bondita pahunchi Tulsipur

119 18 6
                                    

Bondita Roy Choudhury haveli me phone lagati hai....

Bondita - ek to Jab kaam hota hai tabhi ye telephone nahi lagte hai....

Here in other side

Aniruddh khoon se lathpath pada hai tabhi ragini waha aa jati hai....

Ragini - birristra babu ye kya ho gaya aapko ye sab kese ho gaya chaliye me aapko aspataal lekar chalti hu....

Ragini kuchh logo ki madad se aniruddh ko hospital le jaati hai....

Here in other side

Roy Choudhury haveli me telephone ki ghanti bajti hai kaka phone uthate hai....

Kaka - hello...

The man - hello jameendar saahab me sukhiya bol raha hu....

Kaka - haa bolo sukhiya...

Sukhiya - wo maalik aapke bhatije ka excident ho gaya wo buri tarah se jakhmi ho gaya....

Kaka - hey bhagwan kya ho gaya humare aniruddh ko abhi kaha hai wo....

Sukhiya - unhe abhi abhi ek ladki aspataal lekar gai hai....

Kaka - thik hai hum abhi pahunchte hai....

Kaka - bihari oo bihari suno aniruddh ka excident ho gaya hai hum waha ja rahe hai binoy aaye to use wahi bhej dena....

Bihari - jee malik aap jaldi jaiye baki dugga maa chote malik ko bahut jaldi thik kar dengi....

Kaka jaldi se hospital ke liye nikal jaate hai....

Here in other side

Bondita - ab phone milakar dekhti hu....

Bondita Roy Choudhury haveli me phone milati hai.....

Bondita - hello

Bihari - hello

Bondita - bhari babu mere sakha babu thik to hai na mera dil bahut ghabra raha hai....

Bihari - ab aapko kya bataau choti maalkin chote malik ka excident ho gaya abhi bade maalik wahi gaye hai...

Bondita - kya (and the phone falls out of her hand) me abhi aa rahi hu sakha babu aapke pass abhi aa rahi hu....

Bondita bhagte huye ghar se nikal jati hai or station jakar train me baith jate hai.....

Scene shifts

Abhijeet - kya karu me mujhe kuchh samjh nahi aa raha mera dil nahi Maan Raha ki aniruddh esa kar sakta hai nahi mujhe kisi bhi tarah pata to karna hoga par kese bondita ne to mujhe apni Kasam di hai to fir me kisse puchu ki kya hua kese hua haa ek kaam karta hu somnath se baat karta hu use to pata hoga na ye sab kese hua.....

Abhijeet - hello...

Bihari - hello kon bol rahe hai....

Abhijeet - bihari me abhijeet aniruddh ka dost kya meri somnath se baat karwa sakte ho please....

Bihari - somnath malik wo to abhi abhi ghar se nikle hai aap 2 minute rukiye me abhi bula deta hu....

Abhijeet - bahut bahut shukriya jaldi bulado please....

Somnath - haa abhijeet dada boliye....

Abhijeet - somnath mujhe tumse ye janna tha ki aniruddh ki engagement kya uski marji se hui hai....

Somnath - dada abhi mujhe bahut der ho rahi hai me hospital Jaa Raha hu kya me aapse baad me baat karlu....

Abhijeet - hospital Jaa rahe ho par kyu...

Somnath - wo aniruddh dada ka excident ho gaya isiliye....

Abhijeet - aniruddh ka excident ho gaya par kese me.... me abhi aa raha hu Tulsipur....

Somnath - haa dada aap aa jaiye to hum aaram se saari baate bhi kar lenge....

Abhijeet - haa me abhi nikalta hu....

Abhijeet bhi jaldi jaldi station jakar train me baith jata hai....

Bondita or abhijeet dono Tulsipur pahunch jate hai bondita jaldi se hospital ki taraf chali jaati hai abhijeet hospital jaata hai to use raaste me hi somnath mil jaata hai....

Somnath - dada aap chaliye me aapko hospital le chalta hu or saath hi aapko bata dunga ki dada ki engagement kese hui thi....

Abhijeet - haa haa chalo jaldi.....

In hospital

Doctor aniruddh ko chack karke bahar aata hai.....

Ragini - kya hua chikitsak sahab birristra babu thik to hai na....

Doctor - haa haa ghabrane ki koi baat nahi hai aap unhe sahi waqt par hospital le Aai isliye wo ab khatre se bahar hai.....

Ragini - to chikitsak sahab kya me unse mil sakti hu....

Doctor - haa haa jarur mil sakti hai aap.....

Ragini andar jaati hai tab tak aniruddh ko bhi hosh aa jata hai.....

Aniruddh - arey tum tum to wahi ho na boss babu ki beti....

Ragini - haa me wo hi hu or agar aaj me waqt par na aati to aapki Jaan ko khatra bhi ho sakta tha.....

Aniruddh - tumhara bahut bahut shukriya meri jaan bachane ke liye arey kaka aap aaiye na.....

Kaka - nahi aniruddh beta pahle me ragini ko bahar tak chhod aau fir aata hu....

Kaka - ragini beta tumhara bahut bahut shukriya ki tumne sahi waqt par pahuch kar humare aniruddh ki jaan bachali.....

Ragini - isme shukriya kesa kaka sasur ji ye to mera farz tha....

Kaka - ab hume pura yakeen ho gaya hai ki tum humare aniruddh ke liye bilkul sahi ho....

Kaka ragini ko bahar tak chhodte hai or khud bhagwan ka shukriya ada karne mandir chale jate hai pichhe se bondita hospital pahunch jaati hai.....

Bondita - sakha babu sakha babu mere sakha babu kaha hai wo thik to hai na....

Man - kon sakha babu naam bataiye unka....

Bondita - unka...unka naam aniruddh Roy Choudhury hai.....

Man - haa wo wo us kamre me hai aap waha jaiye......

Bondita - sakha babu sakha babu aap thik to hai na aapko pata hai aapne mujhe kitna dara diya tha....

Aniruddh - bondita me thik hu tum yaha kese aai....

Tabhi Bondita ko ek saari baate yaad aa jaati hai jo chandrachur or abhijeet ne usse kahi thi bondita waha se uthkar chali jaati hai....

Aniruddh - bondita Bondita ruko bataao to kya hua tum ese kaha Jaa Rahi ho bondita.....

Tabhi somnath or abhijeet bhi hospital me pahunch jaate hai or somnath raaste me abhijeet ko saari baat bata deta hai....

Abhijeet - accha to ye baat hai ye sab kaka ka kiya dhara hai....

Aniruddh bondita ke piche piche bahar aa jata hai....

Abhijeet - arey aniruddh tumhari tabiyat thik nahi hai tumhe aaram karna chahiye.....

Aniruddh - arey abhijeet tum bhi yaha....

Abhijeet - me bhi yaha ye bhi ka kya matlab hai koi or bhi aaya hua hai kya...

Aniruddh - haa wo bondita aai hui hai pahle to thik thi fir achaanak kya hua pata nahi or bhaagkar bahar aa gai....

Abhijeet - thik hai thik hai me samjh gaya tum chalo andar me bondita ko dhundhakar laata hu somnath tum ise andar le jaao....

Somnath - jee dada chaliye dada aap andar aaram kijiye.....

Abhijeet (in mind) - me bondita ko ese pareshan nahi dekh sakta lagta hai ab bondita or aniruddh ko sab batana hi padega......

anidita - judai ya pyaar ❤️Where stories live. Discover now