🦚🤍💫Dekhe Radha ji Krishn ki leela
Kaisa nritya kare albela
Dono thirkat hai sang me aaj
Radha Krishn Krishn Radha
Jhume Shrishti Magan hoke Saath
Radha Krishn Krishn Radha
Kanha ki dhun pe aaj
Jhume kaise dekho RadhaGodhuli bela ka samay ho gaya tha
Panchhi apne ghosle ki aur
Udaan laga rahe the
Par aaj baat kuch aur hi thi
Kyuki aaj sab maidan ko
Diyo se saja rahe theSab ke man me ulhaas
Aur anand samaya tha
Kya hai aisa khaas
Aaj ki sandhya me?Aaj hai vo pawan ratri
Jab Puri shrishti jagmaga uthi thi
Jis din chaand sabse tejwaan hota hai
Aaj hai Sharad Purnima ki ratri,
Jiske liye sab bhor se prabandh kar rahe haiKaha jata hai ki
Sharad purnima ki ratri ko
Jo premi karte hai saathme raas
Vo rehte hai Anant se Anant tak saathPar ek hai brijbalika
In bhav bandhano se pare.
Chaand ko dhundh rahe hai
Jiske chanchal netra
Uska roop chaand ko bhi sharmaye
Voh brijbala hai Vrishbhan putri RadhaSuni ek dhun,
jo har baar uska man moh leti hai
Piche khade the swayam murlidhar
Jo natkhat muskaan ke saath
Ek anokhi taan ched rahe the
YOU ARE READING
Anant Se Anant Tak...
Fantasy"~Prem paya nahi jiya jaata hai~" Kyu kehlaye vo dono prem ki paribasha? Kaise thi unki mahagatha Jisse sikhaya jagat ko prem ka saar Jo bane prem ka aadhar... RADHAKRISHN - jo janmo ke bandhan se pare hai, aur jinka prem parisuddh hai. Aur jo ANANT...