SEARCH BEGINS

534 49 39
                                    

KAI - YOU MIGHT HAVE GOT AN IDEA THAT WHAT'S GONNA HAPPEN IN THE PART .. 

RAY - SO ARE YOU READY 

KAI - LETS BEGIN 


DATE SEPTEMBER 2, 2021 

DELHI HEADQUARTERS 

As and Ak having lunch 

As - Adarsh .. kya hua darjeeling mein khoj shuru ki kya tumne 

Ak - haan yaar kar di haIn ... saare khabriyon ko bheja hain .. kam se kam 100 log gaye hain .. kal din bhar khoja hain unhone .. par koi khabar nahi mili .... 

As - accha thik hain ... kitna hissa baaki hain ... 

Ak - abhi toh sirf 10 % hua hain ... 

As - itna dheere ... matlab kamse kam 10 din lagenge khojne mein .. poore darjeeling ko 

Ak - haan ... .. leki gadhe tujhe yeh tak nahi pata ki woh kya kaam karti hain ... kaisa dost hain re tu .. phaaltu kahinka 

As -. nalayak .. tujhhe aaj main 43 baar bol raha hoon ki jab hum dono alag hue hum college mein hi the .. toh kahan se bata dein ki woh kya kaam kar rahi hogi ..

Ak - areyyy ek idea aaya hain .. 

As - bolne ke liye kya paise lega .. nahi na toh bol de na 

Ak - haan .. woh uske college ke poorane records mein se uska phone number mil sakta hain ... 

As - sach mein  .. ab toh humein yakeen ho gaya hain .. ki tera paper kisi nalayak ne hi check kiya hoga .. 

Ak - tere muh se meri taareef kabhi sunne ko hi nahi milegi na 

As - kyunki tu hain hi nahi tareef ke layak .. toh kyu hum apni energy waste karein teri tareef mein .... dekh na... tujhe bhi pata hain jab meri nakchadi college mein thi toh uska ek hi phone number tha .. aur woh phone number mere pass already hain .. jo shayad pichle 10 saal se band hain ... tu yeh jaante hue bhi mujhe itna waahiyat idea dega toh main kya hi bolun 

Ak - haan haan thik hain . chup ho jaa 

after the day .... both went back home .. their khufiyaan network was searching for haseena ... but -----

At night at home ... 

Ak - langoor  yeh dekh yeh ek book mili hain aaj uppar ke shelf se ... tune isse itna sambhal ke uppar kyun rakha hain 

As - Adarsh woh book nahi hain dairy hain ... aur wapis de .... woh dairy mere liye bahut keemti hain .... please usse wapis de ( worriedly ) 

Ak - haan yeh le teri book tu hi rakh mujhe nahi chahiye .. but ek baat bata ... tu is mamuli se book ke liye itna tension mein kyun aa gaya tha re 

As - yeh koi mamuli book nahi hain ..... ( and wapis se unki train chali gayi flashback mein ... toh hum bhi ussi train mein sawar hain toh chaliye chalte hain flashback mein )

flashback 

DATE - APRIL 10, 2009 

As - nakchadhi .. kahan hain re tu 

Hm - idhar hoon main .. yahan pe 

As - are tu wahan kahan chadh gayi ... yrr neeche utar kahan upar ki shelf pe latak rahi hain .. niche aa gir jayegi 

Hm - are anu .. mujhe yahan se ek poorani book chahiye thi .. 

As - toh mujhse bol deti ... khud kahan chad gayi upar 

ANUSEENA - WILL I MEET YOU AGAINजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें