Author's Note

318 37 36
                                    


Anubhav Singh, sirf ek naam nahi hai ! Hamare liye hamari ek chhoti si duniya hai.  Golgappe ke stall se start hui ek aisi kahani jise hum Anubhav hearts hamesha yaad rakhenge. Bahut se male characters aaye aur gaye par Anubhav Singh jesa na koi hai na hoga ! Kisne socha tha ek insaan jo golgappe wale ko apni baato me uljhayega ,  haseena se takrayega , shaadi ke din dulhe se usi ki ghodi churayega wo dekhte hi dekhte ek dastaan ban jayega . Jis tarah Anubhav Singh ne us kidnapper ko baato ke jaal me fasaya aur sabhi bacho ko bachaya, hum sabka dil aagya wahi pe. Thodi door Jane pe pata chala ki wo DSP Anubhav Singh hai , ek new dsp jo haseena aur karishma ke jhagde ko suljhane ke liye aaye . Kitni saralta se ek rassi ke madhyam se unhe samjhaya ki Kitna zaroori hai unka saath us thane ke liye. Jab kitab ke panne palte to ek Naya Roop aya , ek secret agent ka jinka sahi zikra shayad hi kisi serial me hua . IB shyad show se pehle logo ko pata bhi na ho ki kya hai par Anubhav Singh ke zariye pata chala ki hamare desh ke kitne log secret agents banke bina kisi medal, tareef ki umeed ke bas apna kartavya nibha rahe hain. Wo aaye to mission jeet ke liye, haseena ko pyaar ke jaal me fasana tha par wo haseena bhi kya haseena thi, unhe fasate fasate khud hi prem ke mayajaal me fas gaye. Jab virus haseena ne inject kiya to saanse unki ruk gayi. Vaar haseena pe hua par le khud pe liya, kabhi naraaz haseena ko manane ke liye chaat khilai to kabhi mikhail. Aur mila pyara sa Anuseena . MPT ki bhi kitni baar help ki Har case me , dsp goals shayad yhi hote . Sab theek jaraha tha ki Rahil Sir ko jana pada , par hum fans ki umeede nahi tuti, lockdown hua, trends hue, par pyar badhta raha. Wo wapas aaye is baar thode alag andaaz me, na department ko nirash kiya na MPT ko , ye sirf Anubhav Singh hi kar sakte hain. Finally wo din aaya Jab hum sabki khwaish puri hui, proposal hua mujhe to laga ab sab theek ho gaya par fir wo sagai track. 6 mahine intezar kiya, trends ki, requests Kari Pooja bhi Kari , umeed tutne wali thi ki wo wapis aaye tirange ke saath . Lag raha tha ab sab theek hoga par , shayad makers aur hamari kismat ko manzoor nahi tha, ek jhatke me unhe desh bhakt se desh drohi bana diya. Jo haseena unke liye jaan lene ko taiyar thi unki jaan lene ko taiyar ho gayi. Jo behen unke gayab hone pe pareshan thi usne maarne ke baad ek nazar bharke dekha ni. Makers ki bat hi ni karte.

Mene is story ke through bas Anubhav Singh ko wo justice dilwane ki koshish ki jo wo deserve karte the par mili nahi.  Anubhav wo hai jo khud ke liye kya un anjaan logo ke liye gaddar sabit hone ko taiyar ho gya , wo nahi jo show me dikhaya. Wo jo haseena pe ek kharoch na aane de wo nahi jo use hi maare. Anubhav wo hai jo ammi ki khushi ke liye ek second ne taiyar hua natak karne ke liya wo nahi jo unhe nishana banaye , Anubhav wo hai jo behen ke liye pralay macha de wo nahi jo behen pe bandook tane . Ab aap batao konsa Anubhav sacha hai ? Wo jisne haseena ko salute kiya ya wo jisne use shoot kiya? Is story me mene wahi Anubhav dikhaya.  

Ab baat karte hain Anuseena ki , to Anuseena Mera favorite pair hai, unhe toot ta dekh kar mujhe bahut takleef hui , par kese unhe  mila deti Mai? Ye haseena jisne goli chalai wo haseena nahi hai jisse Mai pyaar karti thi. I am really sorry to say par jis haseena mallik ko Mai apna idol Manti thi wo us din Mira ke shoot karte hue sach me Mar gayi. Pata hai Anubhav ka villain banna kisi angle se logical nahi hai kyuki sirf kuch episodes me hua hai, par haseena ko inhone dheere dheere slow poison se bigada hai. Mere liye haseena mallik wo hai jo haste haste us virus ko apne andar inject kar gayi. Wo haseena jo bade se bade apradhi ko ek behtar insaan bnati thi. Wo haseena jiske liye self respect sabse badi thi. Ye haseena wo nahi hai. Natak karne me bhi insaan apni limits nahi bhulta, yaddasht jaane ke baad apne usool aur sanskar nahi bhulta . Par ye konsi haseena hai? Meri story ki haseena mallik wo hai , jise apne premi pe goli chalane ka dukh hai par apne desh bhakt hone par garv bhi . Jo ek baar se zyada nahi bolegi ki use Anubhav ka saath chahiye balki haske uske faisle ki izzat karegi. Aur ek doha hai kabir ka

 "Rahiman dhaaga prem ka , mat todo chatkaye                                                                            Toote se fir na Jude, Jude gaath pad jaaye"

Situation jo bhi ho par is kahaani ke according,  haseena ne Anubhav pe goli chalai wo bhi maarne ke purpose se, saath rehke wo dono kabhi is cheez ko nhi bhool pate isliye is samay doori hi sahi hai. Agar show me by any chance Anubhav ko insaaf diya to Mai is story ka sequel likhungi Anuseena ke liye par filhal aisa kuch nahi hai."

Ab kusum ki baat ! I know some of you must be thinking ki kusum ki ky glti thi is sab m !Nd why she was heartbroken ! But trust me Kusum ko koi dukh nhi hua h .she is perfectly fine ! Kyuki dukh tab hota h jab expectations hoti h ! Aur kusum n anubhav ko idol mana h ! Wo unki devotee h !Aur devotion m kbhi heartbreak ya dukh ho hi nhi skta h !Aur agar anubhav ko point one percent bhi feeling aati kusum k liye to ye khi n khi anubhav k character p bhi sawal uthata .Aur kusum k bhi ,kyuki usne khi koi esa sign diya hi nhi h ki usko anubhav ko pana h ,SRF aur srf bekasoor sabit krna h !Jo abhi hum chahte h !Kusum hum sab fans ko represent krti h ! Jo SRF aur SRF phle anuseena k liye happy ending chahte the aur aaj srf aur srf anubhav k liye justice chahte h !Aur ye character anubhav ki parchhai h ! Wo bina kisi umeed k apni duty nibha rhi h , har us insan k liye jisne anubhav ko idol mana h ! 

Aur saath me Anubhav ne sirf Haseena se pyaar kiya hai, kisi aur ke baare me soch bhi nahi sakta Anubhav,  unke is pavitra pyaar me 3rd angle laana mere liye Har angle se wrong hoga!

I hope I conveyed the message properly! Thank you for all the support you all give ! Grateful ❤ 

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Apr 03, 2022 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Kuch Ankahi Dastaan!Where stories live. Discover now