A PATIENT IS LYING UNCONSCIOUS ON A HOSPITAL BED 2 DOCTORS ARE STANDING AROUND HIM AND THE PATIENT'S WIFE IS SITTING IN CORNER OF THE ROOM
Wife- voh thik toh ho jayenge
Dr- hum is vakt kuch keh nahi sakte
Dr 2- humpe vishwas rakhiye hum aapke pati ko bacha lenge
Dr- par dr singh this is very critical surgery bohot kam chances ki yeh patient bachega
YES YOU ARE RIGHT DR SINGH IS NONE OTHER THAN OUR HM
Hm- haan par abhi bhi chance hai aur jab tak mere patient ki sanse ruk nahi jaati tab tak chance hai
Wife- please humare husband ko bacha lijiye madam hum unse bohot pyar karte hai
Hm- kuch nahi hoga unhe
Dr-par kaise
Hm- dekhiye inke heart ke just neech lungs mein ek tumor hai aur humme kya dar hai ki agar hum voh tumor nikalne ki koshish karte hai toh hum unke heart ko damage kar denge aur unhe heart attack aa sakta hai right?
Dr- ji toh
Hm- par agar humne uss tumor ko nahi nikala toh inke heart tak blood nahi pahoochega aur yeh toh vaise hi mar jayenge
Dr- point kya hai Anamika
Hm- point yeh hai ki agar hum isse marne se pehle hi mar de toh
Dr-matlab
Hm- matlab genius ek bypass hum tumor nikalne se pehle inhe bypass par daal denge jisse jo humare raste ka sabse bada kata hai voh hat jayega inka heart fail hone ka arre jab dil dhadke ga hi nahi toh fail kahan se hoga fir h unka tumor nikal denge aur unhe Bypass se hatta denge simple
Dr- you are a genius Anamika Singh a genius tell you
Hm- tell me something I don't know par (TURNING TOWARDS TO THE WIFE) iss surgery ke liye humme aapki consent ki zaroorat hai
Wife- aap bas humare payi ki jaan bacha lijiye voh aap kaise bhi kate humme farak nahi padta
HM SMILED
Hm- thik hai
THE SCENE CHANGES HM IS PERFORMING A SURGERY IN THE OPRETION THEATER AND THE SURGERY WAS A SUCCESS
HM CAME OUT THE WIFE WAS WAITING OUTSIDE
Hm- I am sorry par humne aapke husband ko bacha liya ab voh aapko phir pareshan karenge
HM LAUGHS
Wife- thankyou aap humare liye bhagwan hai
SHE WAS ABOUT YO TOUCH HER FEET BUT HM STOP HER
Hm-arre yeh kya kar rahi hai aap humme toh bas apni duty ki hai
Wife- aapne meri 4 saal ki beti ko bin baap ki beti banne se Bacha liya
Hm-beti.......patta hai humari bhi ek choti si beti bohot shaitan hai mai usse toh baap ka pyar nahi de sakti par agar aapki beti ko de paau toh shayad humara guilt thoda kam ho jaye.
Wife-kyun aapke husband kahan hai
Hm-mar gaye hum unke liye
Wife-ohh sorry
Hm-achha ab hum chalte hain ghar pe humari choti shaitaan humara wait kar rahi hogi. Aapke husband ko kuch der mein hosh aa jayega aur dr Tripathi toh hai hi agar koi dikkat hoti hai jo hogi toh nahi par aap humara number le lijiye humme call kar lijiyega
Wife- aapka Bohot bohot shukriya
SHE GIVES HER PHONE NUMBER TO THE WIFE
HM LEAVES
THE SCENE CHANGES
HM REACHES HOME SHE SEES THAT HER DAUGHTER HAD ALREADY FALLEN ASLEEP SHE SLEEPS RIGHT BESIDE HER.
THE NEXT MORNING 🌄
HM WAS ASLEEP A GIRL CAME RUNNING AND HUGS HER
Girl- good morning Mumma
Hm-good morning mera bachha aaj aap jaldi uth gaye Kashish
Ka- main jaldi nahi uthi aap der se uthe ho mumma
SHE LOOKS AT THE CLOCK ⏰ IT WAS ALREADY 9
Hm- haan aaj toh der ho gayi sorry baby mumma akh hi nahi khuli
Ka-koi nahi mumma toh aaj school ki chutti
Hm-hmm...thik aaj chuti but only for today
Ka- yayyyy
SHE STARTS JUMPING ON THE BED
HM- bas bas bas chot lag jayegi na Kashish
SHE SITS DOWN BESIDE HER
Ka- toh aaj mumma baby day
Hm-haan aaj mumma baby day toh mumma bay day ke liye aap jaldi se ja ke taiyar ho jaoge thik hai phir hum beach jayenge icecream khayenge sea mein khelenge aur khoob saari mast karenge
Ka- haan par mumma icecream nahi chaat aap jante ho na chaat meri favourite hai toh chaat khayenge
Hm- kya
Ka-kya hua mumma
Hm-kuch nahi aap jao jaldi se taiyaar ho jao
Ka-thik hai
KA LEAVES HM IS SITTING ON THE BED IN TEARS SHE IS TALKING TO HERSELF
Hm- mujhe maaf kardo baby main aapko sabse door rakh rahi hoon par agar main aapko Lucknow le gayi toh aapki jaan ko khatra hoga main aapko nahi kho sakti Kashish meri jaan basti hai aapme Kashish issley toh aapko aaj tak aapke papa ke barre mein nahi batta payi patta hai baby aapke papa ko bhi chaat bohot pasand hai.
TEARS STARTED ROLLING DOWN HER EYES
JUST A WOMEN KEEPS HER HAND ON HM SHOULDER
Hm-ma'am aap
YES IT WAS BABITA SARKAR
Bs- haan main bhool kyun nahi jaati uss insaan ko usne itna bura kia tere saath bhool ja aage badh pichle 5 saalon se uss dard ko apne man mein chupayi baithi hai kal mein jeena chod apne aaj pe focus kar teri aur Kashish ki aane vaali zindagi pe focus kar.
Hm-Kashish badi ho rahi hai uske sawal badh rahe hai jawab uske inn savlon ka kya kahu usse kahan hai uske papa
Bs- mar gaye
Hm- ma'am!! Yeh kya keh rahi hai aap
Please janne dijiye iss baat ko aaj mai iss baat ke bare mein nahi sochna chahti aaj main sirf apne aur Kashish ke din ko special banane ke barre mein sochna chahti hoon
Bs- poore saal tu thik rahti hai aur saal ke yeh samay aate hi tu phir apne ateet mein chali jati hai
Kyun yeh din tujhe itna pareshan karta hai
Hm- kyunki iss hi din toh sab kuch badal gaya humari shadi ki salgirah ke ek raat pehle sab badal gaya
Kitni bhi koshish kar loon nahi bhula paati unhe par aaj iss bare mein nahi sochna aaj sirf Kashish ke saath apna din enjoy karna hai
Achha main jake breakfast lagati hoon
Bs-thik hai
HM LEAVES.
आप पढ़ रहे हैं
ek misunderstanding
Fanfichaseena aur anubhav ke beech hui ek galat faymi aur chodna pada haseena ko anubhav ka saath ab voh mille hai 5 saal baad kya hoga inn dono ke beech kya sulajh payegi yeh ek misunderstanding