Sajde

103 24 32
                                    

Mein sar jhukata raha is duniya ke aage,

Har woh cheez karta gaya kisi aur ke liye.

Mujhe yaad nahi maine kisi ko kab rulaya

Har kadam par apne aap ko aage rakta gaya.

Ke shayad he kisi ko yaad hai meri kahani,

shayad he kabhi kisi ko kuch mehsoos hua.

Yeh shayad duniya ka dastor hai,

tu kitna bhi kyu na chale yahan pe mere dost,

tujhe koyi na koyi hamesha yahi poochega tu hai kon.

Insan hoon yeh mera gunah hai ya majboori,
dil ko sambhalna meri taakat yaa kamzori.

Is duniya ka rewaj toh dekho.
Mein har waqt sab ko matlabi kehta raha,
aur tere aage mein aapna sar jhukata raha apne matlab ke liye.

●☆●☆●☆●☆●

Assalamu alaikum

Hey everyone, I hope you all are doing fine. Thank you for reading my poems.

Please do not copy my work.
If you want to use it, please ask permission and give credits.
Thank you

𝔸𝕝𝕗𝕒𝕒𝕫 𝔻𝕚𝕝𝕝𝕠𝕟 𝕂𝕖💖Where stories live. Discover now