@Kareena_inspiration hum samjh sakte hai. Thodi misunderstanding ho gayi thi.
Aur humare maan me haseena ji ke vyaktitva ke parti jo samman hai uski vyakhya sabdo me kar apna humare bas me nahi hai. Aur jesa ki KS ne kaha tha ki haseena malik keval ek naam matr nahi hai balki yah ek soch hai, bas hum usi se kafi parbhavit hain.
Aur jaha tak baat hai kisi bhi ladki ke bare me ki vo apne niji jiwan me kya karti hai kya nahi , en baato par unhe judge karne ka adhikar bilkul nahi hai aur na hi kabhi hum aesa kuch karte hai, hum kisi stree ka apman kabhi nahi kar sakte humare bhi jiwan ek yuvati rah chuki hai jinke jane ke baad humne ye samjha ki striyan sab chijo me samjhota kar sakti hai kintu apne aatmsammaan ka samjhota kabhi nahi kar sakti. Aur thik aesa hi haseena Malika ka character hai.
Hum bas yuhi thodi masti kar rahe the bhai ke sath aur kuch nahi.