Mumbai mein Shetty ka control tha, Saste sone ko bechne ki firak mein baithe Dubai ke Inayat khaleel or Shetty ka beech har vakt jangh chedi rahti thi. In dono ki ladai ke beech main ek tisre ne kadam rakha jiski chappal ka size to chota tha par rasta bahut bada.
Rocky ne vaha logo ke jutte polish karne ka kaam suru kiya, uske saath vaha bahut se ladke the jo sabhi Wasim Bhai naam ke aadmi ke liye kaam karte the. Ek din Wasim Bhai ke naukar ne aakar kha:-
"Sahab, vo sala sindhe bahut tang kar raha hai, aap kaho to usko fatka laga do"
Wasim Bhai," Yeda hai kya, policewale ko kon maarega ? tu maarega? ya ye chillar log maarenge?"
Sabne apni gardane niche kar li, but tabhi rocky ne apna haath khada kiya. Sabki nazre Rocky ki taraf mud gyi.Wasim ne ye dekha aur muskurakar kaha," oh, mard mil gaya sala."
Rocky Sindhe ko dekh raha hota hai, vo galli mein ghumkar logo ke saath batmeezi kar raha tha. Rocky ne dustbin mein se ek bottle uthayi aur seedhe uske sar par fhod di aur vaha se bhag gaya. Sindhe ke saath aaye policewale ko bhi vaha pahuch gaye aur pucha," sir, ye kisne Kiya".
Sindhe ne kaha, "jaldi jao aur uss ladke ko pakdo."
Unke jaane ke baad Rocky ek pole ke peeche se nikal kar bhola," ladka nahi, Rocky naam hai mera Rocky, yaad rahega na," ye kahkar ek aur bottle policewale ke sar par bhaja di. Tabhi baaki policewale bhi vaha agaye aur Rocky ko pakad liya.
*Shetty ke ghar par,
Wasim :- Sahab, maaf kar do, Mera hi ladka tha, maine to majak mein usse kaha tha, aur usne sachme policewale ko maar diya "
Shetty:- Tu tension mat le, maine use police se chudwa liya hai."
Do-tin log Rocky ko lekar aaye jisko policewalo ne peet- peet uske sharir ko khunnam -khun kar diya tha.Wasim:- kyu re, uss policewale ko kyu maara?
Rocky ne ek baar Shetty ki aur dekhkar kaha - Agar kisi ko maroge to police dundegi, agar kisi policewale ko maroge to tum jaisa don dundega.
Paas khade ek chacha ne kaha," Kya chaiye re tere ko?
Rocky ne haafte hue kaha," Duniya".
Uski isi baat se khush hokar Shetty ne use apna bodyguard bana diya aur apni gang mein samil kar liya.Anand Ingalagi kahani ko aage badate hue kahate hai ki, " San 1978 mein Iran aur Afghanistan ki vajah se USA aur Soviet Union mein bhi darar aa gayi, iska asar India par bhi pada. Oil, coffee, steel ke saath saath
Sone ka dam bhi ekdum se aasmaan chuh raha tha par tab tak Suryavardan dusre ki pahuch se bahut dur Nikal chuka tha. Suryavardhan ko ek din dil ka daura padne ke karan KGF mein kaam kar rahe har insaan ki niyat karab hone lagi. Adheera ne Garuda ne par hamla karwaya, par vo chukh gaya. Jab Garuda ne Adheera par hamla karwaya wo nahi chuka.
Mauke ki talash mein baithe Inayat Khaleel ke paas Mumbai mein ghusne ka isse acha mauka nahi tha.
YOU ARE READING
K.G.F Chapter 1 (On Hold)
FanfictionRocky since 1951. We'll start from the very beginning. How Raja Krishnappa Bariya became Rocky?