PART #1

927 88 11
                                    

A middle age lady is reciting the holy book, her head covered with scarf, some one close her eyes from back, she touches the hand and feels familiar, she stands up without turning.

NJ: hassu tum kab aai.

HM: kiyà ammi ap nay humara sara surprise kharab kar diya.

NJ: tu nay humain bataya kyun nahi k tu aaj aanay wali hai?

HM: Ammi bata daytay toh surprise kaisay rehta? Kaisi hain ap Ammi? Aur apko pata kaisay chala k hum hi hain?

NJ: hum theek hain, aur maa apni Santan ko choo k bhi pehchan sakti hai. Tu nay Surbhi ko toh zaroor bataya hoga k tu aaj aanay wali hai.

HM: nahi Ammi hum nay kisi ko nahi bataya k hum aaj aa rhy hain, or maa k liey bhi surprise hai. Ap nay bhi maa ko humaray aanay ka nahi batana hai, waisay Ammi ap k liay ek surprise aur hai.

NJ: acha kiyà hai dosra surprise? Waisay tu Surbhi say mil k aa rhi hai na?

HM: nahi maan toh buhat hai maa say milnay ka par unka duffer, idiot nalaiq gadha beta hoga na ghar par abhi, toh mei maa say bad mei milnay jaun gi.

NJ: hassu yeh tarika hai kab tera bachpana jaey ga, woh duffer nahi hai DSP hai lucknow ka.

HM: Ammi humain samjh nahi aata k us idiot ko DSP ki post kis bewakoof nay day di.

NJ: us mei kuch toh qabiliat hogi Jo is padh par hai, waisay tera toh dost hai na woh, phir larai ki hai tu nay us say kiyà?

HM: Ammi us say larnay humari jooti, hum nay qasam khai hai k ab zindagi mei kabhi us jangli bilay say baat na karnay ki, pata hai parso raat hum nay us gadhay ko phone kiyà tha yeh batanay k liey hum parso lucknow wapis aa rhy hain, par janab nay humari baat karnay ka moqa hi nahi diya " hassu abhi hum buhat viyast hai tujh say bad mei baat Karen gay" keh k phone cut kar diya. Aaisa bhi koi karta hai kiyà?

NJ: aray masroof hoga woh us becharay par pooray lucknow shehar k suraksha ki zimadari Jo hai.

HM: ha ha pata hai kitna busy rehta hai, sach bol rhy hain jis din humain woh shaks jis nay usay DSP ki post par appoint kiyà hai woh mil jaey toh hum us say zaroor pochain gay k is idiot mei aaisi Kaun si baat hai Jo usay itni achi post di gae hai.

NJ: chup kar Zara bhi lehaz nahi hai kisi ka tujh say kahen zayda qabil hai humara Anu, teri tarha farigh nahi hai pata nahi kaun say exams k liay tu 2 saal ghar say dour rhi hai.

HM: ha ha kitni qabiliat hai us mei hum sab jantay hain, humara mun na khulwain aaisa na ho k ap ka chaheeta kisi ko mun dekhanay k qabil bhi na rhy, 6 standard k exam mei meri copy kar k woh pass hua tha or eight standard mei toh woh mathematics mei fail hotay hotay bacha tha.

NJ: ha bus Zara riyazi mei thora khacha hai humara Anu, warna har cheez mei number one hai.

HM: humm Ammi humain toh kabhi kabhi lagta hai k hum nahi woh hai apki Sagi aulad.

NJ: toh aur kiyà itna pyara hai humara Anu heera hai heera.

HM: Ammi bus Karen uski tareef Karna.

Ammi: acha nahi kartay ab uski tareef, tujhe toh kabhi Ammi ki yad nahi aati thi, haftay mei bus ek bar phone kar k humara haal chal pooch layti thi bus ho gaya tera farz ada itnay hi say.

HM: Ammi hum studies mei buhat busy thy sorry, ab aa gay hain na hum wapis lucknow ab roz ap kay Sath baith k dheer sari batein Karen gay ab Khush ap.

NJ: ha tu apni Ammi k liey tere pass time nahi tha par Anu say roz raat ko dhair tak video call par Sahi batein hoti thi?

HM: Ammi batein Kam aur larai zayda hoti thi humari.

NJ: ha ha hum sab jantay hain tum dono lartay ho par ek dosray say alag nahi reh saktay.

HM: Ammi hum nahi woh duffer larta hai hum say.

NJ: ghalti par teri hoti hogi.

HM: ha jaisay apka dulara doodh ka dhula hai. Ammi ap ek Kam karen usay hi apna beta bana lyn hum ja rhy hain dehli wapis, ap us gadhay ki tareef kartay thakti nahi hain Kiya?

NJ: Jana jati hai toh ja wapis humara Anu hai humara khayal rakhnay k liay, ek phone par doora chala aata hai, waisay ek baat bata hassu kahen tu nay hum say chup k dehli mei shadi wadi toh nahi Kar li hai, agar aaisa hai toh bechari Surbhi ka kiyà hoga woh toh tujhe apni bahu bananay k arman liey baithi hai.

HM: Ammi ap ka toh theek hai par maa kab say humari khushiyun ki dushman ban gaen hain? Humain apni life Ani k Sath spoil karnay ka koi shoq nahi hai.

NJ: ha ha Anu bhi mara nahi ja rha hai tujh say shadi karnay k liay.

HM: Ammi humain lagta hai k sach mei ap humari Ammi hai hi nahi , hum do saal bad ghar aaey hain pani khana ka poochnay k bajaey ap apnay Anu ki tarefain kiey ja rhi hai, hum itna lamba train ka safar kar k aaen hain apko humari koi parwa nahi, humari jagha apka Anu 4 stop ka safar kar k aaya hota toh us k baithnay say pehlay hi ap us k liay juice chai pani sab lay aati.

NJ: nautanki band kar ja ja k fresh ho ja hum tere liay tera maan pasand khana bana daytay hain tu thak gae hogi.

HM: buhat jaldi khayal aa gaya hum ja rhy hain par khabardar ap nay Ani ya maa ko humaray aanay k baray mei kuch bhi bataya toh.

NJ: ha ha hum nahi bataein gay kuch.

HM: pakka ??

NJ: pakka .

HM: anubi say bhi kuch nahi kehna ap nay, hum usay surprise dayna chahtay hain. Shocking surprise.

NJ: shocking surprise, phir toh Anu ko batana hoga.

HM: Ammi please 🥺.

NJ: acha theek hai ja nahi bataty kuch usay. Par Anu toh aanay wala hoga kuch dyar mei, usay toh pata chal hi Jana hai k tu wapis aa gae hai.

HM: woh aaj nahi aanay wala uska aur uski girlfriend shanzay ka phir say break up ho gaya hai, kahen kisi koonay mei roo rha hoga.

NJ: woh toh churail hai hi aaisi, humaray Anu k peechay hath dho k pari hai, acha hai un dono ka break up ho gaya hai.

HM: ha bus ek haftay k liey Ammi phir dono mei dobara say dosti ho jaey gi dekheay ga.

NJ: Allah karay is bar dosti na ho.

HM: aameen. Par Ammi agar dosti nahi hui toh hum phans jaey gay na, hum toh Chahtay hain jaldi say unka patch up ho jaey ta k maa k dimagh mei Jo humain or anubi ko lay Kay ajeeb or ghareeb khayalat aa rhy hain woh na aaen.

NJ: hassu Anu bura nahi hai ek bar soch k toh deekh is baray mei, waisay bhi tum dono ek dosray k bina kisi aur k sath reh nahi pao gay.

HM: toh koi baat nahi mana k hum ek dojay k bina nahi reh saktay hum anubi ko jaheez mei Sath lay k jaen gay.

NJ: aur uski patni ka kiyà?

HM: is vishay mei sochna paray ga. Par bad mei hum jatay hain, Ammi garama garm paneer ki sabzi bana dyn buhat din ho gay ap k hathon ki sabzi khaey huay.

NJ: theek hai tu ja.

***********

This is first part of the story, I wish you support me and like this story .

BEST FRIEND WALA LOVE: 💕💕💕💕Where stories live. Discover now