CHAPTER - 8

89 11 3
                                    

VA ki room,

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

VA ki room,

Sid aur Abhi VA ki room mein aate hai.

VA apni aur Avu ki photo dekh rahi hoti hai.

Sid: "Maa, batao kya baat karni hai aapko?"

VA: "hum sab jo baat tujhe itne time se bata rahe hai wahi baat karni hai mujhe tumse. kyun nahi kar sakti?"

aunty thodi gusse mein baat karti hai.

Sid: "Maa,aap sabko ek hi baat baar baar kyun karni hai mujhse?"

VA: "kyunki ek hi baat itni baar samjhane ki baad bhi tum samajh nahi raha hai issliye."

Sid: " toh maine bhi aap sabse har baar ye kehta hoon na ki.." Sid thodi loudly bolta hai.

Abhi: "Sidd, aawaaz neeche. Bhool gaye ki kisse baat kar raha hai tu? Aur maa aap bhi thodi calmly baat kariye na. agar iss tarah hyper honge toh aapki tabiyat kharab ho jayegi"

Sid: "bhai sorry, woh main..."


VA: "kaise shaant ho jaun main Abhi, dekh isko meri itni si baat ko bhi na sunta hai aaj kal. Hum sabne isko jo samjha rahe hai woh samajhne ki jagah ye...." she sounds like she is very disappointed with Sid.

Sid: "aaplog kyun nahi samajhte, kyun aap log uske liye baar baar mujhse lad rahe ho?"

VA: "kyunki woh tumhara bacha hai Sid. Tumhare aur Avu ki bacha woh bacha jisei ss waqt apni maa baap ki sabse zyada zaroorat hai, tera zaroorat hai. par tum kar kya rahe ho?"

Sid: "maa.."

VA: "maine abhi tak apni baat poori nahi ki hai Sid."

VA was really mad at Sid for ignoring Aadu.

VA: "tumko yaad hai jab Avu pregnant huyi thi toh kitni khush thi? kya kya sapne sajake baithi thi apni baby ke liye yaad hai na? ab uski un sapnon ko woh khud poori na kar sakti toh uski zimmedari tum par hai. Par tumne kya kiya Aadu ke Janam se leke ab tak tumne usko ek baar bhi pani beta hone ki koipyaar ya care nahi diya. Bacha hai who maa baap ki sabse zyada zaroorat iss umar mein hote hai. aur aise waqt mein maa baap mein koi ek ki kami ho toh uski bhi taraf ki pyaar aur care dusra se hi milna chahiye. Aur yahan Avu ki hisse ki pyaar bhi tumko hi dena padega."

VA baat karte karte rone bhi lagti hai.

VA: "yaad hai na jab tum dono bachon ko aur mujhe chodkar tumhare papa chale gaye tabse tum dono ko maa aur papa dono ki pyaar maine di thi. poori koshish ki thi, har mumkin koshish ki thi taki tum dono ko kabhi bhi unki kami na mehsoos ho. Maine kabhi kisiko koi ilzam nahi lagayi bas sabkuch accept karke tum dono ki Khushi ke liye aage badi toh tum bhi toh kar sakte ho na Sid, bas ek koshish toh karo"

Abhi: "Sid maa ne jo kaha hai woh maine aur Vaishu ne bhi tumko samjhane ki koshish kiye the. dekh main aur teri Bhabhi Aadu aur Annu mein koi fark nahi karte kabhi nahi. Dono hi hamare bache hai. par hum kitna bhi Aadu ko pyaar kare apni maa papa ki kami usko mehsoos ho raha hai. Aur iss waqt uss kami koi poora kar sakta hai toh woh tum ho. Woh Bechara chahta hai tumhare sath aisa ek bonding jaise mera aur Annu ki beech mein hai.

VA: "Sid dekh ek baar socho agar tumhari ye sari baatein Avu ko pata chale tab kya hoga? Hum sab yahi chahte hai ki Avu jaldi thik ho jaye par jab woh hosh mein aayegi aur tumhari apni bete ki sath aise bartaav janegi toh uspar kya beetegi pata hai kabhi socha hai tumne?"

Sid chup hoke dono ki baatein sun raha hai. kahi nak ahi usko bhi ye pata hai ki woh sahi nahi kar raha hai Aadu ke sath par uski dil aur dimaag ki ladai mein woh kuch bhi sahi galat ko chun nahi pa raha hai.

VA: "Sid meri baat ek baar maan jao. Zyada nahi toh Aadu ke taraf tumhara ye rud behaviour hai who bandh karo aur usko aise avoid karna ki jagah atleast ek smile toh karo usko dekhe. Uss nanhi si jaan ke liye wahi kaafi hai tumhare taraf se. ek baar meri baat ko calm hoke socho aur ek ache decision lo. Aur haa do din baad uski birth day hai toh iss baar mujhe tumhara koi excuse nahi chahiye. Main ek choti party plan ki hoon jismein tumko aana hi hai, woh bhi uske liye kuch ache gifts bhi lana hai."

Sid: "Par maa aap janti hai na.."


VA: "mujhe kuch bhi excuse nahi sunna hai. tumko aana hi hai. aur party khatam hone tak rehna hai. usko gifts bhi dena hai. ismein koi badlaav nahi chahiye mujhe bas. Ab tum ja sakta hai, mujhe bhi bohot kaam hai, party ki sari preparations karna hai mujhe."


VA room se bahar jati hai. Sid unko mana karne peeche jane lagta hai tabhi abhi usko rok leta hai.



Abhi: "Chote, tu janta hai na maa ko. Ab unhine keh diya hai toh tum kitna bhi koshish karo woh nahi maanegi. Toh better hoga ki tum ek responsible loving and caring papa banke Aadu ka birthday mein aao aur uski sath time spend karo. At least uska birthday ka din toh usko thodi Khushi dena chote. Wahi uske liye sabse bada gift hoga. A priceless gift that he always wished for."


Vaishu: "Abhiii... dekho na tumhari laadli ne kya kiya hai" Vaishu Abhi ko bula rahi hai.

Abhi: "Oh god ab kya kiya usne, chote tu humne jo kaha uski baare mein socho. Main jake maa beti ko sambhalta hoon."


✨✨✨

Chapter end

✨✨✨

What will Sid's decision be?

Do you support vibha aunty and abhi?

Do you think Sid will accept Aadu?

✨✨✨

Hope you guys like the chapter.

Pardon me if there's any mistakes

please give shoutout and follow

me if you haven't....

Also give your votes and valuable

comments on my books....

◦•●◉✿ Anami ✿◉●•◦

◦•●◉✿ Anami ✿◉●•◦

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Bond after LossWhere stories live. Discover now