Waqt

22 15 0
                                    

Khuwab bht se hai aankho me,
Par unn tak pohchane ki manzil,
Bht mushkil hai,
Tanha inn raho par chalte huye,
Kahi na kahi teri kami bhi khalti hai,

Par ab kamzor nahi padna mujhko,
Yeh baat rat rakhi hai,
Nahi karna ab etbaar kisi ka,
Yeh pyaar wafa sab jhuthi hai,
Khuwab bht hai aankho me,
Par unn tak pohchane ki manzil bht mushkil hai,

Toot chuki hu ik baar toh,
Par abhi bhi akele safar tah,
Karne ki himmat baki hai,
Ehsaan bht hai apno ke mujh pe,
Abhi unn ehsaano ki kimat chukana baki hai,
Khuwab bht hai aankho me,
Par unn tak pohchane ki manzil badi mushkil hai,

Jhakham bht se hai dil me,
Tere diye huye,
Par abhi unn jhakhamo ko marham lagane ka waqt nahi hai,
Shikhayate bht hai tujhse,
Par abhi sari baate dohraane ka waqt nahi hai,

Tu khush hai aaj bhi apni duniya me,
Iss baat ki khuda kasam humko khushi bht hai,
Sayad tujhe teri manzil ko paate hue,
Hum dekh na paaye,
Kya kare humare pass waqat ki kami hai,

Khuwab bht hai aankho me,
Par unn tak pohchane manzil bht mushkil hai,
Inkarte rahe hai iss baat ko humesha,
Par sach yahi hai ke muhabbat sirf Maine tujhse hi kari hai.

HINDI POEMSजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें