itni investigation karwayi Hai ap ne Aur apko Mera hi nahi Pata very bad"

"Kya Matlab" Zimal ki kashmakash barhti jarahi thi

"Mein Ghaziyan Wali Hun Aur apko Mera qarz ada karna Hoga issliye phone Kiya Hai apko"

Zimal Ke mathay par paseena ana shuru hua larazti hui awaz kesath usne bola "Kesa qarz"

"Wahi qarz Jo Nisha nahi ada karsaki
aur uski qareebi dost honay ki waja se ab apko ada karna hoga baqi details agli guftugo mein bataonga Allah Hafiz"

Zimal ussi Tarah phone ko dekhti rahi kesa qarz konsa qarz akhir yeh kya qarz tha jo Nisha ki Jan lenay Ke bad bhi poora nahi hua.

************************************

Zimal ne phone khola Toh Zayan ka message Aya tha

Zayan: Bahar khara Hun neechay ajao

Zimal ne foran khirki se neechay dekha Woh wahin khara tha Ghar Ke samnay hamesha ki tarah long coat mein malboos Aur intehayi charismatic
Usne apni shawl pehni Aur neechay agayi

"Itni subah subah kheriyat"
Zimal uske bilkul samnay akar boli

"Ab agar Yeh kahoon ga Ke apni biwi se milnay keliye betaab hoaraha tha Toh tum Kahin kharay kharay bezati na kardo issliye khamosh rehna hi behtar hai" Woh Ek halki si muskurahat kesath bola

"Very nice joke" Zimal baghair kisi tasur ke boli

"Chalo dada jan Yad Kar rahay hain tumhein"

"Aisay nahi asakti mein mama baba Toh Abhi jagay bhi nahi mein dopehar mein ajaongi Zayan"
Woh apnay bikharatay huay bal pheechay karke boli Zayan uski Har Ek harkat ko notice Kar Raha tha.

"Theek Hai Phir dopeher mein miltay hain" Zayan apni black glasses pehen Kar bola Aur Gari mein Beth gaya
Zimal usse Jata Dekh Kar Kuch khafa si hui jesay Woh uske Sath Jana chahti ho Yeh Nikkah ka asar tha Shayad usne Dil hi Dil Mein socha Aur Phir Andar chali gayi.

Zimal ko Ghaziyan Wali ki call Yad agayi usne socha Ke ussay Zayan ko Bata dena chahiye Lekin iss khyal ko bhi jald Tark kardiya Aur apnay liye coffee bananay lagi Aur Sath hi Facebook bhi scroll Karti Rahi usne search bar mein Ek nam type Kiya
Zayan Ali Khan Aur ussay uski profile milgayi profile picture par Zayan ki Sultan Ahmet Mosque Ke samnay ki Ek picture thi iss pic mein bhi usne ek  black shirt par long black coat pehna hua tha Aur hath mein umbrella Woh uss tasweer ko dekhti hi Rahi Woh Yeh janti thi Ke uska shohar acha khasa handsome Hai Lekin Kabhi admit hi nahi Kiya Lekin uski ankhein hamesha Yeh admit karleti thi Zimal ne uske getup se Yeh bhi andaza Laga Liya Ke Zayan ko long coats se behad Pyar hai , Zimal ne baghair mazeed kuch sochay samjhay friend request bhej di usne aisa kiun kiya Woh khud bhi nahi janti thi Woh Abhi Tak yeh bhi nahi janti thi ke Woh uss rishtay ko dil se qabool kar bhi chuki thi ya nahi aur uske qabool karnay se zyada uske mama baba Ka reaction zaroori tha.
Usnay apni coffee ka akhri sip Liya Aur apnay kamray ki taraf chali gayi.



Usnay apni coffee ka akhri sip Liya Aur apnay kamray ki taraf chali gayi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


************************************

Jo Gham Tha Woh Sham Ki Barish Mein Beh GayaWhere stories live. Discover now