Aaj Dhara nij bhagya pe dekho
Jaaye Swayam hi vaari
Jamuna ji ke tat ki sundar
Chhata Aaj hai nyaari
Mandh Sughandhit Pawan Chale
Dekho hokar manwaari
RAAS RACHAHYAE GOLOK MEI KANHA KUNJ BIHARI...♡Ek bhavya nagri sunheri si,
Kehte hai jise prem dhaam,
Moh maya, bhav bandhano se pare
Jaha baste hai kan kan me Radhakrishn
Man mein anand bhaye karte hai prem raas.Sir par morpankh, mukh par muskaan
Aisa roop saajhe natkhat natwaar kaGagan, neer, dharti, aag sang pawan
Karte hai Radhakrishn ko naman
Aise taan chedkar, karke man adhir,
Gopiyo sang racha hai raas
Aur jiske sparsh se aate hai bansuri me sur
Woh Radharani ko Gopal nihaare.Jaha Brahmadev ke aadesh anusaar
Aaye Shridama apne Prabhu ke dhaam
Janmo janmo ki prateeksha baad
Bhakt se milenge bhagwaanPar jinhone bhakti ko prem se tola
Vo sakhshaat bhagwaan ko bhi
Pehchaan naa paayePrem ki nagri me pravesh ho
Radhe Radhe ke jap se
Pohchi is baat se Shridama ko thes
Man me hua ahankar ka pravesh
Radha sang racha hai murlidhar ne raas,
Prem ke pratik ko dekhne ka saubhagya jisne hai thukraya, Golok aa pohche vahi Krishn bhakt Shridama.Dekh ke Krishn sang Radha ka raas,
Maya ka naam prem ko diya
Nishchal prem aaj dekho,
Bhakti me maya kehlaya.Mili bhakt ki bhagwaan se dhrishti
Par ahankar ne jisko saadha
Vo kaha satya ko dekh paya
Dekar chunauti bhagwaan ko
Siddh karne bhakti ko shresth
Par Radhe nischal Prem barsaaye
Ye dekh kar de diya Radha ko shraap"Main, Krishn bhakt Shridama, tumhe ye shraap deta hu ki tum sau varsho tak Shri Krishn ko bhuli rahogi, aur Golok se dur Mrityulok me rahogi"
Jab ahankar man me basera banata hai
Tab na prem nazar aata hai na bhaktiJab aaye aamne saamne Radhika krishn
Tab haste hue swikara shraap
Par ashru me thi unki viyog ki pidaSamjhaane bhakti aur prem ka mahatva
Kiya Radhe Radhe ka naadJeev jo moksh pame
Varsho ki kathin tapasya baad
Jana Shridama ne, ki kaise
Keval do shabd ke uchaar se
Jeev ne paya ek pal me moksh
Dekh kar reh gaye chakit Shridama
Samajh me aayi Radhakrishn ki mahimaPaavan man me basa ke prem
Radhakrishn ko jisne hriday me basaya
Use kaha avashyakta
Moksh ke liye tirth dhaam ki yatraSab ko barabar paath padhakar
Jo khud roye ashru virah ke
Kyu kathor thi niyati?
Ki kar diya premi ko prem se alag
Kyu chheen li smritiya prem ki?Jaanti thi Radha ye baat
Ki wo bhul baithegi apna sara sansaar
Par yaad rakhega Krishn sabApne premi ko aparichit bante dekh
Hogi adhik pida krishn koAntim shringaar kar ke Tan ne kiya
Vidaa apni parchai ko
Sagar se bhala leher
kaise alag reh paayegi
Radha ke viyog ki pyaas
Kanth me basayi Krishn ne
Radha ke ekalpan se
bahi sansarik dharaShapath prem ke aagman se
Phir Bahegi prem ki dhara
Radha ke netron ko milegi roshni
Jab dekhega Krishn shrishti
Aisi hai Anant se Anant ke
Premi ki yatra.___________________
Hope you like this part
Share the pure love, spread positivity
Stay safe, stay happy
Radhe Radhe🌺
VOTE❤
COMMENT🌟
SHARE🧿With love,
AeZindagi♡
YOU ARE READING
Anant Se Anant Tak...
Fantastik"~Prem paya nahi jiya jaata hai~" Kyu kehlaye vo dono prem ki paribasha? Kaise thi unki mahagatha Jisse sikhaya jagat ko prem ka saar Jo bane prem ka aadhar... RADHAKRISHN - jo janmo ke bandhan se pare hai, aur jinka prem parisuddh hai. Aur jo ANANT...