Hm called someone
Hm - hello jai hind bakshi sir sho haseena mallik speaking
Ab - boliye miss mallick kya baat hai
Hm - sir hamare pass jo pendrive thi agents ki list wali wo hum apki soupna chahte hai
Ab - (excitedly ) kya sachme miss mallik aap per wo pendrive to nasht hogaya tha na
Hm - nahi sir wo nakli thi humne kaaha tha na pendrive kisi mehfooz jagah pe hai per ab hum ye namurad chiz jisne humse hamara sabkuch cheen liya aur apne pass nahi rakhna chahte
Ab - theek hai to aap ajaiye pendrive leke
Hm - aah sir hum apse wohi milna chahte hai jaha Anubhav ko maara tha
Ab - (thinking for sometime ) theek hai ajaiye thodi der mein
Hm - ji sir hum nikalte hai jai hind
Disconnected the call
--------------------------------------
Scene changeHm is standing at the same place and waiting for bakshi when his car arrived and he came out with more few men's
Hm - jai hind sir
Ab - jai Hind hai hind , laiye miss mallik pendrive dijiye
Hm - konsi pendrive sir
Ab - wohi agents ki list wali jiske liye apne hame yaha bulwaya tha
Hm - wo to usi din nasth hogaya na sir
Ab - dekhiye miss mallik main yaha mazak karne nahi aya hu wo pendrive jaldi dijiye warna
Hm - warna kya sir
Ab - warna (he took out his gun and aimed at hm ) warna tujhe bhi wohi bhejdunga tere Ashiq ke pass , yaad hai na Tera Aashiq Anubhav singh dsp jisne tujhe apne hatho se maara tha (he laughed evily and hm's eyes filled with tears )
Hm - to tum ho asli gunehgar asli captain
Ab - ha ha main hi hoon asli captain asli gaddar tumhara anubhav nhi wo to bechara mujhe pakadna chahta tha bada aya desh bhakt (again laughed a drop of tear escaped hms eyes realising her mistake )
*****************
FlashbackSp - asli gaddar Anubhav nahi hai balki Ajay bakshi hai
Hm - ye kya kehrahi ho tum Ajay sir hamare senior hai wo aisa kaise karsakte hai
Sp - Ajay senior hai Anubhav nahi tha haseena tum kyu nhi samajhti jo jaisa dikhta hai ya dikhata hai waisa nhi hota Anubhav bhi tumhe kitna ye samjhane ka koshis Kara hai per tum nhi samjhi itni saari loopholes di tumhe samajne keliye per koi nhi samjha , tumse kisi ne Anubhav ka dard samajhne ki koshis ki hai uska dard kisiko Nazar kyu nhi ata
Hm - aur hum kaise manle tum sacchi hi aur ye koi chal nahi aur akhir lagti kya hi tum Anubhav ki , aur rahi baat dard ki syad tum kabhi hamara dard nahi samjhogi tumhare sath nhi huye na dhoka tumhara pyar nhi mara tumhare ankho ke samne
Shilpa grew silent on hearing this and others calmed haseena but sp grew her strength and said in a broken voice
Sp - sahi kaha ma...main nahi samajh paungi ap...apno se dur jane ka dard pyar ke Ruth jane ka dard apne pyar ki apne hatho se maarne ka dard , pata hai kyu kyuki main jisse pyar karti hu wo to mujse kabhi pyar kiya hi nhi (all.looked at her in shock ) aap Janna chahts hai na Mai kon hu , to theek hai
Main kanpur ki rehne wali thi mere papa wahake bade neta the aur hamari medicines ke godown bhi the wohi pe kuch saal pehle , main pharmacy student thi isliye apne dukan pe aksar Jaya karti thi Anubhav se meri pehli mulaqaat wohi Hui , pehli mulaqaat mein hi mano usne kuch jadu sa kardiya (imagining ) phir aksar kuch na kuch dawaio keliye wo ata rehta aur mujhse baat karta phir har dam isi rastey se guzarta ase hi humdono ki beech dosti Hui aur ye dosti kab pyar mein badli pata hu nhi chala , mujhe lagta tha Anubhav ek teacher hai uske pita nhi bass maa aur behen hai uske maa se baat hui to pata chala uski maa meri maa ki acchi saheli thi phir papa ne humdono ki mangni Tay kardi (she said imagining but suddenly realised her situation) per mangni Wale din anubhav be mujhe kuch aisa bataya jisse mere pairo taale zameen khisak gai mere sarpe jaise dukho ka aasmaan toot pada , Anubhav to Anubhav tha hi nahi wo to ek agent tha aur wo mujse koi pyar wyar nhi karta tha wo waha bas..ha...honey tr...trap keliye aya tha (her voice choked and others looked at her amused ) per use laga ki mera usme koi hath nhi hai isiliye usne mujhse sab sach kehdiya mujhe kuch samajh nahi arhaa tha main kya karu kyuki Mai...main Anubhav se pyar karti thi khudse bhi jyada per papa pe bhi ilzam lagte nhi deohsatu thi phir Anubhav ne saare sabut aur sach bataya phir papa ki asliyat mere samne aye wo ek bhrasht neta the logo se paise leker kamzor jameen per school banate the aur to aur unke medical godowns ke peeche drugs ki smuggling hoti thi , ye baat pata chalne per apne aap se nafrat si hone lagi maine Anubhav ka sath dene ka socha aur papa ko pakad liya per uske baad mere pass jeene ki koi wajah hi nhi bachi mera pyar mera nhi tha mere papa aise nikle phir As ne samjhaya ki kabhi lage ki tumhari zindagi ka koi maqsad na ho to sochna wo zindagi ka sabse bada maqsad iss desh ke prati balidan dene ka hosakta hai, aur isileye maine ib join ki taaki meri bemaqsad zindagi ko jeene ki maqsad mile aur main Anubhav ke pass bhi rahu pyar na sahi dosti aur sath hi kafi hai aur isi douran meri batein maa se hone lagi aur maa ko mission ka pata chala pehle to wo As se narz thi per baadme sab theek hogaya maine bhi Anubhav ka sath kabhi na chorne ka wada kiya waqt beetta gaya Anubhav aur meri dosti aur gehri hogayi phir Anubhav ne desh job keliye apply Kiya air mission jeet ke chalte yaha agaya aur phir haseena se pyar hogaya jab mujhe isska pata chala mujhe bhot dukh hua ki mujhme aisi kya kami thi phir socha akhir Anubhav ki khushi agar tumne hai to gila kis baat ki
Sabse ahem baat kya hai haseena janti ho Anubhav ki maut mere samne hi Hui hai
YOU ARE READING
Anubhav ka nazariya
Fanfictionsamajh nahi araha kaise likhu bass socha likhlu apna Mann halka karlu this will be a short story from Anubhav's pov and i so wanted ki someone should be there who can understand him and see everything from his prospective don't take me wrong i also...