RS: raj haseena k record ko deekh k lagta hai she is one of the most intelligent and brilliant student. Aaisay hi heeray humari desh ko buhat unchai tak lay ja saktay hain, tum is kaali ko phool bannay ka mooqa toh do. Isay khilnay say pehlay hi toar dayna Sara ra sar bewakoofi hai. Or yeh funds k paisay Jo haseena jaisay bachon par kharach honay chaheay, un say tumharay ghar walon or rishtadaron ki fees ja rhi hai. Raj tum or tumharay relatives school fees afford kar saktay ho toh phir yeh sab kyun? I am really disappointed. Koi baat nahi beta tum chinta mat karo. Aaj say tumhari parhai ki sari zimadari meri hai.
HM: thank you so much sir.
Singh Mansion:
Kanta yeh sab kiyà hai or yeh khana table par kyun para hai abhi tak. Tum log buhat lazy ho, ek number k nikamay or kamchor ho. Jab tak tum logon say Kaha nahi jaey kuch nahi kartay ho.
Kanta: Didi yeh chotay sahab ka khana hai, unhon nay nahi khaya hai abhi tak.
MS: Anu nay khaya nahi khaya par kyun?
Kanta: Didi chotay sahab ko yeh khana pasand nahi aaya, unhain pasta khana tha shalu di un k liey pasta bana rhi hain.
MS: Anu bhi na khair koi nahi yeh platen yahan say uthao ja k kitchen mei rakho.
Kanta: Didi yeh khana.
MS: is khanay ka kiyà Karna hai dustbin mei dal do isay, waisay bhi bacha hua khana Kaun khaey ga.
RS: mena yeh kiyà keh rhi ho tum. Itna khana waste karo gi, tum aan ki qadar pata bhi hai kitnay ghareeb log hain is desh mei Jo roz bhokay sotay hain, unhain khana naseeb nahi hota or tum is tarha khana barbad kar rhi ho, koi pasta nahi bannay ga , apnay ladlay ko bolo Jo bana hai wahi khaey. Warna bhookay rhy.