CH-1 Naye Saal ki Khushi!

1K 51 26
                                    

Location: Kohli Mansion

Pallavi: Aree aaj bohot jaldi uth gayaa tu? 

Ranbir: Happy New Year Mummy. 

Pallavi: Happy New Year beta.(hugging Ranbir)

Dida: (coughing) Mere gale mein lagta hain kuch chala gaya......

Pallavi: Ek minute rukiye mummyji main abhi pani leke aati hun.

Ranbir: Nahi mummy, iska paani se kuch nahi  hone wala(going near Dida he throws his arms around her ) Happy New Year.

Dida: (smiling) Same to you. 

Ranbir: Ab theek hain na galaa?

Dida: Changa  ho giya hain! hahaha!

Ranbir doesn't laugh. He rather chooses to smile a little. Seeing this Pallavi  approaches him and asks about whether anything undesirable has happened with him.

Pallavi: Kya hua beta? Aajse naya saal shuru hone jaa raha hain....lekin tere chehere ki wo purani chamak nahi dikh rahi hain?

Ranbir: Kuch nahi mummy.

Pallavi: Nahi, kuch to hua hain....mujhe pata hain...har saal tu apne dosto ke saath hota hain,31st ki raat ko, lekin kal tu chhat par tha....wo bhi akele! Aaj bhi .....tere andar wo josh nahi hain, tu dil kholke bol, main kuch nahi kahungi. Tujhe aise dekhke mujhe achha nahi lag rha.

Ranbir: Aap nahi samjhengi.

Pallavi: Main nahi samjhungi? Main nahi samjhi to kaun samjhega.

Ranbir: Koi hain jo samajhta agar main uske paas jaa pata...

Pallavi: mujhe nahi lagta mujhse achha koi samajh sakta hain tujhe.....lekin phir bhi agar tujhe aisa lagta hain....main le jaungi tujhe uske paas , mujhe koi problem hain.

Ranbir: Woh mummy main aapko batana bhool gaya tha Papa aapko bula rahe the, unhe kuch chahiye.

Pallavi: Achha? Main jaake dekhti hun.

Ranbir gives a sigh of relief and heads to Mehra Mansion.

Location: Mehra Mansion

Om jay jagadish hare.....

Swami jai jagadish hare....

 The tune makes its place with the sweet scented garlands giving a wonderful mixture of beauty and devotion, the scented sticks make their so presence, the palms clapping in unison syncing with the euphonious rhythm, spreading delightedness and peace, all around the white walls. Simultaneously waking everyone from the exhaustion of the past, into the light of another 'good morning' there Pragya stands with her mentor, supporter, Baljeet Daadi ......and Mitali Bhabi. Abhi enters the very place followed by Sahana and Reah who couldn't step against from listening all the good. 

Pragya : Aap sab prasaad le lijiye. (Starting from Daadi ) 

Abhi: (to Pragya) Aaj iss prasaad mein kuch alag hi mithaas nahi lag raha hain? 

Pragya: Woh to hoga hi....ghar ki beti, ghar jo aa rahi hain....(looking at Reah) Har din main Sahana aur Reah ke naam ki mithaai deti thi, lekin aaj Sahana aur Reah ke sath Prachi ke naam ki bhi hain na .....to double mithaas to hoga hi! 

Abhi: Phir mujhe do chahiye.

Pragya: Kya?

Abhi: Mithaai!

PRANBIR - DOORI APNEPAN KA !Where stories live. Discover now