Katilana woh ada unki,
Nazm-Nazm si aksho mai,
Basti ek wafa unki....
Nayano ka woh kajal,
Madhoshi ka zariya mera,
Jheel si neeli akhein,
Doobne ka dariya mera,
Aye deewane dil sambhal ja,
Itna madhosh na ho,
Un zalim adao pe,
Iss kadar hosh na kho,
Katilana woh ada unki,
Nazm-Nazm si aksho mai,
Basti ek wafa unki....
Kasa hua teer husn ka,
Zara bach kar rahiyega,
Nazar, Nazar ko maregi,
Katil hame na kahiyega!
Un sufiyana nazro ko dekhne se bhi darte hai,
Kahi hamari nazro ki nazar na lag jaye,
Un neeli akhiyon par ham marte hai,
Kahi deedar-e-husn na bach jaye
Katilana woh ada unki,
Nazm-Nazm si aksho mai,
Basti ek wafa unki....