Gazal ,,gazal
Haan hayat ....gazal jo abhi ek documentry dekh rhi hoti h ,,orr uss ke importantt point ek register prr note krr rhi hoti h ,,hayat se khthi h
Gazal ,,mai bohut bore ho rhi hoon yrr
Toh hayat koi movie dekh lo
Nhi yrr movie dekhne ka dil nhi krr rha abhi
Toh university ka parh lo
Hadd hoti h gazal ,,mai tmhe kh rhi hoon mai bore ho rhi hoon orr tum keh rhi ho parh lo .....are u in your senses
Hayat ,,mai tm se 3 saal bari hoon ......or tmhe baat krne ke bilkul manners nhi h ,,mai mama ko btau gi
Oyee ,hoyee ....meri pyaari bajjo ,,meri aapa ,,meri behna ,,abb woh Uss ke cheeks prr pyaar kr rhi hoti h .....yeh toh hum behano ki apas ki baat h ,,,hai na ....bhala hum mama ko kyun btaye ge !....meri pyaari bajjo 😘😍💕❤
Acha ,,theek h abb buttering kam karo
Orr bolo kya baat h .....woh abb apna register band krti h orr video pose krr ke ,,chair uss ki taraf krr ke beth jaati h
Hayeeee ,,meri piyari gazal bajjo ,,
Behan ho toh ap ke jaisi ,warna na hi hoAbb bolo bhi hayat ,,kya kehna chah rhi ho
Woh ,,gazal .......
Ek minute mai woh aapi,,bajjo se gazal prr aa gyi thi .. .
or
(gazal uss se toh kya kisi se bhi naraaz nhi hoti thi ,,uss ko shayad naraaz hona hi nhi aata tha
Jabke hayat ko toh bss naraaz hone ka bahaana chahye hota tha )Gazal mjhe na ek baat pta chali h ,,prr mai ager tmhe btau gi toh tm mjhe daanto gi
Mai tmhe kyun daantu gi bhala !!
Nhi tm daanto gi .....pehle waada kro ,ke daanto gi nhi ,,phir mai tmhe woh baat btau gi
Dekho hayat ,harr choti baat pe waadein ,qasmein nhi kha le te .....or agar koi galat baat nhi ho gi toh bhala mai tmhe kyun daantu gi
(Ek toh meri behan bhi na ,,waada krne mai kya masla h , lekin nayi har cheez ko le krr itni sensative ...hushhh)
Toh ....
Toh baat ....
Yeh h ...ke.....
Aj na maine mama ko phone prr baat krte suna ...Bohut buri baat h hayat ,,chup kr kisi ki baatein sun na bohut buri baat h ....Maine tmh.....
Bsssss ,,mjhe pehle hi pta tha .... Mera hi dimaag khraab tha ,jo tmhe btanay lg gyi .....arey bhai ,baat maine btayi nhi orr tmhara lecture pehli hi ....
Jao yrr,,mood hi khraab kr diya h ......woh abb lights off kr ke bed pe lait jaati hOrr gazal ko abhi tk kuch samaj nhi aati ,,,,woh apne kandhe uchka kr phone ki torch light on krti h orr apna register pakar krr bahir aa jaati h
***********
Pyaari mama ,kya bana rhi h ......apni mama ke galay mai apne bazu lapaitay hue woh khti h
Chicken karahi
Ohhh,,,wah .....very good
Acha ,,yeh maine kheer bnayi thi apni chachi ke ghar de ao
Theek h
************
Main rang sharbaton ka tu meethe ghaat ka paani ......woh apni hi masti mai gaana gaatay hue chachi ke ghar ja rhi hoti hChachiiiiiii
Chachii kahan h ap
Oyeeee ,,hayat .....itne dino baad ,yaad. aa gyi chachi ki ,,chachi jo cutting board pe gajar kaat rhi hoti h ,,uske cheeks prr pyaar krti hain
Chachi mai toh roz hi aati hoon .....ap hi ghar pe nhi hoti
Haan. ,woh kal na rahma ke ghar gyi thi mai ,,meri school se le krr university tak hum sath parhe hain
YOU ARE READING
khyaalon ka shehr
RandomThis is the story of rohaan ,hayat ,gazal ,zaroon ,saif ❤❤❤❤❤ A light ,pure and heart warming story that will light up your mood 💜💜💙💙💚💚 Hayat .....the drama queen 👑 Gazal ......the innocent fairy 💎 Abb saari baatein bta doon kya😝 ,,Baqi c...