Monu:-nahi param bhai sach me mere kaan baj rahe hai papa ne mujhe sorry bola.
(Karan and parkha was happy to listen bhai)
Mr. Maha:-nahi bol sakta kya. Meine hi tumhare bhaiyuu ko tumse durr rakha tha.
Monami was shocked and other also.
Koel:- tab to phir aapko 1000 baar bhi sorry bolenge na to bhi kam hoga. Aree kitna dukh doge aap meri behen ko sharam nahi aati kya. Galti kisi ki ho punishment monami ko hi kyu.
Monu:-chhod na koel leave it.
Koel:-Tu pagal hai kya itne serious matter ki itna casually kaise le sakti hai.
Monu:- thank you abhay mujhe mere bhaiyuu se milane ke liye.
Karan:- monami tum sach me pagal ho gayi ho. Aur aapne aisa kyu kiya Mr.mahajan.
Koel:-kyu kiya aapne boliye.
Monu:-janana to mujhe bhi hai ki ab konsa bura kaam mene kiya jiski saja mujhe aapne di papa.
Mr. Mahajan:- galti tumhari nahi hai monami me pagal tha jo aisa kiya mene.
Koel:- thank god aapko pata to chala ki aap pagal hai. Ab bataye.
Mr. Mahajan:- hmm.
Abhay:-Aree aap rukiye me batata hu na Sab kuchh sach sach.
Abhay:- ab monami tum jab apne bhaiyuu matlab faizi ki dost bani apni life ke aadhe se jayada time uske sath bitane lagi dono ek sath rehne lage tum aur tumhare bhaiyuuu matlab princess and bhaiyuuu happy the lekin tumhare so cold dad unse yeh sab dekha nahi gaya ki unki beti kisi ladke ki wajah se unhe muh-tod jawab de rahi hai vo ladki jiske muh me kal tak juban nahi thi aaj vo unse lad rahi hai aur to aur faizi ke dad aur tumhari mom dono ek-dusre ko pehle se jante the to vo tum dono ke beech jhagada karake bhi dono ko durr nahi kar sakte kyuki unhe pata tha jab koi relation parents ke through juda ho to uska todna impossible hota hai isliye jab uss din market me bomb blast hua to vo tumhe vaha se le gaya aur yaha faizi aur uski mom tumhe dhundh rahe the. Tumahare dad ne tum he yakin dilaya ki tumhara bhaiyuuu mar chuke hai but vo jinda the.
Koel:-tumhe kaise pata yeh sab.
Abhay:- ab pata hai isliye kyuki tumhare dad ne yeh sab mujhe khud bataya.
Koel:-achha.
All was shocked and monu is numb.
Koel:-kuchh bol na monami.
Sid:-yes bro say something.
Monami goes to Mr. Mahajan and held his colllar. All are shocked
Monu:- aapki himmat kaise huyi yeh sab karne ki mere aur mere bhai ke beech aane ki. ( angrily)
Mr. Mahajan:-sorry.
Monu:- aapke sorry bolne se mujhe mere bhai ke sath khoye 10 saal vapas mil jayege. Bataye. (Loudly)
Koel:- do-teen khichke maar.
Karan:-nahi monami ruk jao. Aur tum use instigate karna band karo koel.
Faizi:-haa monami chhod do uncle ko.
Monu leaves him.
Abb aage kya hoga. Kya lagta hai abhay sudhar gaya ya phir abhi bhi villain hai.