Chapter 38

960 138 8
                                    

Jasmin aur Vansh hospital mein Debu ke bed ke paas baithe the.. vo bas normally baatein kar rahe the!!
'Debahish' Vansh ka best friend, yeh sab classmates the, Debu bhi Himachal se hi tha.. childhood friends!!
Debu acha ladka tha, saanwla rang, bhoori si aankhein, jet black hair...
Debu padhne mein zyada theek nahi tha, Vansh ki kripaa se vo pass ho jata tha..
Debu ki sabse achi baat yeh thi ke vo kabhi udaas nahi hota tha, chahe kuch marzi ho jaye...
Uski Maa nahi thi, par still usne khud ko aur apne ghar ko ache se manage kiya huya tha.. sab kuch wahi handle karta tha.. college ke baad vo part time job karta tha.. uske papa himachal mein hi kheti karte the!!
Debu ke chehre se lagta hi nahi tha ke vo utna struggle karta hai..
yeh sab baatein Jasmin ko aaj pta chali, Vansh se...
Jo bhi ho, vo uska classmate tha, aur ooper se ek hi jagah se belong karte the toh milna toh banta tha!!!
Debu ko bhi acha laga tha ke koi usse milne aaya tha!! Warna roz Vansh aur kabhi-kabhi uska bhai aur Papa hi aate the!!
Vo teeno kaafi baatein karte hain... sath mein chai bhi peete hain..
Debu ke chehre par thode se daag the, jo heal ho rahe the!! Baki body ka toh kuch keh nahi sakte!!!
Vansh haste huye - shukar kar, coma mein nhi gya!!

Debu - han, wahi toh... haalat boht kharaab thi.

Jasmin - tum itne careless kaise ho sakte ho??

Jasmin - tum itne careless kaise ho sakte ho??

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Debu - han, meri galati thi.. aur mujhe afsos bhi hai..

Wahin par un dono ko shaam ho jati hai.. Vansh aur Jasmin usko bye bol kar chale jate hain...
Jaise hi Vansh usko drop karne PG ke bahar aata hai, uski mausi already bahar khadi thi...
Vo Jasmin aur Vansh ko ek sath dekh kar thodi hairaan thi.. par kuch nahi bolti..
Vansh unko gate par khade dekh.. bhaag kar paas aata hai aur gale milta hai..
Jasmin peeche aa rahi thi..

Aunty/mausi - Vansh, tu Jasmin nu jaanda ae??

Vansh - han, mere naal hi padhi hai 12th tak, te hun ikko college ch aa.

Aunty ke chehre par smile aati hai, aur vo teeno andar chale jaate hain..
Then Aunty unko Aly ke baare mein batati hai ke dopehar ko ek ladka aaya tha, isse dhoondh raha tha.. par maine jhooth bol ke bhaga diya!!!

Vansh ko yeh thoda weird lagta hai, vo Jasmin ki or dekhta hai.. jo apne kheyaalon mein khoyi huyi thi...

Aunty to Jasmin - kaun munda c oho??

Jasmin ab kya jawaab de?? "Aunty vo toh, "
Vansh usko beech mein rok deta hai... "ohho, mausi, isse kya pta ke kaun tha?? Ajj kal de munde, eda e kudiyan de piche pye rehnde ne.. preshaan krde ne... tusi chinta na karo.."

Jasmin bhari aankhon se Vansh ki baatein sun rahi thi...

Vansh continues "tusi bas enna yaad rakho, eh meri dost hai, te mere dost galat nahi hunde..."

Aur aisi kyi baatein karne ke baad Aunty khush ho jati hain... Jasmin apne room mein chali jati hai.. usko ab bura lag raha tha.. ke Aly itna kaise gir sakta hai.. usse pta tha ke agar Aunty ne uske ghar bta diya toh vo uski shaadi karwa denge!! Par usne jaan-boojh ke yeh sab kiya!!
Vo toh acha huya ke aunty ne kisi ko nahi bataya, warna aaj shaam ki bus se vo kasauli jaa rahi hoti..
And special thanks to Vansh, jisne sab handle kar liya... warna kya hota uska??

Jasmin yeh sab soch hi rahi thi ke uske gate par knock hoti hai, Jasmin aankhein saaf karke door kholti hai toh Vansh tha!!
"May I come in?" Asked Vansh

Jasmin side par ho jati hai aur Vansh andar aa jata hai, aate hi uski nazar Jasmin ke room par jati hai.. dikhne mein saaf tha...
Vansh hairaani se - akeli rehti ho??

Jasmin - han...

Vansh - why??

Jasmin - mujhe akele hi acha lagta hai..
Vansh uske chehre ko dekhta hai, then uski aankhon ko jo thodi laal thi... vo uske paas aata hai "kya huya Jasmin??"

Feelings (Jasly)Where stories live. Discover now