hamesha ki tarah us din bhi Raj aur
richa facebook par chat kar
rahe the (Raj aur richa ek dusre
se pyar karte the). par aaj Raj,
richa se kuchh kahna chahta
hai par shayad kah nahi pa raha hai … Richa.. hey Raj: mujhe tumse kuchh bat
karni hai.. Richa : kis baren mein ? Raj: kuchh important bat karni
hai yar Richa: To bolo phir Raj: yar meri kuchh samajh
nahi aa raha hai ki kaise
kahun, par mujhe lagta hai ki
ab main apni relationship mein
break-up chahta hun, main
apni family ke sath kahin aur shift ho raha hun. isliye main
long distance relationship
nahin rakhna chahta ..i m sorry
richa. Richa ne aage kuchh kahe bina
log out kar diya. Raj ko richa se yah sab kahkar
bahut bura lag raha tha. vo bhi
richa se utna hi pyar karta tha
jitna richa usse. Us puri raat vo
thik se so bhi nahi paya aur na
hi richa us rat thik se so payi. shayad isliye hi richa agle din
school bhi nahi aayi thi.. Agle din bhi Richa school nahin
gayi. Vo der tak soti rahi. Jab
vo finally uthi to usne break
fast nahin khaya aur na hi
school gayi. Usne apne kisi bhi
friend ke na to phone ka jawaab diya na hi SMS ka.
Bahut der tak vo apne bed pe
baithi hui saamne ki deewar
ko dekhati rahi. Uske dimag
mein vo sare lamhe ghoom
rahe the jo usne Raj ke sath bitaye the. Aakhir uski rulai
chhoot padi aur vo bahut der
tak roti rahi. Next day vo school gayi aur
seedha sabse aage vali seat par
baith gayi jabki roz vo raj ke
sath peechhe vali seat par
baith karti thi. Raj roz ki tarah
apni peechhe vali seat par hi baitha tha. Din mein kai bar
donon ki nigahein mili par
donon najar chura rahe the.
Donon mein koi bat bhi nahin
hui. Next day bhi aisa hi hua. Use
agle din bhi aur fir kai dinon
tak yahi silsila chalta rahaa. Raj abhi bhi richa se pyar karta
tha. Uske liye bhi ek ek din
bina Richa se bat kiye gujaarna
mushkil ho raha tha. Aakhir ek
din usne sham ko Richa ka
number dial kiya. Jaise hi Richa ne phone uthaya raj ne kaha –
“Richa I am sorry. Main
tumhare bina nahin rah sakta.
Main apne parents se kah ke
vapas tumhare ghar ke pas koi
karma le lunga ya fir hostel mein rah lunga. I am sorry
Richa, please mujhe maaf kar
do. I love you.” Ye sunte hi
Richa khushi ke mare ro padi.
Rote rote usne kaha, main bhi
bahut pyar karti hun tumse raj, I love you and cannot live
without you.” Bas uske agle hi din raj ne apne
parents ko convince kar liya
aur apna saman le kar hostel
mein rahne ke liye chal diya.
Vo itna khush tha ki jaise
aasman pe ud raha ho. Richa se milne ke khayal mein uski car
ki speed badhti ja rahi thi.
Achanak samne se ek aur car
aayi aur raj ne jaise hi car ko
turn karna chaha , speed ki
vajah se car out of control ho gayi aur ek do teen paltiyan
kha kar sadak se neeche khai
mein ja giri. Raj ne socha, bas,
that’s it, I am going to die. Aur
uski najar ke samne Richa ka
chehra tair gaya. Jab raj ki aankh khuli to usne
dekha ki vo ek aspataal mein
hai. Richa uske sirhaane baithi
hui thi. Raj ko hosh mein aaya
dekh kar Richa ke munh se
nikla – Raj, I love you. Tum mujhe chhod kar nahin ja
sakte. Raj ne dheere se Richa
ka hath pakda aur kaha ki
main kahin nahin ja sakta
tumhare bina. Ye kah kar fir vo
behosh ho gaya. Lekin jo bat raj ko nahin pata
thi ki accident mein uski ek leg
doctors ko katni padi thi uski
jan bachane ke liye kyunki
usmein infection ho gaya tha. Agle din jab raj ki aankh khuli
to usne kuchh der tak Richa se
batein ki. Raj Richa se bat
karke bahut khush tha. Tabhi
uski najar apne pairon ki taraf
gai aur uski cheekh nikal gai. Usne dekha ki uska ek pair
ghutne se neeche kata hua hai.
Dard aur dukh ki vajah se vo fir
behosh ho gaya. Richa ne is beech usse milne
aana chhod diya. Raj ko bahut
dukh hua. Use laga ki shayad
ab Richa usse pyaar nahin karti
kyunki vo ek apahij ban
chukka tha aur Richa apni baki jindagi ek apahij ke sath nahin
gujarna chahti hogi. Use dukh to bahut hua lekin
dheere dheere raj apne is dukh
aur apni halat ko samajh gaya
aur usne apne haalaat se
samjhauta kar liya. Kareeb do mahine bad Raj
apne parents ke sath hospital
se baahar aaya. Uske hathon
mein baisakhiyan thi aur vo
bade dhire dhire kadmon se
chal kar baahar aaya. Baahar aakar usne jo dekha
usse uski aankhon se aansuon
ki bearish bah nikli. Saamne Richa haath mein
fulon ka guldasta aur ek kagaj
liye khadi thi jispe likha tha –
Raj, agar tum mujhe apni
jindagi mein tumhara sahara
banne ka mauka do to ye meri jindagi ki sabse badi khushi
hogi. Raj ke parents ki aankhon
mein bhi pani bhar aaya. This is story of true love and sacrifice for love.