LAST PART:

883 107 54
                                    

Continue from previous part

Beautiful morning 🌄

Anubhav is sleeping peacefully hugging pillow, his peaceful sleep break by her cute little daughter who is playing with his hairs. He opens his one eyes, ananya smiles.

AS: good morning 🌄 angel. Wah aaj humari angel baba k uthnay say pehlay hi uth gae hai. ( Kissing on her checks) apki mama Kahan hain, kahen woh Kal raat wali baat say naraz toh nahi ho gaen? Ab ap hi batao angel baba kiyà karen, apko pata hai ap k baba duniya mei sab say zayda pyar apki mama or apni mama say kartay hain..par apki mama ko bata nahi saktay hain. Pata hai kyun angel kyun k woh apki mama ko takleef dayna nahi chahtay hain, ap k baba dartay hain k agar apki mama ko sach pata chal gaya toh pata nahi woh ap k baba ko kabhi maaf bhi karen gi ya nahi, lekin angel ap k baba nay kuch bhi jan boojh k nahi kiyà hai woh toh ap dono ki bhalai chahtay thy. Pata hai angel ap k Abu Bilal Ahmed zinda hain. Bus yahi wajah hai Jo ap k baba apki mama k qareeb nahi jana chahtay, agar apki mama ko yeh pata chal gaya k humain sab pata honay k bawajood bhi hum un Kay qareeb gay thy toh woh humain maaf nahi karen gi kabhi. Agar woh wapis aa gay toh ap dono ko hum say dour jana hoga na. Hum kaisay Sahen Karen gay ap dono say doori hum toh maar jaen gay angel. ( Crying and ananya wipes his tears with her little hands, he holds her hands and kissed on it) bus hum aaj hi sab sach haseena ji ko bata dyn gay. Hum unhain yeh bata dyn gay k un kay husband illegal weapon trafficking k mission par hain Jo k usi case ( women kidnaping) say jura hai jis mei unhain duniya k samnay apni maut ka natak Karna para.

HM: Anubhav yeh ap kiyà keh rhy hain. Bilal zinda hain? Or ap yeh baat jantay thy. Par ap nay humain kabhi bataya kyun nahi. Ya Allah hum yeh kiyà karnay ja rhy thy. Shukar hai hum nay koi ghalti nahi ki. Anubhav par yeh kaisay mumkin hai.

Flash back:

Commissioner: Anubhav aao mujhe tum say kuch zaroori baat karni hai.

AS: sir humara is samay kahen aur hona zaroori hai.

Commissioner: mei janta hun Anubhav tumhain haseena k pass jana hai. or mujhe yeh bhi pata hai Kay tum haseena say kin papers par sign karwanay ja rhy ho. Karishma Singh nay humain sab bata diya hai. Dekho Anubhav mei tum par bharosa kar k ek baat tumhain batana chahta hun. Mana k haseena Bilal Ahmed ko is waqt ek saharay ki zaroorat hai. Un par ek gham ka pahar toota hai kuch mahinay pehlay us nay apnay husband ko khoya hai or Kal apni Ammi ko bhi. Woh toot chuki hai poori tarha say, mei yeh baat haseena ya senior honay k natay nahi balkay haseena k Abu ka qareebi dost honay k natay keh rha hun k is samay tum hi usay sambhal saktay ho. Mei chah k bhi haseena ko yeh sachai nahi bata sakta k uska shohar zinda hai. Kyun k agar yeh baat Kisi bhi dushman ko pata chal gae toh haseena or us Kay bachay dono ki Jan ko khatra hoga, kyun k dushman Bilal ko kamzoor karnay k liay uska istemal kar saktay hain. Or mei nahi chahta k ab haseena ko kisi aur dukh ka samna Karna paray. Dekho Anubhav Bilal ek secret under cover agent hai or mei nay hi bhabhi Jan say keh k haseena or Bilal ki shadi karwai thi. Kyun k Bilal ek buhat acha suljha hua insaan hai beshak us k ghar walay jaisay bhi hun. Jab Bilal women kidnaping case par Kam Kar rha tha toh usay illegal human organs smuggling or illegal weapon trafficking ka inkeshaf hua, woh log sirf auraton ko kidnap kar k unhain ghalat Kam mei istemal hi nahi kartay unka ek buhat bara gang hai Jo har tarha ki illegal kamon say jura hua hai, or larkiyun ko bazeyab karwanay k bad fake bomb blast hum nay hi karwaya tha ta k duniya ko lagay k Bilal mar Chuka hai or woh undercover reh k is mission par Kam Kar sakay, woh log buhat hi khatarnak hai agar unhain Bilal k kisi bhi harkat ki Zara bhi bhanak par jati toh woh zaroor haseena ko nuksan pohchanay ka sochtay. Isliay mei nay yeh baat haseena say bhi chupai. Bus Anubhav mei yahi chahta hun k jab tak Bilal mission say Sahi salamat wapis nahi aa Jata tum haseena or us k bachay ka khayal rakho.

AS: ji sir hum khayal rakhain gay

Flash back ends.

HM: ap nay hum say itni bari baat chupai Anubhav

"SECOND CHANCE"Where stories live. Discover now