Dil - "I just don't know wtf am I trying to feel!"
Dosti - "Chinese maal thode na hu, jo tut jaau!"
Drama - "mere alawa karte kya hai ye!"
Dil Dosti Drama ~ Full on hungama
☆Copyright™ - fabulistic_fictions ☆
☆Covers and banners owned by
us☆
ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।
"Aaj desh ke 37.4 million logo ko yaani students ko online ka anubhav ho chuka hai! Waiseanubhav inn logo ne exam dena nahi...exam dete wakt google chalana...book me answers dhundhna....call pe dosto se baat karna aur tarah tarah ke logo se expert advice or I say answer lena sikha hai!!! Kuch aise hi haal hamari iss gang ke bhi hai!aaiye dekhe!"
Raghbir - nahi hadd hi hogyi!kya...nahi kya jarurat thi inn college waalo ko cancel kiye hue exam ko leni thi!
Pragati - whi to maine to apne Instagram pe bhi daal diya tha...finally graduated!ab kya muh dikhaaungi sbko!
Karan(shows her mirror) - ye waala try kriyo!
Pragati glares him,
Ranbir - Kasam se! agar exam na dena hota na...to...to...
Prachi - to kya?
Ranbir - to aaj mai exam nahi de raha hota!
Prachi looks at him unbelievably,
Shristi - mujhe to koi dikkat nahi hai..exam online...bagal me Prachi!majaani life!
Preeta - yaar thora padh liya karo sab!pehle ke jamaane me pata hai...log candle light me padhte the!
Ranbir - ha to hume koi shauk nahi hai romantic tareeke se padhne ka!
Sameer - ha whi to...yaar ghar me led lights ka light khaane ke liye lagayi hai..aaram se Ac on karo...hello google bolo aur exam do!
Karan - yaar kaash exams bhi elections ki tarah 5 saal me ek baar aate!
Raghbir - tu phir bhi exam ke ek din pehle hi padhta!
Pragati - dekhna inhone aise questions diye haina jo mujhe samjh nahi aa rahe...mai aise answers dungi jo inhe smjh na aaye!
Karan - Abe kya faayeda aise google ka jo ye na bata sake ki konse questions aane waale hai....dhatt!
Prachi - chalo chalo solve karo!
Ranbir - kaisa question hai ye....a girl was standing in front of the tree,she looked up at the tree,she moved ahead and again looked up at the tree...calculate the angle!
Raghbir - abe koi iss ladki ko batao...ek hi per ko aage peeche se dekhne se..per zinda nahi hojaayega!gazab pagalpan hai yaar!
Preeta - iske per dekhne ke chakar me hamari band bajgayi!
Shristi - ek kaam karte hai aadha aadha banadete hai...steps par marks mil jaayenge!
Pragati - Oh bhai...exam hai Dance Dewaane nahi jo steps par marks milenge!
Ranbir - yaar ye angle of depression nikaalte nikaalte mai hi depression me chala jaaunga!