Chapter 1

3.2K 140 7
                                    

In Mpt

Hm: Ks humne aapko kitni baar samjhaya hai ki apne gusse par kaaboo rakhiye lekin aap manti hi nahi hai. Aaj bhi aapne ek be gunah par haat huta diya

Ks: Ms hum mante hai humse galti hui hai hume usse itna nahi marna chahiye tha lekin vo puri tarah se bhi be gunah nahi tha

Ps: par aakhir mai to ms ko hi aana para na sab thik karne ke liye

Ks: pj hum sab apne tareeke se handle kar lete, hume bas sochne ke liye thoda time chahiye tha, hum vaha on spot the isliye dhuvida mai fase the par ms yaha par aaram se soch samajhkar plan bana kar aati thi. Un par itna pressure nahi tha jitna hum par tha

Hm: ek to aap galti karti hai aur upar se koyi aapki help kare to usme bhi kamiya dhunti hai. Tajurba kehta hai humara jab tak insaan apne gusse ko control kar sake tab tak vo insaan aur jab gussa usse control karne lage tab vo jaanvar ban jaata hai

Ks smiles sarcastically

Ks: aajkal ke zamaane mai to insaan se behtar jaanvar hi hai ms

Hm: Aap hai baat ulti hi kyu bolti hai

As enters

All: Jai hind sir

As: Jai hind....Ks aapki taarif to HQ tak pahunch gayi hai. Aapne ese kisi ko kyu maara

Ks: Sir humara irada galat nahi tha

Hm: Ks aapke irade galat nahi hote lekin aapka tarika humesha galat hota hai

Ks: ms har baar aapke jazbaato se mujhrim thik nahi hote

As: Dekhiye ks hum aapko yahi kahenge ki agar ese hi chalta raha to bohot jald sap pehle ki tarah phir se demote ho jaayengi aur ho sakta hi ki suspend hi ho jaaye

Ks looks on

Ks( being a little emotional, not showing though) : Sorry sir, humari field duty hai hum chalte hai....jai hind

She goes from there 

In the cabin

Hm is sitting stressed

As enters

As: kya hua hj ? Aap ks ko lekar pareshan hai na

Hm: Nahi sir esa kuch nahi hai

As: humse to mat chupaiye

Hm: sir hume unhe daatna accha nahi lagta par hum unke bhale ke liye hi karte hai

As: hum jaante hai hum bhi jo bolte hai vo unke bhale ke liye hi bolte hai

Hm: vo humse bohot naaraz hongi

As: aap chinta mat kariye unhe gussa jhat se charta aur phir jhat se utar jaata hai

Hm smiles 



Maddam Sir Where stories live. Discover now