CHAPTER - 6

299 30 12
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


At Nigam Mansion

Sid avu ko leke ghar pahunchta hai. avu ko room mein le jate hai. kuch der baad vibha aunty sid ki room aati hai. woh sid ki paas aake baithti hai.

Va: “sid, doctor ne kya kaha? Ab avu kaisi hai?”

Sid: “maa doctor ne kaha ki woh avu ki reports kuch specialists ko send ki hai. par ye bhi kaha ki zyada ummeed na rakhna” sir jhukate huye

Va: “aisa udaas mat ho beta. Hamari avu thik hogi. Mujhe apni murli manohar par poora bharosa hai. woh hamare saath na chodega. Tu himmat mat harna, hmm”

Sid sab sunn raha tha par uska dhyaan avu par hi tha.

Va: “acha tu chal, tumne subha jate waqt kuch khaya bhi nahi, ab aao main khana deti hoon.”

Sid: “nahi maa mujhe bhook nahi hai.”

Vibha aunty bohot koshish karti hai par sid nahi maana. Aur who chali jati hai. sid phirse avu ki haat pakadkar usse baatein karne lagta hai.

Sid: “avu.. aaj hamari anniversary hai aur tum mere paas hoke bhi main khudko akhela feel kar raha hoon. Please ek baar uthna. Tumhi toh kehti thi na ki hamari har aaniversary hamein saath milke special karna hai. aur tum khud aisi apne baat bhool rahi ho?”

Thodi der baad sid avu ki paas uski haath pakadkar hi so jata hai.

Evening

Vaishu bachon ko leke ghar aati hai. ardhav aur ananya vibha aunty ki room mein jate hai.

Annu: “dadii hum aagaye”

Va: “are kya baat hai aaj badi khush lag rahi ho”

Annu: “dadi aaj aadu drawing competition mein first aaya hai”

Va: “acha bhai ko first mila toh itna khush ho rahi ho”

Vaishu: “maa aapko toh pata hai na in dono ka.”

Aadu: “dadi bhook lag raha hai.”

Va: “acha chalo dono kapde badal kar aao, tab tak dadi aap dono ki favourite snacks le aati hoon”

Aadu and annu: “yeahh…”

Dono apni room mein jate hai.

Vaishu: “maa sid kahan hai? thik toh hai na woh?”

Va: “haa apne room mein hai. kuch khaya bhi nahi abhi tak.”

Vaishu: “aap tension mat lijiye. Main jaake dekhti hoon.”

Vaishu sid ki room mein jati hai. sid ko avu ki paas sote huye dekh kar vaishu ki aankh bhar aati hai, par woh khud ko sambhalte huye jake usse uthati hai.

Vaishu: “sid utho aur kitna sona hai? utho?”

Sid: “bhabi thodi der aur please..”

Vaishu: “nahi chalo utho aur neeche aao”

Sid uthke washroom mein jata hai. vaishu avu ki paas jake uski forehead pe kiss karti hai. aur mudke jaane lagti hai. tabhi aadu darte huye dheere dheere room ki door ke paas aata hai.

Vaishu: “are aadu kya hua waha kyun khade ho, andhar aao”

Aadu poore room ko dhyaan se dekhta hai. vaishu uski dar ko samajh jati hai, aur uski paas jati hai.

Vaishu: “mamma se milne aaye ho, aur bahar hi khade ho?”

Aadu: “chachi… woh papa..”

Tabhi sid washroom se bahar aata hai. usse dekhte hi aadu dar jata hai aur vaishu ko hug karta hai. sid kuch bole bina room se bahar jata hai.

Vaishu: “aadu bacha dekho papa gaye. Chalo mamma se milte hai”

Vaishu aadu ko avu ki paas le jati hai. aur woh avu ki paas baitha hai.

Tabhi vaishu aadu ki haath mein kuch paper dekhta hai.

Vaishu: “aadu ye kya hai aapke haath mein. Dikhao”

Aadu: “chachi ye drawing hai. maine banaya hai. isse first mila hai. mamma ko dikhane laaya hoon” khush hoke baby voice mein kehta hai

Vaishu: “acha par aapne chachi ko toh dikhaya bhi nahi”

Aadu: “pehle mamma ko hi dikhaunga”

Vaishu: “acha.. thik hai toh dikhao”

Aadu paper kholke avu ki samne rakhta hai.

Aadu: “mamma dekho na mere drawing.”

Woh apni drawing ki baare mein avu ko bohot kuch batata hai. par avu kuch na bolne se woh sad ho jata hai.

Aadu: “chachi mamma kyun mujhse baat nahi karti. Bolo na”

Vaishu: “aadu woh mamma ki tabiyat thik nahi hai na iss liye baat nahi kar rahi hai. par jab thik ho jayegi na tab tumse der saari baatein karegi. Acha.. ab toh mamma ko dikha diya toh chachi ko bhi apna drawing dikhao”

Aadu jaldi apna drawing dikhata hai. usne family ki drawing banaya tha.jisse dekh ke vaishu ki aansoo nikhal aayi.

Aadu: “chachi ye na main hoon, aur woh papa aur ye mamma achi hai na?”

Vaishu jaldi se aadu ko hug karti hai. par ye sab koi aur bhi dekh raha tha.

Va: “aadu, annu jaldi aao dekho maine kya banaya hai?”

Vaishu: “acha aadu aap  aanu di ki saath dadi ki paas jao aapko bhook lagi thi na?” aadu jaldi neeche jata hai.

Vaishu: “avu sun rahi hona aadu tujhe kitna miss kar raha hai, usse main kitna bhi pyar karun par teri jaga nahi le paungi main, usse apni maa ki zaroorat hai teri zaroorat hai. uske liye toh uth jaa na. please..”

Ye kehte huye woh rote huye room se bahar jati hai. par jate waqt uski haath se aadu ki drawing bed par gir jati hai.

 Vaishu ke jaate hi jo Ye sab dekh raha tha woh andhar aata hai. aur uss paper ko uthate huye avu ki paas baitha hai.

Uss drawing ko gale laga ke rone lagta hai.

Yess woh sid tha jo sab kuch chupkar dekh raha tha.




Yess woh sid tha jo sab kuch chupkar dekh raha tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Agar koi mistake hai toh sorry

Bond after LossWhere stories live. Discover now