1. NOTHING HAS CHANGED

3.4K 163 76
                                    

Hey guys...

Enjoy this part...😊

.............................................................

It's been a week to Monami's confession. Everything was still normal as Monami never showed her feelings of hurt and sadness to anyone. Only Sid, Faizi, Karan and Sanju knew her mental state. Sanju knew as now Monami and her bond is a little strong so, Monami shared this situation with her when Sanju caught her crying her heart out.

No one knew that something has happened between Monami and Karan. Monami was also trying to behave normally. She didn't want to show anyone, especially Karan, that she's hurt after the rejection from him.

All were in the mess, having their lunch. Monami was lost in her thoughts when Sid came and sat beside her. They both were sitting near the trainner's usual spot and a little far away from the crowd.

Sid - Monu bro, asa kab tak chalega? Please, mujhe Dole Shole Bro se baat karne de. Use to main chhodunga nahi, usne tera dil toda hai yr.

Monami - Sid please yr, jaane de us baat ko. Main Karan se pyaar karti hu to maine usse keh diya, vo nahi karta to usne reject kar diya. Konsi badi baat ho gai yr? Sanju ne bhi to tujhe reject kiya tha na?..... Aur vaise bhi is pyaar ke chakkar me, main uski dosti nahi khona chahti to better hoga ke tu koi pange na hi create kare uske sath.

Sid - Par bro....

Monami interrupted him and said...

Monami - Maine keh diya jo kehna tha. Ab agar tune kuch bhi kiya na to mujhse baat mat kariyo fir. Chakravyuh ki compition hai, uspe dhyan dete hai.

Sid - But Monu....

Monami - END OF DISCUSSION!!!

And Monami leaves from there with Sid and other recruits. Karan and Faizi were there only but Monami and Sid didn't notice them there. They heard everything and Faizi said...

Faizi - Ye Monami Tsunami to thandi padti ja rahi hai..... (Karan glared at him) Nahi.... Humara matlab hai ke.... Hume laga tha ke hume sad Monami dekhne milegi but ye to bilkul normally behave kar rahi hai. Tumse lad bhi nahi rahi hai vo, Karan.

Janaab, ek baar firse zara sochkar bataiye ke kahi kuch zyada to nahi bol diya na aapne ke jiski vajah se uske dimaag par ulta hi asar ho gya ho???

Karan (Glaring at him) - Abe Sandh, tu pitne ke mood me hai kya? Bola tha na ke maine jo kaha hai vo soch samajhkar kaha hai?.... Monami aur main romantically kabhi involve ho hi nahi sakte...... nahi ho payege hum kabhi ek. END OF DISCUSSION....

And he also left from there but there was someone behind them and listened everything....

Sid - Had hai yr, dono bolte bhi ek jaisa hi hai lekin ek kehta hai ke hum sath nahi ho payege aur dusri bolti hai ke destiny me hoga to zaroor milega.

Matlab inse bas bakwaas baatein kara lo yr, aur kuch inse hoga hi nahi.

Faizi laughed on this. Sid looked at him and made a face. He said...

Sid - Yaha meri Monu bro ki band baji padi hai aur aapko meri baatein joke nazar aa rahi hai???..... Main bol raha hu Faizi sir, inka kuch karo varna meri Monu bro kahi Devdas na ban jay.

Faizi again laughed. Sid glared at him and seeing this Faizi stoped laughing and said....

Faizi - Filhaal to aap janaab roye ja rahe hai aur Devdas bhi mashallah, aap hi dikh rahe hai hume...

Faizi laughed when he saw Sid making a face again....

Faizi - Thoda to sabar rakhiye Siddharth. Hum apne dost ko ache se jante hai. Agar unhone ye kaha hai ke vo Monami ke layak nahi hai iska matlab hai ke agar unki ye galatfehmi dur kar di jay to hume Karan ko aur kuch samjhane ki zaroorat hi nahi padegi. Vo khud hi Monami se baat karega.

Sid - You're not understanding sir, agar humne ye baatein in dono pe chhod di na to humare bhi grandchildren aa jayege lekin ye tab bhi ek dusre se baatein karne me bhi hichkicha rahe hoge, I'm telling you.

Sanju - To tu ka chahto hai? Ka kare hum is muskil ko thik karne ke laane?

Faizi - Sanju??? Tum yaha kab aayi?

Sanju - Jab je Siddharth, Karan sirji aur doctorni ke baaro me batere dhyan se baat kar raho tho, tabse hum yahi hai.

Sid - Main chalta hu varna Dole Shole Bro.... I mean, Karan sir gussa ho jayege.

And Sid left from there, giving a sweet smile to Sanju and getting one in return from her. Faizi saw this exchange so, he asked....

Faizi (Smiling mischievously) - Ye kya tha?..... Tum dono ek dusre ko smile kabse dene lage?

Sanju (Smiling a little) - Siddharth aur hum ab dost hai sirji..... Batero galat samajh liyo tho use.

Faizi smiled listening this and said...

Faizi - Chalo acha hai.... Ab bahot ho gai baatein, chalo gym chalte hai varna Karan hume dauda dega late aane ke liye.

Sanju - Maa Bhavani kare ke Karan sirji aur Monami ke bich jo bhi muskil aan pado hai, uska jaldi samadhan ho jave.

Faizi nodded, smiling and they both left from there and came to the gym area. While entering, they saw Monami running on a trademill and Karan was looking at her.

Faizi went near Karan and said....

Faizi - Janaab aapko to nahi rehna hai na Monami - Tsunami ke sath to fir, aap kyu use ase dekhe ja rahe hai. Vo galat samajh legi.

Karan (Getting irritated) - Chup kar Saandh, vo kuch galat nahi samjhegi.... Mujhe to uska behaviour hi samajh nahi aa raha pi6le ek week se. Vo bahot hi normally behave kar rahi hai, jaise ki use koi farak hi na pada ho.

Faizi (Seriously) - Karan..... Tumne Siddharth ko dekha tha na, Sanju ke rejection ke baad??? Vo bhi to normally behave kar raha tha na? Lekin iska matlab ye nahi hai ke un dono ko taklif nahi hoti, ye dono bas apna dard ache se chhipana jante hai.

Bilkul vaise hi jaise, jab ye dono sath hote hai tab kisi bhi jagah me nayi jaan fuk dete hai. Vo place aur vo log bhi unki tarah lively ho jate hai.

Ase log bahot rare hote hai janaab, jo ki apni khushi bahot hi khush hokar dikhay aur apna dukh bhi. Inhe logo ko khush rakhna pasand hai Karan...... Shayad isiliye inhe badle me khushiyaan milni chahiye par lagta hai ke inke mustakbil me to sirf gam hi likhe hai...

And Faizi left from there to go towards Monami. And here, Karan was in a deep thought but he didn't want to think about this matter much so, he got back to his work.

.............................................................

Here's the first part guys...

How was it???

Kahi boring to nahi ho gya? Kyuki isme MoRan ki koi conversation hi nahi hai....

Please like and comment and share your opinions and ideas...😊😊😊

Till the next part... Take care, be happy & bye - bye dear readers...❤️❤️❤️

MY LOVE (COMPLETED)Where stories live. Discover now