nuktachiin
nutq-e-zabaañ gar hota mujh ko puuchhtaa maiñ taqsiir mirii
haañ ye magar do aankheiñ haiñ so in se ashk-fishaanii hai
– Mushafi
nuktachiin
dahr hai khuftaa-o-aashuftaa-o-aazurdaa-o-gham-diidaa-o-naashaad-o-zabuuñ-haal-o-tabaah
haañ uthh nargis-e-makhmuur-o-gahr-guhar-taab-o-junuuñ-khez ki hai mahbas-e-mai-khaana-o-zindaan-e-bahaar
– Josh Malihabadi
•
Reply
nuktachiin
kabhii to subh tire kunj-e-lab se ho aaghaaz
kabhii to shab sar-e-kaakul se mushk-baar chale
– Faiz
•
Reply
nuktachiin
hava-e-par-fishaanii barq-e-khirman-ha-e-khaatir hai
ba-baal-e-shola-e-betaab hai parvaana-zaar aatish
– Ghalib
•
Reply