Mayajaal Climax

411 48 56
                                    


In the courtroom 

Both the lawyers bowed infront of the judge. 

"Aaj ki karwahi shuru ki jaye ." The judge ordered.  .

"Your honour,  ye Ms Mallik ke call records hain, unke last call jo Anubhav Singh aur unke  Beech hua usme Anubhav Singh ne saaf saaf apna gunaah qubool kiya hai. Anubhav Singh ne apne pita ki maut ka badla lene ke liye apne desh aur department ke sath dhoka kiya aur rashtriya suraksha ko daav pe laga diya. Aise deshdrohi ko sakht se sakht saza honi chahiye . I rest my case aur mujhe vishwas hai ki defense ke paas bhi kuch nahi hai ab. "

The judge noted down "Ms Desai kya aap kuch kehna chahengi?" 

"Ji Your honour,  Asli case to ab shuru hua hai. Mai Haseena Mallik ko kathghare me bulane ki aagya chahungi ." "Anumati hai " judge spoke.

Haseena stand in the dock. 

"So Ms Haseena aap ek aadmi se takrai aur usne aapko wo hard disk di. Aapko Anubhav Singh ka call aya aapko sachet karne ke liye, aap waha se nikli aapne hard disk ko locker me rakha. Unfortunately Mira ne aapko shoot kiya, Mr Bakshi deputy head of IB ne aapko bacha liya. Fir aap lauti Urmila banke , ek baat bataiye itna sab hone pe aapne wo hard disk na Mr bakshi ko di na destroy ki ye jante hue ki usme Kitna sensitive data hai. Aisa kyu?" Kusum asked.

" Ji Haan humne wo destroy nahi ki kyuki wo ek zariya thi jisse hum us gaddar tak pahuch pate. " haseena spoke.

"Wow, kafi kabil officer hain aap ! Acha itni kabil officer hain to aapne kitne encounters kiye Hain? "   "Ji kareeban 15 kyuki hamara manna hai ki jazbaat ki takat bahut zyada hai aur koi bi paidaishi mujrim nahi hota. " 

"Kafi uttam vichar hain, acha un 15 me se Kitno ko aapne maarne ke purpose se shoot kiya , I mean sight of shoot like kha shoot karti hain aap ?"

"Nahi hum maarne ki intention se shoot nahi karte . Hum hath ya paer me shoot karte hain taki samne wala kamzor ho jaye ." Haseena spoke .

"To fir Anubhav Singh jinse aap bahut shiddat se Mohabbat karti thi unhe aapne kese shoot kiya wo bhi directly at main organs like stomach,  lungs?" Kusum asked with slight expression of anger. 

"Us waqt hum majboor the, hamare saamne hamara pyaar nahi ek gaddar khada tha humne bahut koshish ki thi unhe samjhane ki par unhone ammi ko nishana bana rakha tha aur ham kya karte aise me ?" Tears welled up in her eyes. Seeing her that way Anubhav got restless.  Kusum continued "jhooth bol rahi hain aap , asal me aapka maksad tha us pendrive ko bechna aur pese kamana. Apke raste ka kata bane Anubhav Singh jo us pendrive ko lena chahte the . Isse na sirf aapko pesa milta balki aapka badla Pura hota Anubhav Singh se jo aapko us din sagai ke din chhod ke chale gaye. Gaddar Anubhav Singh nahi aap hain " kusum spoke loudly and her statement stirred whole courtroom.

"Ye bilkul galat arop hai,  hum aisa soch bhi nahi sakte . Hamare liye sabse upar hamara desh ata hai . " haseena spoke enraged .

"Pesa aur badle ki aag ache acho ko badal deti hai Ms Mallik . Aapne bhi whi kiya"

"Your honour defense case ko bhatka rahi hai, Haseena Mallik kitni sachi Deshbhakt hain iska praman dene ki avashyakta bhi nahi hai. Aur kis binam pe Ms Mallik pe arop lagaya jaraha hai." Harish interfered. 

"Ms Desai kya aapke paas apne is aarop ko pramanit karne ke liye saboot hai ?" Judge asked. 

"Ji bilkul hai your honour,  proof hai! Ye pendrive jo kabhi destroy hui hi nahi balki haseena mallik ke cabin se mili hume Lucknow Jane par . Wo pendrive ko destroy karna , Anubhav Singh ko maarna sab planned tha aur ye plan me ye akeli nahi karishma Singh bhi shamil thi , warna bataiye aapne wo data Mr bakshi ko kyu nhi diya? Kyuki aap dono Anubhav Singh ko raaste se hatake wo pendrive dushman desh ko bechna chahti thi Taki badle me aapko pesa mile , ilzaam qaye Anubhav Singh pe , yhi sach hai , aap unse pyaar nhi karti thi balki aapki beizzati ka badla lena chahti thi jo us sagai me hua isliye aapne bina investigate kare unhe seedha Mara aur jab dekha ki wo aapki sachai jaan gaye hain aur aap par hamla kiya tab karishma Singh  ne teesri aur aakhiri goli chalai . Yahi sach hai your honour Ms Mallik ek gadar hai aur unhe kadi se kadi saza milni chahiye."

Kuch Ankahi Dastaan!Where stories live. Discover now