"Meri kahaani ko apna noor dene waali
Meri dua hai, tujhe mohabbat me khuda mile
Hum dobara mile ya na mile
Magar tujhe jab bhi ishq mile, woh javeda mile."
-Amandeep Singh
Kaafi dino se yeh puchna chahta tha
Magar na jaane kyu
Tumhari palke uthte hi meri khud b khud jhuk jati hai
Ha ha janta hu baat toh sar jhukaye bhi keh sakta tha
Par kya karu yeh aawaz mere alfaaz sath liye jaane kaha chup jati hai
Aaj thodi si himmat ki maine
Bus ki ticket laya hu
Lekin iss baar Ghar akela nahi Jana chahta
Toh ek aur laya hu
Tum chalogi kya?
Mai subah ki pehli elaichi chai tumhare sath peena chahta hu
Mai Kashi ki galiyon mein tumhe hasta hua dekhna chahta hu
Sham ko manikarnika or tum.. dono ko sunheri chaav mein dhalta dekhna chahta hu
Ghat par bethke bas tumhe niharna chahta hu
Mai tumhare sath mere sheher jana chahta hu
Sundar sheher hai mera
Lekin usme khubsurat sirf tum lagogi
Acha suno toh sahi..
Mere sath kashi chalogi?
.
.
.
.
I feel like.. a newbie. Like writing something for the first time.. feels weird.
Jaane kabse mai Banaras likhna chahta hoon.
Kabhi likh toh nahi paya lekin haa koi heer ke liye khat likh rha tha.. mene thoda sa Banaras padh liya ❤️
Those who understand Hindi and listen to audio poetry, you can check out this..
https://youtube.com/playlist?list=PLSbkAIXTsrRjHWOtCEvC7hwIMZ3dtptUB