Inn vaadiyon mein pehle bhi baha tha khoon,
Tab bhi Maa ne apne laal khoye the.
Woh Fauzi the, Farz pe qurbaan hue the,
Aaj bhi khoon baha hai, par naam alag hai, dard wahi hai.
Tab bhi ghar ujde the,
Aaj bhi ujad rahe hain.
Maa tab bhi royi thi…
Aur Maa aaj bhi ro rahi hai.
Tab maa ne vadiyoon ko mehfoos karte hue apna laal ko khoya,
Aaj maa ne vadiyoon ko nihaarte apne laal ko khoya
Farq nahi hai… dard wahi hai
Band karo ye sab roo ta hai Maa ka Dil
Mat karo mujhe laal mere laal ke laal rang se Kehta hai uska Dil
#KritikasMusings