Wo bas ek nazar uthaakar mujhe dekhta hai, phir dheeme swar mein kehta hai,
"tum kaafi badal gayi ho... lekin tumhare andar ka wo darr, wo ab bhi waisa hi hai."
Uski yeh baat teer ki tarah mere seene mein chubh jaati hai. Main gehri saans lekar boli,
"aur tumhe aisa kyon lagta hai ki main tum jaise insaan se darr rahi hoon?"