9. Badalna Mushkil hai.

1.8K 127 21
                                    

The next morning Rishita and Raavi woke up early to prepare for their 'PEHLI RASOI'. Rishita started with 'Khammam Dhokla' for breakfast while Raavi opted to prepare 'Halva' as a dessert. Rishita was not very good with cooking and hence, Raavi would assist her with ingredients and the recipe. Once they put Dhokla for steam, Rishita excused herself for a few minutes to wake up Dev. Raavi had tossed some 'Suji' in a pan while cutting the dry fruits simultaneously. Shiva woke up and came into the kitchen to drink some water. 

Shiva: Ae, chipkali, Tu itni subah subah kitchen me akele kya kar rahi hai? Kahin Ghar jalane ka irada toh nahi hai tera? 

Raavi: Agar teri button jessi aakhon se dikhna band ho gaya hai, toh inko donate kyu nahi kar deta ? Dekhai nahi de raha hai, mein halva bana rahi hu! 

Shiva moved closer to the counter and looked at the pan.

Shiva: Nashte me Halva kon khata hai, Ghaderi!  Yahan sabko heavy nashta karne ki adaat hai, tere ek katori halve se kisika peth nahi bharega. Aur Dhara bhabhi kidhar hai?

Raavi: Ae Dakhan, aaj meri aur Rishita ki Pehli Rasoi hai toh issiliye Dhara di nashta nahi banane wali hai par tu fikar mat kar, tere paapi peth ko bharne ke liye Rishita ne Khamman Dhokla chadda diya hai aur mein dessert ke liye halva bana rahi hu. Lekin agar fir bhi tujhe kuch dikhayi nahi de raha hai toh jaake apna muh saboon se dhole, akhien saaf ho jayegi. 

Raavi smirked, pointing the knife at Shiva, asking him to leave. 

Shiva: Meri akhien bilkul sahi hai lekin shayad teri naak band ho gayi hai, udhar dekh tera halva jal raha hai. Shiva turned off the gas. 

Raavi: Hey bhagwaan, iss bandar se ladne ke chakkar me meri Suji jal gayi. Urgh, Shiva, tu kyu hamesha mujhe pareshan karta rehta hai, dekh teri wajah se kya ho gaya, ab halva kesse banungi?

Shiva: Mene kya kiya, galti teri thi. Agar me nahi bolta, toh tu sara kitchen jala deti. Aur tu sach mann kyu nahi leti, ye metha wagere banana tere bass ka nahi hai. Tu ek kaam kar, dahi me chinni daal aur sabko khila de, Shagun bhi ho jayega aur ghar bhi nahi jalega! 

Raavi: Tu...tu bas jaa yahan se, pehle mera kaam kharab kar diya ab mujhe hi suna raha hai. Me kuch na kuch bana lungi, tere gyaan ki zarurat nahi hai !

Dhara entered the kitchen.

Dhara: Ohho, Kyu subah subah ladna jhagdna shuru kar dete ho tum donno, pata nahi saari raat nind kesse aati hogi tum doono ko !

Raavi and Shiva looked away awkwardly remembering their sneak out last night. 

Shiva: Vo..Vo bhabhi aap mujhe kya bol rahi ho, iss chipkali ko dekho na, dhang se halva bhi nahi bana sakti, sabke ke liye khanna kya khaak banayegi! 

Raavi: Dhara di meri koi galti nahi hai, mein toh kitne mann se sab ke liye halva bana rahi thi, lekin iss bhootnath ki bakwas ke chakkar me meri suji jal gayi. Aap please isko bolo mere kaam me apni tang na adaya kare. Mere kitne armaaan the, apne pehle rasoi ko lekar, isne apni bakwas se un sab par pani pher diya.

Shiva: Ae Maami-ki-behen-ki-beti, ye melo drama khahin aur jaake kar, galti teri thi ki tujhe laga ki tu sare kaam ek sath kar sakti hai, toh apni galtiyon ka pitara mere sir pe mat thop aur ab apne armano ka cake bana aur maze se cake cutting kar, Ghaderi! 

Dhara: Arey arey, bas bhi karo tum donno, thoda si suji hi jali hai koi world war nahi huya hai ki tum log  ek ke baad ek apne tanno ki missile launch kiye jaa rahe ho. Meri ek baat achese samajh lo, ab tum donno  bachhe nahi rahe, badhe ho gaye ho, toh ek dusare ki izzat karna sikho, ek dusare ka sahara banna sikho. Ab tum donno ka rishta badal gaya hai toh tum donno ko bhi badalna hoga, samjhe! Ab Shiva, tu jake ready hoja aur Raavi, tu nashte ki baaki taiyaari karle, halva fir kabhi bana lena. 

Shivi: Shubh Mangal Savdhan.Where stories live. Discover now