Ab aese hi haseena ko aaye hue one something ho gya tha. Uska or karu ka roj kisi na kisi baat ko le kar arguments ho jate or uske baad karu principal office chali jati. Aese hi ek din haseena lecture le rahi thi or karishma zone out thi, haseena ne karishma se kuch puch to use nahi pta tha.
Hm : aapka dhyan kaha h karishma kabse hum aapka name le kar bula rahe h or ab aapko pta hi nahi class me kya chal rha h
Ks : sorry mam vo me
Hm : enough karishma singh, ye acha h aap kuch bhi karo or har baar ki trah sorry bol do baat khtam. Hadd hoti h kisko chiz ki, par nahi hume to vahi karna h jo hum karna chate h
Ks : but mam
Hm : enough now
Sr : yrr ye kya baat hui
Ks ne uske shoulder par tap karke use shant karvaya
Hm : ab hum yha baat kar rhe h or aap vha kaha dekh rahi h, aapko yahi sab karna h to aate hi kyu college me raho na ghar par kyu faltu me apne mummy papa ke paise barbad kar rhe ho, yahi manners mile h apko
And it's enough for karishma.
Ks : bas mam aaapki jo bhi marji ho vahi mat bolte jao, mana ki meri galti h or me sorry bhi bol rahi hu aapko aese kisi ke parents ko bich me lane ka haq kisne dia. Hum sun rahe h iska ye matlb nahi ki hum bol nahi sakte
Gr : karu shant ho ja
Ks : nahi yrr garima inka har baar ka yhi h, jabse aaye h tabse hi, or kab tak ignore kare. Sab log sahi khete h inke baare me h ye cold hearted, h ye ice queen inhe kisi ke emotions ki koi fikar hi nahi h, aaj tak kisi ne humare parents ke baare me bolne ki himmat nahi ki ye unn par ungli utha rahi h, or manners to hume bhot ache mile h mam isi liye abhi tak sant the kuch bola nahi
Hm : ha hu me cold hearted ha hu me ice queen khush, now leave from my class
Ks : jaa hi rahe, rehna kise aapki class me, or ye jo aapne apne aas pas shield bna rakhi h na ki mujhe koi farak nahi padta use nikal dijiye.
Itna bol kar vo chali gyi. Or haseena ne bhi jese tese apna lecture complete kia.
Pj : kya hua karu kyu itne gusse me ho kisi ne kuch kaha
Ks : pushpe vo haseena mam aaj to unhone hadd hi kar di humare parents ke manners par ungli utha rahi thi. Hum har roj ignore kar dete h par aaj humse nahi hua. Hum unhe suna aaye
Pj : karu ye galat baat h na vo teacher h na tumhari. Guru h vo
Ks : par pushpe limit to hoti h na kisi chiz ki aaj inhone vo limit cross kar di. Or apko bhi pta h hum mom dad ke bare me kuch sun nahi sakte.
Pj : jante h hum baccha, par use thodi na pta h ki vo ab nahi h. Tum apna gussa sant karo jyada gussa karna achi baat nahi h
Ks : hum nahi karte gussa par jab aata h to humara khud par se control chala jata h, hume nahi samjh aata ki hum kya kar rhe
Pj : phle tumhara gussa shant ho jane do phir ye topic par baat karge Ok
Ks : Ok
Haseena bhi staff room me beth mar kuch notes check kar rhi thi. Tab hi karishma ki note aai
Hm : karishma singh, aap hume sabse alag lagi thi par aap bhi dusro ke jese hi nikli, hume kya jab hume humare parents se koi umeed nahi rahi to aap to h hi kon, par aaj aapne itna react kyu kar dia vese kabhi palat kar jwab nahi dia ya humne hi kuch jyada bol dia. Hum ek or hatelist me add ho gye. Sabko hum hi milte h yha ye ghar par rahil, or phle ammi, jab humari ammi ne hi humara sath nahi dia or karva dia nikah ek aese insan ke sath jo, apni wife ko sirf pairo ki dhul samjhta h usse jayda kuch nahi roj roj ke jhmelo se tang aa gye h hum. Or karishma aap uss din to apko bhot farak pad rha tha jab aapse galti se humari chot par hath lag gya tha tab to bhot maafi mangi jaa rhi bina koi galti kiye, to aaj vo insan kaha gya jiske muh se nikla hua har ek shabd humare dil ko lga kher hume kyu itna farak lad rha h vo sirf humari student h, har saal hume hazaro students milte h jo hume khdoos, pathhardil, or pta nahi kya kya bolte rehte h par hume aaj tak unke bolne se koi farak nahi pda to aaj karishma ke bolne se itna kyu farak pad rha h, haseena nahi tu ye sab nahi soch sakti vo sirf student h meri bas or kuch nahi
Haseena apne hi khyalo me khoi thi tabhi staff room me garima or susheela aaye
Gr : may we come in
Hm : aao
Kya huaGr : mam ko aapko karu ko uske parents ke bare me nahi bolna chaiye tha. Vo apne parents ko lekar bhot jyada sensitive h uske parents ko koi kuch bhi kahe usse shen nahi hota
Hm : or vo kyu
Sr : mam uske mummy papa na rahe iss liye
Hm : kya matlb
Gr : mam vo uske parents ka accident hua tha, tab unki death ho gyi thi
Hm : mujhe sach me iss bare me nahi pta tha
Gr : ek baat or kahu agar aapko bura na lage to
Hm : bilkul kaho
Gr : mam hume lgta h ki shyad karu ke dil me aapke liye kuch feeling h
Hm : matlb
Sr : matlb ye ki karu kisi ka sun kar nahi leti par aaj tak usne aapko kabhi palat kar jvab nahi dia aaj ko chhod kar
Gr : ha mam, susheela sahi keh rahi h mene bhi notice kia h apke name aate hi h vo kuch ajib hi behave karti h
Hm : dekho tum dono jo bol rahe ho vo me samjh rahi hu par ye galat h, I am already married aap dono use smjhao jo kuch bhi h vo vahi khtam kar de
Sr : par madam mana ki aap married ho par aap khush to nahi lagte apke husband ke sath.
Hm : behave susheela rahel
Gr : mam ye jadbuddhi baat to sahi keh rahi h, par jane do jab aap hi manne ko tyar nahi ho to
Chal susheela hum jo kaam ke liye aaye the vo to ho gya. Or sorry agar kisi bhi baat ka bura laga hoSr : me bhi sory
Vo dono haseena ko uljhan me daal kar staff room se chale gye. Or haseena ke dimag me sirf unki hi baat ghum rahi thi.
.
.
.
.
.
.
.
.
.____________________________________________________________________________
आप पढ़ रहे हैं
💗 Aakhir kab tak 💗
RomanceSo ye story h karishma singh and haseena malik ki kya ho jab karishma ko beintha mohabbat ho jaye apne hi teacher se or phir unhe pta chala ki vo already married h...... or kya jo jab vo apni mohabbat ke ankho me ansu or jism par chot ke nisan dek...