Sak_anya

Purvaaiyon ka jhokha, 
          	ye baarish ki boondein 
          	bheeni mitti ki khushboo… 
          	aur tumhare baahon ki garmahat 
          	har cheez tumhari yaad laati hai. 
          	
          	Kehte ho tum, 
          	hoon main tumhare 'Syaahi-raat ka chaand', 
          	aur tum mere purv ke taare 
          	andhiyaara gehraate hi dil tumko pukare. 
          	ho paas, par phir bhi jaise 
          	nadiyon ke do kinaare. 
          	
          	Keh do na… 
          	ki tumko bhi mohabbat hai humse, 
          	kar do izhaar ki tumko bhi hai pyaar. 
          	Main lad jaungi is duniya se, 
          	bas ek tumhara saath paane ko 
          	par tum ho… jo chup reh kar 
          	apne jazbaat mujhse hi chhupa lete 
          	
          	Aur main Shona… 
          	intezaar mein hi ghulti jaa rahi hoon, 
          	thak chuki hain aankhen.... 
          	Na jaane sapne kabhi honge pure 
          	ya bikhar jayenge 
          	meri tarah......... 
          	
          	Ek ishara kar do....
          	O mere mehboob 
          	Main ho jaungi, 
          	iss duniya se judaa hoke… 
          	Sirf tumhari.
          	
          	
          	Navikew
          	@Sak_anya ❤️

Sak_anya

@Roses_Shweta Itna bhi bura nhi tha*haha*
Reply

Roses_Shweta

@Sak_anya vo option to tha hi bekar sa 
Reply

Sak_anya

@Roses_Shweta hnn, aur dm wala option bhi hata diya
Reply

Sak_anya

Purvaaiyon ka jhokha, 
          ye baarish ki boondein 
          bheeni mitti ki khushboo… 
          aur tumhare baahon ki garmahat 
          har cheez tumhari yaad laati hai. 
          
          Kehte ho tum, 
          hoon main tumhare 'Syaahi-raat ka chaand', 
          aur tum mere purv ke taare 
          andhiyaara gehraate hi dil tumko pukare. 
          ho paas, par phir bhi jaise 
          nadiyon ke do kinaare. 
          
          Keh do na… 
          ki tumko bhi mohabbat hai humse, 
          kar do izhaar ki tumko bhi hai pyaar. 
          Main lad jaungi is duniya se, 
          bas ek tumhara saath paane ko 
          par tum ho… jo chup reh kar 
          apne jazbaat mujhse hi chhupa lete 
          
          Aur main Shona… 
          intezaar mein hi ghulti jaa rahi hoon, 
          thak chuki hain aankhen.... 
          Na jaane sapne kabhi honge pure 
          ya bikhar jayenge 
          meri tarah......... 
          
          Ek ishara kar do....
          O mere mehboob 
          Main ho jaungi, 
          iss duniya se judaa hoke… 
          Sirf tumhari.
          
          
          Navikew
          @Sak_anya ❤️

Sak_anya

@Roses_Shweta Itna bhi bura nhi tha*haha*
Reply

Roses_Shweta

@Sak_anya vo option to tha hi bekar sa 
Reply

Sak_anya

@Roses_Shweta hnn, aur dm wala option bhi hata diya
Reply

Sak_anya

✿⁠❃✮Chaand dekhti hu to jaise tera didaar ho jata hai.. 
          Purvaiya bhi chale to tera aabhaas ho jata hai
          Yun dekhti rahti hu hamare un tasveeron ko ektak
          Aur fir tumse ek baar aur pyaar ho jata hai♡♡

Sak_anya

          
          Kuchh kahu to bura to na maanoge
          Kar diya koi galti, to kya daantoge? 
          Kya aise hi hamesha hath mera thamoge
          Tumsa priya koi aur nhi, par ruth gayi mai agar to.. 
          Kya pyaar se mujhe manaoge? 
          
          
                                                          Tumhari chhotki/Princess
                                                                       Bubble
          
          
          
          
          
          

OwenFlavia

@Sak_anya woow dr that was so nice.... I belive that he will like it❤️
Reply

N_Sanya