Chapter - 16

733 112 4
                                    

Pride Hotel - 🏩

Contractor's Meet 👥

Sidharth & R k gupta also precent there 👉 👨‍💼👴

Mr. Verma - All Right Gentleman ! Hume kis kism ki colony chahiye yeh mai aap logo ko bata chuka hu aur yeh jaahir hai ki yeh batane ki jarurat nhi ki contract kis company ko millenga, Jo is colony ke makan sabse kam keemat me banaye aur bechne ke liye taiyaar ho.
Kis ko koi sawal puchhna hai to to puchh sakte hai 🙂

Contractor 1one question verma sahab ☝️

Mr. Vermayes please ! 🙂

Contractor 1 - government sirf zameen de rahi hai aur is zameen par contractor apne paise kharch kar ke colony banayega aur makan sasti keemato me denga munafa Jo bhi ho woh contractor ka Lekin colony ke makan nahi bik sake toh 😐❓

Mr. Verma - Chaturvedi ji ! Is colony ke makan naa bike pehli baat aisa sawal hi paida nahi hota aur dusri baat yeh hai jo Munaafe ka haqdaar ho wahi Ghate ka bhi zimmedaar hota hai. 🙂
Anyway tender bharne ki last date is month ki 18 hai.
All right ! Gentleman ! Best of luck ! and Thank you ! 🙂

Saying this he left from there 🚪👈

Sinha - chale sir 😐

R k gupta - Hmm ! Sinha ! 🤨

Sinha - Yes ! Sir ! 😐

R k gupta - Is colony ka contract mere hath se nikalna nahi chahiye. Yeh meri zindagi ka sabse bada contract honga. 😐

Sinha - Sir ! humari company ke muqable me kaun aa sakta hai 🤔❓

R k gupta - Ek Aadmi ki fikar hai mujhe, 'Sidharth Tyagi'. 😐

Sidharth - You are right Mr. R k gupta
Yeh contract mai haasil kar sakta  hu ! Aur yeh contract mujhe hi millenga !

R k gupta - Yeh sunkar khushi huyi ki tumhe khud par itna bharosa hai Lekin sath-sath afsos bhi hua ki yeh bharosa kitna galat hai. Kyuki maine apni company se Bhandari jaise choro ko nikal diya hai, Jo mere sath beimaani kar sakte the. 🙄

Sidharth - Mr. R k gupta ! Agar maine aapke sath beimaani ki toh mai sharminda nahi hu. 🙄😒
Isliye ki mera ek usool hai, Ek insaan jo jubaan samjhe, mai uske sath usi jubaan mein baat karta hu ! 😌 Imaandaaro ke sath imaandaari aur Beimaano ke sath beimaani. 🙄

R k gupta(angrily) - Tum mujhe apni tarah beimaan samjhte ho 😠❓

Sidharth - Nahi ! Mai aapko toh bhada dhanwaan samajhta hu Mr. R k gupta ! 😏
Yeh baat alag hai ki aajkal ki duniya mein koi aadmi bagair beimaani ke itna dhanwaan nahi banta 🙄😏
Mr. R k gupta ! mujhe beimaan kehne se pehle jhaakar ke dekhiye apne beete huye dino mein ! Ho sakta hai itna ameer banne ke liye aapne bhi kisi ke sath koi beimaani ki ho ! 🙄Kisi ko dhoka diya ho ! Ho sakta hai aapne bhi itni daulat kamaane ke liye apne zameer apne jajbaat ka sauda kiya ho ! 🙄

R k gupta (angrily) - what the hell you mean by that !  😡
Tum yeh kehna chahte ho ki maine yeh daulat, yeh position, yeh izzat apna zameer apna jajbaat bechkar haasil ki hai ! 😡
Abhi tumne dekha hi kya hai ! 😠
Yaha zameer aur jajbaat itne mehange nahi bik te warna aaj duniya ka har bhikaari mere tarah crorepati ban jata ! 😠
Maine yeh daulat yeh position haasil ki hai apni mehnat se apni taaqat se apni akal se ! 😤
Isliye ki mujhme himmat thi !
Har keemat pe aage badne ki himmat!
Aur agar tum is himmat ko zameer aur jajbaat ka sauda karna kehte ho toh mujhe tumhari akal pe reham aata hai ! 😡

