Na Jaane Kaha hai manzil?

22 5 0
                                    

Kho gayi hu rah mein kahi
Na jaane kaha hai meri manzil?
Dhundla dhundla sa hai raasta
Is dil ne mujhse kaha gum se toh hamesha se raha hai tera vaasta
Phir kyu is baar dagmaga rahe hai kadam?
Dil mein hai yeh kaisi halchal?
Ankhe bhi meri ho rahi hai nam.
Shayad is baar dil ko kuch hai chuba.
Akhir kyu mere kabiliyat par sawal utha?
Kyuki shayad is baar kisi apne ne yeh hai kaha.
Maana woh bohot si pareshani se hai ghira
Par isme kya kasoor tha mera?
Ulajh gayi hu sawalo mein kai.
Kya kisi ke kabiliyat par shak karna sahi?
Toote hai sapne mere tooti hai umeed
Sab chod diya ab maine us Rab pe jo hai mera sacha meet
Moti jo gire ankho se dil ne kaha
ponchh de unhe abhi.
Jisne tujhe yeh khubsurat zindagi di kardega sab theek woh hi..
Is mein kuch hoga tera hi bhala
Isiliye kho gai hai teri manzil.
Kho gayi hu rah mein kahi
Na jaana kaha hai meri manzil?
Na jaane kaha hai meri manzil?
-Tanishka Saluja

Deep In My Heart, Love From The SoulWhere stories live. Discover now