chapter - 8

838 53 14
                                    

MEANWHILE IN HOSPITAL ROOM:

aastha is sitting on the stool near shaan's bed...her eyes are still wet..shaan sees her and takes her hand in his hand...

shaan : kya hua Noor tum ro kyu rhi hoon mai ab bilkul theek hoon....tum please ro mat mai tumhe rota hua nhi dekh skta please Noor

aastha is still crying

aastha : jaise tumhe bahut fikar hai meri???

shaan : are ye bhi koi shak wali baat hai ofcourse hai

aastha : haan dekha maine kitni fikar h tumhe meri islie to hamein itna dara dia tha....jaan nikaal di thi tumne hum sabki....agr tumhe kuch ho jata to...meri to kuch samjh mei nhi aa rha tha mujhe lga maine tumhe kho dia jab doctor ne kaha ki tum coma..

she didn't complete her sentence and stops in mid and cries harder....shaan gestures her to sit beside him on the bed and hugs her

shaan : shh Noor rona band karo...dekho mai theek hoon na aur mujhe kaise kuch ho skta hai mere saath tumhari shaurya anokhi aur baki sab ki duayein aur pyaar hai to mujhe kaise kuch ho skta hai....mitna pyaar dekhke bhagwan ne bhi socha hoga ki bhai ye niche hi theek hai and laughs

To lighten the moment shaan thinks to tease aastha

shaan : (with teasing smile )vaise Noor mujhe nhi pata tha ki tum mujhe abhi bhi itna pyaar karti ho....vaise kuch bhi kaho itne saal baad bhi tumhara pyaar kam nhi hua bas maanti nhi ho

aastha : (with shy smile)  shaan kya tum bhi

shaan : but seriously Noor ye tum sab duayein hi thi jo aaj mai sahi salamat hoon pta hai jab vo accident hua tha na to mujhe lga tha mai tumhe phir kabhi dobara dekh hi nahi paunga aur na hi tumse maafi maang paunga itne saalon ke dard ke lie jo maine tumhe dia hai

aastha : shaan abhi ye samay inn baaton ka nahi hai abhi tum bs aaram karo

itne mai wardbog wahan aata hai shaan ka soup leke...

aastha : lo shaan tumhara soup bhi aa gya...lo jldi ise pi lo

shaan : mai kaise piunga tumhe hi pila do na (with an innocent face )

aastha starts feeding him soup after first sip shaan makes a face and said

shaan : Noor ye kya hai mujhe nahi ye pina ye ise soup kehte hain

aastha : shaan please nakhre mat karo pilo ise please

shaan : nhi Noor mai ni piunga ye tasteless chij

aastha: shaan aaj manage kr lo please mai kl se khud tumhare lie soup aur khana banake leke aaungi aaj ise pilo please

shaan : nhi nhi nhi....ek kaam karo shaurya wapis aane wala hai na to use kaho ghar se banwa laye please mai ise ni pi skta ise pike to mai aur beemar ho jaunga

aastha : uff shaan tum bhi na....tumhare sambhalna na kisi bacche ko sambhalne se bhi jyada mushkil hai

aastha calls shaurya

shaurya : haan maa dad theek to hai na

aastha : haan shaurya shaan bilkul theek hai....accha tum yahan hospital aane wale ho na abhi

shaurya: haan maa mai bs thodi derr mei nikal hi rha hoon ...kyu kya hua ???

aastha : kuch nhi tum ek kaam Krna ghar se anokhi se shaan ke lie soup banwa lana ( eyeing shaan) tumhare dad ke na kuch jyada hi nakhre ho rhe hain ...shaan smiles listening this

shaurya laughs: theek hai maa mai le aaunga

aastha cuts the call

aastha : ab khush...shaan vaise tum kuch jyada ziddi nhi ho rhe ho

shaan : are nhi Noor....vaise Noor aaj to mai kaam chala lunga lekin mujhe tumhare haath ka hi khana chahie bs

aastha : accha baba kl se mai khud banake laungi theek

aastha asks shaan ko sleep for sometime while she sits on the couch

after sometime shaurya enters the room....

TO BE CONTINUED....

Shanoor And Shakhi ffWhere stories live. Discover now