Ye kahani aik larki ki hai jo Lahore shehar mein apni walida ke sath aik karaye ke makaan mein rahaish pazeer thi
Baap ka saya sar se chintay hi jaisay
Wo zindagi jeena bhool chuki thi
Adhuri parhai ke baais usay kisi daftar mein kaam milna namumkin tha tabhi woh aik private idaray mein mamooli thankhowa par nursery class ko parha rahi thi
Uski walida logon ke kapray siya karti theen٭ek din us ke ghar uskay SASURAL walon ki aamad hui jinhein dekhte hi woh kamray mein qaid ho gayi uski walida ko us ke iss ghair ikhlaqi rawaiye ne un ke samnay khasa sharminda karwaya tha
har mahinay ki 10 tareekh ko woh unhen un ke kiye waday yaad dilanay aur apni maheman nawazi ka Sharf bakhsnay chalay atay
Unki be sharmi aur apni maa ki be basi hamesha usaka dil jalaya karti thi yeh rishta uski walida ko apni aik Aziza ke tawasut se mila tha aur usay aakhri sahara samajte hue unhon ne qubool kar liya rishta teh hotay hi unhon ne theek thaak jahez ki demand ki thi aur us ke mana karne par bhi uski walida raazi ho gayeen
Apni walida ki majboori be basi to woh hamesha se dekhatii aayi thi
aisay waqt mein usay apni nanu yaad aayi theen magar woh to shayad un se bhi ziyada rishton ki zanjeeroon mein qaid theenaisay mushkil ke waqt mein ammi na to –apne bhai ke samnay haath phela sakti theen jinhon ne bachpan mein hi unki beti ka haath maang liya tha aur na hi apni walida se shikayat kar sakti theen jo –apne potay aur nawasi ke rishte ki gawah theen jisay un ke potay ne peeron taley rondte hue inkaar kya tha aur ab woh kahin aur mangni kar chuka tha
Usay uss shakhs ke naam ka sahara dainay walay aaj mun mourr chuke thayاسکی ammi is se hamesha maffi manga karti theen aur woh chup chaap wahan se chali jati iss se ziyada apni maa ke aansuon ka bojh uthana mushkil tha
Uski shadi k din jitnay qareeb aa rahay thay un k guzar basar mae tangi barhti ja rahi thi
School k mayar ko behtar krnay ki khatir uski amarat se le kar staff tak ko badla gaya tha or esi har sheh or shakhs ko farigh kr diya gaay tha joghair zaroori thay or yunhi hoor apni nokri kho chuki thi imtehanat khatam hotay hi bachay tution chor chukay thay
Shadi ki tayarion k bais uski ammi logon k order waqt pe na pohancha sakin or yun unhay bhi nuksan uthana para tha"Mae kal hi ammi ki taraf jati hun.........shyd wohi kuch madad kr dein" Un halaat ne un maa beti ko khud se nazrain milanay k qabil bhi na chora tha
Ghar mae jo khana mojud tha wo sirf do din ka tha us k baad kya hoga wo soch kr hi dar jati thi"Nani ka phone aya tha?" Wo samajh gae thi apni maa k isharay ko
"Tumhara puch rahi thin tab tumhari nokri ka zikr hua tha.............mae ne bohat mana kiya par wo israr krnay lagin k hum dono unse milnay jayein"
"Mae us ghar mae kabhi qadam nahi rakhun gi ammi" wo kesay us ghar ka rukh kr sakti thi jahan uski walidah to kya nani ko bhi koi hesiyat hasil nahi thi
Un k muqabil wahan nokron ko ziyada sharf hasil tha"Hum hamesha ki trhan nani se milnay jayein gay hoor or un k kamray se hi palat ayein gay na kuch khayein gay na piyein gay............"
"Ap unse milna chahti hain to yahan bula lein magar apki bhabhi or bhateeji se samna krna meray liye namumkin hai un k mayar k log nahi hain hum unki nazron mae khud k liye ghin nazar ati hai mujhay"
"Kya tum nani k liye itna nahi kr sakti hoor.........us qaid khanay mae hum maa beti hi unka sahara hain..........hum bhi unse nahi milain gay to wo tanha ho jayein gi"
"Ye unki kamzorian hain ammi jinho ne unhay yun bewuqat kr diya k apnay hi ghar mae qaid ho gaein..............apni bahu jesi ban jatin to aj us ghar mae hamari bhi koi izzat hoti"
YOU ARE READING
Standard(معیار)
RomanceA short story of Hoor who accidentally got married with her cousin Qasim a rich guy Let's see how she faces the standards of the society