Uss ladki ko ignore karne ke liye Aly apne kaan mein earphones daal ke music sunne lag jata hai!!
Aly basically punjab ka rehne wala tha, 1947 mein uske pardada ko Pakistan jaane ka mauka nahi mil paya, kyon ke vo punjab ke itne chote gaao mein rehte the, jahan koi source hi nahi tha!! Vo ek muslim tha!! Jis kaaran sikh dharam ke log unko zyada pasand nahi karte the.. par Aly aur uski family toh bhaarat ko hi apna desh maanti thi, punjab ko apna ghar.
Aly ke parivaar mein kul 5 log the
Pehle uske papa(Ahmed), jo retired Army officer the!!!
Doosri uski maa(Sakeena), jo ke housewife thi
Teesra uska bada bhai Abeer, jo ke army mein tha
4th Aly ki dadi(Nagma), jo kuch bhi nahi karti thi sirf khana or peena
5th Aly khud tha!!! Jo ke apne papa se jhagad ke software engineering kar raha tha, kyon ke army mein uski dilchaspi nahi thi.
Aly ka family background boht acha tha, unka ghar apne kheton mein tha, uske papa ki poore gaao mein sabse badi haveli, keh lo ya kothi thi!!! Vo boht respected parivaar se tha, jinke paas khud ki zameen thi, uske papa ab retired hone ke baad kheti karte the.
Itna paisa, itna naam, itni izzat hone ke baad bhi unko ek Muslim hi maana jata tha.. gaao wale unki praise toh karte the, bas end mein Muslim keh kar baat khatam ho jaati thi!! Iss cheez ka Gilaa Aly ke parivaar mein kisi ko nahi tha, unke according unki life achi hai aur unhone zindagi mein boht kuch kamaya hai!!Baat agar Aly ki karein toh vo kaafi gusse wala insaan tha, par as we all say.. dil ka acha!!! Aly shuruaat se hi army school mein padha tha!! Toh ladkiyon se uska door-door tak koi rishta nahi tha!!
Apne gaao mein ek Sikh ladka uska acha dost bana tha Arijit Singh!!
Shuruaat mein vo padosi the, par Aly ke papa ne ghar khet mein banwa liya toh vo alg ho gye, par Dil se jude rahe.. Arijit aur Aly poori chuttiyan ek sath nikaalte the!!!
School khatam hote-hote Aly ko ehsaas ho gya tha ke uski dilchaspi kis cheez mein hai?
Haalan ke bachpan se uske papa ne usse Army ke liye force kiya tha subah jogging, gyming, fighting extra extra!!
Par bilkul samay par usne mana kar diya... vo engineer bnna chahta tha!! Jis wajah se uske papa boht gussa huye par uske bhai ne Aly ko support kiya.. jis wajah se vo Chandigarh mein "chandigarh university" mein admission liya aur pichle 2 saal se vo b.tech Software engineering kar raha tha!!
Arijit ka interest computer engineering mein tha toh usne vo course chose kiya tha!!
Pichle 2 saal se vo dono sath mein hi padh rahe the, aur first year mein unki Mulaqat "Rahul Vaidya" se huyi jo ke computer engineering ka hi student tha!! Arijit ke through vo Aly se mila... Muslim, Sikh aur baniya!!! Teen dost!!
Aly ko chandigarh acha lagta tha.. vo wahin rehna zyada pasand karta tha!! Ghar pe toh
bas papa ke jhagde the.. aisa bhi nahi tha ke uske papa bilkul nafrat karte the, unmein pyar toh tha, par iss ego ke chakkar mein vo thoda chup gya tha!!Aur finally vo ladki apna sir ooper utha-ti hai, aakhein ponchti hai aur apne bag se kuch goliyan nikaalti hai then pani ke sath ek goli le leti hai!! Aly usko ek aankh se note kar raha tha... naa chahte huye bhi😂
Shyed ab usse samjh aa raha tha opposite attraction ka niyam!!!
Aur dekhte hi dekhte vo ladki so jaati hai.. pehle toh uska sir khidki ke sath staa huya tha, par dheere-dheere vo Aly ke kandhe par
aa jata hai.. ek taraf toh Aly ka mann kiya ke iska sir side pe karde.. par doosri or usse taras aa raha tha ke pta nahi kis situation mein hogi, jo itna ro rahi thi!!! Toh vo uska sir aise hi rehne deta hai..Aur tabhi Arijit ki nazar Aly par jaati hai jo usse 4 seat peeche tha!! Uske kandhe par ladki ka sir dekh kar vo boht excited ho jata hai aur uske paas aakar apne phone mein un dono ki photo kheench kar wapis apni seat par aakar Rahul ko dikhata hai😂😂
YOU ARE READING
Feelings (Jasly)
FanfictionThis story about Jasmin & Aly.. who met each-other accidentally, after that how Aly falls in love with her, but end up on the Hate. How they are gonna create there relation of love??