Sidharth - Lagta hai maine aapki  kisi dukhti rag pe hath rakh diya 🙄

R k gupta(shockingly) - Tum..😮
Tum kehna kya chahte ho 😧❓

Sidharth - Jo kehna chahta hu Mr. R k gupta, woh kabhi aur kahunga. 😏
Lekin sahi baat sahi waqt aur sahi mauke le ki jaaye toh uska maza kuchh aur hi hota hai. 😌
Aur mujhe sahi waqt aur sahi mauke ka intezaar hai. 😌
Good day ! Mr. Gupta! 🙂
Aur Haan ! Meri banayi huyi colony mein aapko makaan chahiye toh takalluf na kijiyenga, makaan mill jaayenga. 😉

Saying this he left from there 🚙💨🏢

R k gupta - Sinha ! Duniya chahe idhar ki udhar ho jaaye mai is colony ka contract sidharth ko lene nahi dunga ! 😤😒
Yeh contract mujhe millenga ! 😐Mujhe ! 😏

Shanti construction office - 🏢
Sidharth - kuchh bhi ho jaaye shehnaaz ! Yeh contract 'shanti construction' ke alawa kisi aur ko nahi millna chahiye.🙅‍♂️😒
Yeh contract mere liye bahut jaruri hai ! 😐
Yeh ek chhalang , ek jump mujhe dusro se milo aage pahucha dengi !
Shehnaaz ! Yeh mr. verma kis type ke aadmi hai 🤨❓
Mera matlb hai unhe kuchh paise 💵de dilaakar 🙄❓

Shehnaaz - Nahi sidharth ! Nahi 🙅
Verma Sahab bahut imaandaar aadmi hai. Tumne agar baato-baato me kahi unhe ishara bhi de diya toh bajaaye faayde ke ulta nuksaan ho jaayenga.

Sidharth - Hmmmm !
Tumne kaha tha, Duniya me har koi bikaau nahi hota 😐

Shehnaaz - Sidharth ! Mai kayi dino se dekh rahi hu tum bahut pareshaan, bahut baichain ho 🙁
Mai Jaanti hu ki tumhe yeh contract mill jaane se crores ka faayda honga Lekin daulat toh tumhare paas aaj bhi bahut hai, phir bhi tum khush nahi ho.☹️

Sidharth - Tum samjhti ho mai yeh sab paiso ke liye kar raha hu 🙄, Daulat ke liye kar raha hu. Idhar aao , chalo mere sath.....👩🤝👨‍💼

Saying this he took Shehnaaz towards his mother's photo frame 🖼️

Sidharth - Meri maa ki tasveer toh tumne kayi baar dekhi hongi, aaj uski kahani bhi sun lo ! 😟

"Meri maa bahut gareeb aurat thi shehnaaz !" 🥺

"Aur is jurm ke liye duniya mein kisi ne use maaf nahi kiya !" 😢

"Yeh gareebi aisa daag tha uspar, ki Ekdin daulat ke liye ek aise insaan ne use chhod diya jisko woh apni sabse badi daulat samjhti thi !" 🥺

"Aur us din, us din meri maa puri kangaal ho gayi shehnaaz !" 😓

Lekin ! Lekin woh mari nahi ! Woh mari nahi shehnaaz ! 😢

"Isliye ki woh mujhe janm dena chahti thi !" 😟

"Kitna dukh, kitni zillat sahi hongi meri maa ne mujhe paalne ke liye, kaun jaanta hai !" 😞

"Aaj  ! Aaj woh is duniya mein nahi hai Lekin woh jaha bhi hai, mai jaanta hu uski aatma har din har pal mujhe dekh rahi hai." 🥺

"Aur mai agar, aur mai agar apni maa ka beta hu, aur mai agar apni maa ka beta hu shehnaaz ! Toh ek din us aadmi ki saari daulat chhin lunga jisne is daulat ke liye meri maa se uski  khushiyaan chhini thi." 😡

"Tum samjhti ho mai rupiyaa kama raha hu 🥺, Nahi shehnaaz mai kisi se apni maa ke aasuo ka hisaab le raha hu." 😡

Shehnaaz - Sidharth ! Mai us aadmi ko jaanti hu 🙁

Sidharth - Nahi ! 🙄
Use mere siway koi nahi jaanta 😏

Saying this he left from there 🚪👈👨‍💼

"BADLA" (COMPLETED)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें