PART#7

642 80 9
                                    

AS: hassu please ankhain kholo , sorry aainda hum tumharay Sath kabhi aaisa prank nahi karen gay. Dekho please uth jao, humain maaf kar do, hum tumhain is halat mei nahi deekh saktay hain.

Maa: Anu doctor aa gae hai hat hassu k pass say unhain check karnay day.

AS: doctor itni dyar kyun laga di ap nay aanay mei humari hassu kab say behosh hai hum nay usay jaganay ki kitni koshish ki par woh uth hi nahi rahi hai please ap dekhain or humari hassu ko jaldi say theek kar dyn. Hum ap say minati kartay hain hum say humari sweet heart is haal mei nahi daikhi ja rhi hai.

Ammi: Anu hat aagay say tu bolta rhy ga toh woh hassu ko check kaisay karen gi.

AS: ji Ammi.

Doctor examines her carefully.

Doc: ap logon ka kiyà rishta hai patient say.

AS: hum hassu k best friend hain or yeh humari maa hain or yeh hassu ki Ammi.

Doc: inhain deekh k lag rha hai k yeh married hain?

Ammi: ha Kal hi iski shadi hui hai, kiyà hua doctor koi pareshani ki baat toh nahi hai na humari bachi theek toh hai na??

Doc: pehlay yeh bataein Kay inki shadi inki marzi say hui hai ya zabardasti ki gae hai?

Maa: nahi yeh shadi dono ki razamandi say hui hai. Par ap yeh kyun pooch rahi hain?

Doc: yeh humari duty hain khair yeh bataein in k husband Kahan hain? Shadi ki subha woh kahen isay chor k chalay....

Maa: nahi nahi ap kaisi baat kar rhi hain doctor yeh nalaiq ap kay barabar mei khara hai na yahi hai iska pati

AS: ha doctor hassu humari best friend bhi hai aur ab humari wife bhi , ab batein gi bhi ap k baat kiyà hai, itnay sawal humara toh dil baitha ja rha hai, humari hassu theek toh hai na.

Doc: ha woh theek hain, shaid Kal say unhon nay kuch nahi khaya hai , isliay uska blood pressure kaafi down ho gaya hai jis ki wajah say woh behosh ho gaen, or woh hypoglycemic bhi hai toh mei nay unhon glucose ki drip laga di hai, jaisay hi inhain hosh aa jaey ap inhain healthy diet day saktay hain.

Maa: Kal say kuch nahi khaya matlab Noor hassu nay Kal say kuch nahi khaya or tu nay humain bataya bhi nahi kyun?

AS: hassu bhi bilkul bachi hai, humain kiya pata tha k woh sach mei kuch nahi khaey gi kuch, maa Ammi ki is mei koi ghalti nahi hai hum batatay hain k Kal kiyà hua tha.

Maa: yani tu janta tha k humari bachi Kal say bhooki hai.

AS: maa ap humari pehlay baat toh sunain phir bataeay ga k ghalti kis ki hai " Kal subha subha hassu nay humain call Kar k ghar bulaya tha or zid kar rhi thi k usay pizza khana hai , hum nay usay buhat samjhaya k itni subha subha pizza 🍕 Kahan milay ga hum sham ko usay la k day dyn gay, abhi kuch woh kha lay par woh zid par arri hui thi k usay pizza 🍕 hi khana hai , jab tak usay 🍕 nahi milay ga woh kuch nahi khaey gi, humain laga k woh yun hi bol rhi hai humain nahi pata tha k woh sach mei kuch nahi khaey gi, or sham ko shadi k chakkar mei hum bhool gay Kay usay pizza la k daynay ka hum nay us say wada kiyà tha"

Maa: nalaiq teri wajah say humari bachi ki yeh halat hai.

Ammi: is mei Anu ki kiyà ghalti hassu ko samjhna chaheay k subha subha pizza Kahan say milay ga.

Maa: Noor tu is nalaiq idiot ki side mat lay yeh hai hi duffer, Sahi kehti hai hassu, ab khara kiyà hai ja ja k humari bachi k liay pizza lay k aa.

AS: maa is samay hum pizza Kahan say laen.

Maa: humain nahi pata ja tu kahen say bhi lay k aa.

AS: maa yeh kiyà ap har samay iski har baat maan jati hai, ghalti iski hai isay dantnay ki jagha ap hum par gussa nikal rahi hain, hum nahi janay walay kahen.

BEST FRIEND WALA LOVE: 💕💕💕💕Where stories live. Discover now