PART #6

810 96 11
                                    

HM: KS kiyà hua kiyà Kaha doctor nay?

KS: Ms Shanti rakhain pani lyn. Doctor nay Kaha hai k aunty ki chemo start karnay mei hum nay buhat dyar kar di, unki body nay abhi tak respond Karna shru nahi kiyà hai, woh log poori koshish Kar rhy hain. Ap chinta mat karen sab behtar hoga. Hum sab mil k aunty ji k liey Dua kartay hain woh jald say jald sehatyab ho jaen.

HM: ap janti hain KS humara Ammi k ilawa koi nahi hai, agar humari Ammi ko kuch ho gaya toh hum jeetay jee mar jaen gay. Sirf unhi ki wajah say hum zinda hain warna humain jeenay ka koi shoq nahi hai, sab khushiyan hum say chin chuki hain.

KS: ap aaisa kyun keh rhi hain Ms hum sab hain na ap k Sath. Hum hain na apko sambhalnay k liay. Or iskay baray mei toh sochain jo is duniya mei aanay wala hai.

HM: KS hum sahara nahi humain Sath chaheay, waisay bhi bus yeh ek zimadari hai humaray liey or kuch nahi hai. Humaray liey Ammi say zayda eham koi nahi hai. Yeh bhi nahi. Or hum kiyà Karen aur isay Janam dyn phir is ka parivar aa k isay hum say cheen k lay jaey or hum phir akelay ho jaen.

KS: Ms yeh toh ap k or Bilal sir k pyar ki nishani hai

HM: nahi humain kisi say pyar na hai na tha kabhi or na hi kabhi hoga. Hum nay shadi sirf apni Ammi ki Khushi k liey ki thi bus. Hum toh apni zindagi are nay Abu ki tarha desh ki Seva mei guzarna chahtay thy, Bus Ammi k liey hum is rishtay ko nibhana chahta. Bilal ek buhat hi achay insan thy unhon nay humain zindagi jeenay ka ek naya nazariya diya tha. Hum har baat ek positive way I sochna sekhaya tha. Unhon nay humari ideology toh badal di par apnay parivar ki sooch nahi badal paey. Humara Sath bus kuch dino ka tha or is mukhtasar say arsay mei unhon nay humain naye sooch di. Humara jitna bhi Sath tha buhat hi acha tha, humari or unki dono ki bad naseebi thi. Humaray Sath humari qismat nay wafa nahi kiyà or un Kay Sath zindagi nay.. woh khud broad minded thy par unki family ek purani sooch rakhnay wali typical minded family thi. Woh log humain samjh nahi paey ya hum ki sooch k mutabiq khud ko dhal nahi paey. Shaid Bilal k bad humaray pass us ghar mei rehnay ki koi wajah nahi thi. Woh chahtay thy k hum Bilal k chotay bhai say nikah kar lyn Jo humain qabool nahi tha. Phir is nanhay mehman ka humara jewan mei dastak dayna. Humaray liey ek azmaish say Kam nahi tha.. Bilal ko pata hi nahi tha is baray mei.. agar woh hotay toh shaid buhat khush hotay, Jo izzat humain shadi k bad us parivar mei nahi mili shaid is khushkhabri k bad mil jati. Par nahi unki bhi sooch ghalat thi.. hum nay nikah k bad khud ko saunp diya unhain. Kyun k Ammi ka kehna hai k nikah mei buhat taqqat hoti hai asli pyar nikah k bad hi hota hai is say pehlay humain un say pyar hota woh humain chor gay kabhi na loatnay k liey. Agar humari Ammi bhi isi tarha humara Sath chor diya toh hum kahen k nahi rahen gay. Hum Jeevan ka koi mainay nahi hai Ammi k bina.

KS: Ms buhat kuch saha hai ap nay. Dekheay ga yeh mushkil samay guzar jaey ga apko ap k hissay ki khushiyan milain gi humara dil kehta hai. Ek sab theek ho jaey ga pyar apki zindagi mei dastak zaroor day ga.

HM: woh din kabhi nahi aaey ga yahan toh log ek vidwa ko apnanay say dartay hain ek vidwa k Sath ek bachay ki zimadari Kaun lay ga. Aur waisay bhi hum apnay is Jeevan say khush hain humain kuch nahi chaheay aur.

Anubhav is listening their talks he has having tears in his eyes.

AS ( pov); hum nay buhat ghalat kiyà hai in k Sath bina sach jannay is say rudely behave kiyà hai. Inki problem samjhnay ki koshish nahi ki, apna behna k pyar mei hum itnay andhay ho gay k humain inki majboori samjh nahi aai. Humain lagta tha inhon nay humari behna say unka haq cheenah hai. Agar hum aaj commissioner sir say nahi miltay na hi humain woh yeh batatay k behna nay khud hi in k under Kam karnay ko chunna hai toh hum sari umar inhain ghalat samjhtay rehtay, or yahan aa k inki batein sun k koi shak ki gunjaish hi nahi rahi. Hum nay inka buhat dil dhukhaya hai humain in say maafi mangni chaheay.. ha hum haseena ji say maafi mangain gay aasha hai woh humain maaf kar dyn gi.

"SECOND CHANCE"Where stories live. Discover now