Use bhi to pata hi hoga,
Ke maine khud ko bhula kar
ussse pyaar kiya..
Uske khafa hone par
hazar baar bina soche
use Kareeb laane ki koshish ki,
kuch na hua to uska intezaar kiya.
( Baawajud iske ke vo tab bhi nahin mani-
Dheet thi na)
Use bhi pta hi hoga
ke dard mein
aankhein nam hui meri
jab bhi mujhe usse door jaane ka
khyal aaya.
Kehte hain log hunste hunste rone laga main,
Mehsoos kiya vo ehsaas maine jab
kuch comedy sa dekhte hue bhi
apni aankhon ko maine nam paya.
Soncha bata doon
pass hi baithi apni maan ko
Apna haal
par vo jo khud itni pareshan thi mujhe lekar
uska thaka hua chehra dekh ke
jo harton se nhn soi thi mere liye,
Main kuch keh nahin paya.
Sab thik ho jayega sonch kar
Maine kisi tarha khud ko samjhaya
aur jab main lauta
to us yaadon ke ghar mein
khalipan ke alawa kuch nahin paya.
Use bhi to pata hi hoga,
is baat ne mujhe kitna rulaya.
vo khush h aise ya nahin kya maloom
par uski khamoshi ne mera bohot dil dukhaya.