JAAT

27 14 3
                                    

Log puchate hai mujhse jaat meri,
Kya kahu unse ki kon hu main,
Teri shakho se toota hua,
Ik gumnaam phool hu main,
Lawarish sadhko par udhta hua,
Ik lawarish noor hu main,
Log puchate hai mujhse jaat meri ,
Kya kahu unse ke kon hu main,

Teri nyemat ki nazro karam ke liye,
Bht tarsha hu main,
Tere pass wapish aane ke liye ,
Bht tadpa hu main,
Aye khuda teri ibadat me,
Kuch iss qadar bhikhra hu main,
Ke aaj tak bhi nah simtah hu main,
Log puchate hai mujhse jaat meri,
Kya kahu ke kon hu main,

Teri di gayi hizare-e-dhoop ,
Me jhulsa hu main,
Teri nyemat-e-sham,
Paane ko bht tadpa hu main,
Ab toh apnale ki bht mazaaro se
thukraya gaya hu main,
Tere naam pe had ik dhram me,
Bata gaya hu main ,
Log puchate hai mujhse jaat meri ,
Ab tu hi bata de mere maula,
Ke kon hu main.

HINDI POEMSजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें