"Meri behen mujhe pe hi bhaari"

3.6K 131 13
                                    

This os starts after abhi-akshu came home after akshu's interview (this is pure imagination scene)

Abhi akshu came home, they sat on sofa and relax there some time ,manjiri gave them water and sit with them
After a moment kairav arrives there to see his baby sister akshu, as soon as he come akshu goes to hug him he hugs her back and checked her temperature as she had fever
Kairav: tu theekh hai na Akshu? Phirse bukhar to nahi hai na
Akshu: nahi bhaiyaa, mai bilkul theekh hun
Manjiri: kairav, beta aao baitho kya loge chai or cofee?
Kairav: nahi aunty, kuch nahi thank you bass akshu ko lene aaya hun aur ye bhi dekhne ki vo theekh hai ya phir koi aur usse ,aur stress de raha hai (while looking at abhimanyu angrily)
Manjiri looked at abhi and kairav and sense the tension between them
Manjiri: beta, tum bilkul Chinta mat karo mai hun na yaha mai khyal rakhungi meri akshu ka usse ghar le jane ki koi jarrorat nahi hai abhi bhi toh hai yaha uska khyal rakhne ke liye.
Kairav: I am sorry aunty, par mai akshu ko yaha nahi rehne de sakta khaas kar tab jab vo bimar ho aur abhimanyu ki baat aap mat hi karo vo kitna khyal rakhega acche se jan gaya hun main
Abhi: matlab kya hai aapka? Seedha seedha boliye baat ko ghuma phirana band kar dijiye
Akshu:bhaiya, abhi aap dono ek dusre se aise kyu baat kar rahe ho maine ghar pe bhi notice kiya tha kuch toh hua hai par maine socha mere bukhar ke vajah se aap dono pareshan honge isliye chup rahi par mujhe aisa kyu lag raha hai ki tension ki baat to hai
Abhi: nahi akshu jyada kuch bhi nahi hai tum pareshan mat ho
Kairav: bas karo abhimanyu ye care karne ka natak, jhootha dikhava karna band karo tum
Akshu:(in shocked and silent tone) bhaiyaa aap kya bol rahe ho aapko samaj main aa raha hai?
kairav: akshu tu beech main mat bol tujhe kuch bhi nahi pata
Aur abhimanyu tum bahot care care karte ho toh akshu ko aate hi interview ke liye kyu jaane diya kyu roka nahi use jab ki tumhe pata tha vo bimar hai phir bhi . god forbid ,usse kuch ho jata toh?
Abhi: mujhe pe Aapko bharosa nahi hai thik hai maan liya par aap bhul rahe hai ki mai ek doctor hun poori tassali ho jane ke baad hi maine akshu ko jane diya interview ke liye varna nahi jaane deta itni parwah hai mujhe meri akshu ki
Kairav: kuch bhi mat bolo abhimanyu uski care kartey toh usse jane nahi dete vo bhi akele, bas bahot ho gaya abhimanyu mai akshu ko leke jaaunga matlab jaaunga, apna natak band karo jitni takleef tumne akshu ko di utni kafi hai
(Unable to hold any longer her anger Akshu shouts)
Akshu: bass bahot ho gaya bhaiyaa aap mere pati se aise baat nahi kar saktey pehle mujhe laga koi chota mota jhagda hua hai lekin baat yaha tak pohochi hai nahi pata tha par ab bas ho gaya, mera abhi chup hai aapka maan rakh raha hai iska matlab ye nahi hota aap kuch bhi bologe aur mai sun lungi
Mere abhi ke khilaf mai ek lafz nahi sunungi especially tab jab uski koi galti na ho
(Listening to her voice busy birlas are came immediately in hall as they just about to enter in house)
(Abhi held akshu's hand and try to stop her)
Abhi: akshu plz shaant ho jao aur bimar padogi varna, abhi abhi toh bukhar utra hai na tumhara
Manjiri:haa akshu,beta abhi bilkul sahi keh raha hai tu shaant hoja phir aaram se baat karte hai
Akshu: nahi abhi nahi maa,aaj mujhe koi nahi rokoga aur na hi main rukungi
Kairav: akshu, beta ye kya keh rahi hai dekh tujhe kuch nahi pata bahot bholi hai tu, isliye tujhe kuch bhi samaj nahi aa raha
Akshu: mai bahot acche tarah se samaj rahi hun bhaiyaa, samaj toh aap nahi rahe hai kuch bhi ulta sidha bol rahe hai abhi ko
(Kairav tries to stop her thinking about her health)
Akshu: aaj nahi bhaiyaa aaj mai chup nahi rahungi, bahot bol liya aapne abhi ke baare main aur maine sun liya lekin ab meri baari ab main bolungi aur aap sunenge
Toh sabse peheli baat aapne kahi ki Abhi ne mujhe akele interview ke liye jaane diya aap konsi bases par aisi baat kar rahe ho bhaiyaa ek baar mujhse pooch lete, balki sach yeh hai ki Abhi mera saath aaya tha interview ke liye meri himmat badhane jabse hum ghar se nikle hai na bhaiyaa tab se abhi ne mujhe akela choda hi nahi hai iss tension main ki mera bukhar phirse badh na jaaye balki aap ko pata hai abhi ko bhi bukhar tha vo khud bukhar mai tap raha tha phir bhi woh meri seva kar raha tha apne baare main na soch ke (All are looking worridly at abhi especially manjiri)
Manjiri: abhi akshu tum dono thik ho na mere baccho abhi bhi bukhar hai Kya, teri maa ko bhi nahi bataya tune abhi?
Abhi: sorry maa par aap fikar mat kariye mera bukhar bhi kam hua hai agar mai akshu ki seva kar raha tha toh akshu apna bukhar chodke meri seva kar rahi thi jab usse pata chala
(Abhira says sorry to manjiri with holding ears , manjiri laughs at them and said)
Manjiri: iss baar dono ko maaf kar rahi hun par aage se aisa nahi hona chahiye
Abhira: promise maa
(Kairav looks at both of them out of guilt akshu looks at kairav again and said )
aur Kya kaha aapne vo meri care karne ka natak karta hai (Akshu laughs sarcastically) Kya joke tha bhaiyaa
(In a little hurt and serious mode) aap aise kaise keh sakte hai bhaiyaa aapko yaad hai maine bataya tha abhi aur mai gopi mask festival ke waqt udaipur main kaise mile?
Kairav: kuch badmash ladke tumhe pareshan kar rahe the aur isne tumhe bachaya
Akshu: exactly bhaiyaa, aap hi sochiye bhaiyaa, jiss insaan ne koi pehchaan na hoke bhi meri itni help ki aur utna hi nahi abhi ne mujhe ghaat pe akela nahi choda usne mujhe safely drop kiya hotel par aur pata hai tab usne kya kaha tha ki "chaliye mai aapko aapke parivar ke pass pohoncha deta hun" aur main jaanti hun vaha mere alava koi bhi ladki hoti toh bhi vo usse akela nahi chodta usse protect karta use apne family ke pass sahi salamat pohocha deta, l yeh hai mera abhi jo ladkiyon ki ijjat karna janta hai (Akshu saying this looking at abhi with so much respect and love and abhi gives a small smile to akshu with some happy tears in his eyes reminding there first meet in his mind) aur iska credit jaata hai manjiri maa ko jinhone abhi ko itni acchi parwarish di hai (manjiri looks proudfully to her both kids)
Aap hi soch ke bataiye bhaiyaa jo insaan mujhe jab nahi janta tha tab meri itni fikar karta tha joh insaan aaj bhi apni takleef chodke mere takleef kam karne ki koshish karta hai toh voh insaan meri jhoothi fikar,care kaise kar sakta hai ye joke nahi hai toh aur Kya hai bhiyaa.
K:(Kairav tries to say some thing) par akshu...
Akshu: meri baat khatam nahi huyi hai bhaiyaa aap kese Keh sakte ho mera abhi meri jhoothi care karta hai balki jabse abhi mere zindagi mai aaya hai usne har waqt mera khyal rakha hai har waqt mujhe pamper kiya hai mere nakhre uthaye hai mera usse dur jana bardaashat kiya hai par mujhe ek baar bhi takleef nahi di ulta kitni baar maine uska dil toda hai use pareshan karne ke liye vo mujhse nafrat kare uske liye maine kitna kuch kiya par usne kabhi mujhpe give up nahi kiya , gussa hota tha voh lekin kabhi main hurt ho jau aisa kuch bhi nahi kiya usne mehendi ke din usne mujhse choice karne ke liye kaha mere liye difficult tha par mera abhi mere baare main soch raha tha, vo mere liye humare poore ghar se, aapse lad pada bhaiyya. aisa pehli baar laga mere liye bhi koi hai joh mere liye lad sakta hai jisse main jo chahe vo bata sakti hun. I am sorry to say bhaiyaa par main humesha chahti thi aap mujhe support kare, aap mujhe samaje main ye nahi Keh rahi ki arohi se ladhiye meri side lijiye but meri side bhi samaj jaate (Kairav becomes numb after hearing akshu's words)
Aapko yaad hai bhaiyaa mai ghar vapas aayi thi aur interview ke baad hum garden main baithe the tabhi maine aapse kaha tha ki aru ki nafrat samaj sakti hun main par aap kyu nahi mujhe samaj paye jab mujhe ghar chodke jana pada kyun mujhe jaane diya aapne kyu nahi roka vansh bhaiya ne try kiya tha lekin shayad uss waqt aap aru ko samjhate toh ye haalat nahi hoti (Akshu saying with utmost crying abhi was about to hold her but she signs him she is okay) (abhi manjiri and even busy birlas also felt bad for akshu)
Tab maine aapse kaha tha aap mera dard kabhi nahi samaj payenge par vo samajega aur mera vo meri zindagi main aa chuka hai (she held abhi's hand) mera abhi jo har pal mujhe problems se protect karne ki koshish karta hai, mera dard bhi samajta hai aur mujhe bhi
Aur ek aur baat batau aapko duniya ke liye mera abhi gussewala hai, akdu hai par jab baat meri hoti hai chote bacchon ko jaise pyar se samjhate hai vaisi baat karta hai.(akshu chuckles) maa,Neil aur mujhse vo humesha softly behave karta hai yaad hai aapko bade papa ne bhi abhi ke baare main galat soch bana li thi lekin main unko kehti thi "mera abhi aisa nahi hai". aaj bade papa hi hai jo abhi ko sabse jyada pyar karte hai shayad mujhse bhi jyada (she smiles emotionally) and I hate to admit that but I love that (she chuckles and abhi smiles looking at her) aur rahi baat abhi aur meri kal ki narajagi ki toh I am sorry bhaiyaa par vo humare beech ki baatein hai aur abhi aur maa ne mujhe alert kiya tha mai hi nahi samaj payi aur maine maa aur abhi ka dil toda (manjiri and abhi nodded in no) uska gussa sahi tha bhaiyaa aur hum dono ne baat ki aaj ek dusre ke point of view samajke aur humne vo matter vahi close kar diya. Ye sab main aapko nahi batati par abhi ke liye aapne jo galat bola tha uska jawab dena zarrori ho gaya tha isliye plz bhaiyaa I request you agli baar bina kuch jaane abhi ko galat mat kehna main manti hun mai aapki behen hun aapko meri parwah hai par iska matlab ye nahi hai ki aap abhi se aise baat karo "koi bhi abhi se ulti seedhi baatein kare usse hurt kare uski galti na ho ke bhi ye mujhse bardaashat nahi hoga " chahe vo aap hi kyu na ho "I am sorry aapse aise rude aur badtmeezi se baat karne ke liye par maine kahi har baat ke liye mai sorry nahi kahungi"
(Kairav looks at abhira with guilt and abhi is overwhelm he remember when he and his sir started fighting her mother always takes side of his sir , but akshu defends him she choose him she fights for him his thoughts made him so happy )
Kairav: akshu mujhe maaf kar de pata nahi mujhe kya hogaya tha tujhe kal se udas dekh kar already pareshan tha aur to aur aaj subah jab tere bukhar ke baare main pata chala mera gussa abhimanyu ke liye badhta gaya maine shayad situation ko ek bhai ke point of view se socha isliye abhimanyu ka dard , narajagi mujhe samaj nahi aayi
Par tune sahi kaha jabse tu chali gayi thi mai tujhe miss karta tha par tere liye kabhi stand nahi liya maine, isliye ab jab teri shaadi ho gayi ,tujhe aur jyada miss karta hun aur shayad purani galatiyon ke wajah se tere liye possessive bhi ho gaya hu
(Kairav folded his hands towards abhimanyu, abhimanyu stopped him)
Abhimanyu: ye kya kar rahe hai aap? Plz ye mat kariye
Kairav : nahi abhimanyu, I am really sorry bahot ulta sidha bollaliya aur badtmeezi se behave kiya maine tumse bina baat jane conclusion pe pohochake overreact kar gaya ho sake toh mujhe maaf kardo
Abhimanyu: it's ok kairav jaise aap akshu ke bhai ho main bhi ek bhai hun isliye aapki pareshani samajta hun aapka aapki behen ke liye concern, darr samajta hun shayad mai aapki jagah hota toh shayad yehi karta par plz aap guilty feel mat kijiye
Kairav: (Kairav smiles a bit) par ek baat toh hai akshu bahot lucky hai ki usse tum mile uska vo usse mil gaya aur vo uska dard bhi samajta hai aur Dawa bhi karta hai, mumma papa' s yani kaira's princess is in safe hands jo main nahi kar paya vo tum Akshu ke liye karte ho, akshu ko finally vo khushi mili jisse vo deserve karti hai,(looking at akshu ) I am sorry too akshu mai tere baarein main thoda jyada possessive ho gaya
Akshu: it's ok bhaiyaa, mujhe yaad hai badi mumma ne kaha tha aapko krishna di mujhe godi mai leti thi mujhse khelti thi ye baat bilkul bhi bardaash nahi huyi aur aap ne mujhe chupane ka plan bana diya aur jab pata chala ki jiss box main aapne mujhe chupaya vo box galti se truck mai gaya hai aap bhi uss truck ke ander ghus gaye mere liye kisi ko naa batake aur phir jab main aankhe nahi khul rahi thi mumma papa mujhe hospital le jaa rahe the tabhi aapne mujh pe ganga jal chidak diya tha aur ganga maiyaa se pray kiya tha mere liye aur maine aankhe kholi thi tab sabse jyada khush aap hi the isliye aapke ye mujhe leke possessive hone wali baat ko acchi tarah se samajti hun
(All are looked at the sibilings duo with shocked expressions after hearing this incident)
isliye pehle mai chup thi par baad main (Akshu chuckles nervously)
Kairav: haa mujhe pata hai "meri behen mujhpe hi bhaari pad gayi, mendak sherni aur tadpole ki ye chotu sherni aaj apne sher ke liye apne tadpole bhaiyaa se lad padi" but I am happy for this tu bilkul mumma ki tarah hai aaj unki daant aur unka sherni roop sabki ek saath yaad dilayi tune (Kairav smiles a bit)
Manjiri: haa kairav beta yaad hai abhi ko jail jane se rokne ke liye kaise lad padi thi ye manish bhai sahab aur phir dadi ji kaha tha aaj mai kehti hun (manjiri cups her face and kissed her forhead) naira ji aur meri choti Sherni hai ye
(All smiles and abhi look overwhelming and proudly at akshu seeing her love and fight for him)
Harsh comes forward and pats akshu's head lovingly (he said in his mind)
Harsh: pata nahi kyu par aaj bahot proud feel ho raha hai akshu pe, ye ladki mujhe jaisi lagti hai vaisi hai nahi ye , isse ladna bhi aata hai aur aaj toh apne bhaiyaa se abhimanyu ke liye lad padi sach main kuch toh baat hai isme )
(Akshu smiles looking at harshwardhan and he realize everyone is watching him suspeciously)
Harsh: maine socha usse bahot alag ho tum kehna nahi chahiye par aaj kehne se khud ko rok nahi paaunga "I am proud of you akshu"
Akshu:(Akshu can't believe what she heard and then smiles and said) thank you Papa
(Harsh smiles and leaves from there)
Kairav: abhi,Akshu, auntie mai chalta hun tum dono ek dusre ka khyal rakhna isse pehele tumhari biwi phirse sherni mode pe aa jaye mai chalta hun
(Akshu whines like a child)
Akshu: bhaiyaaaaaa(she hugs him and he hugs her back happily)

THE END

AbhiRa OSWhere stories live. Discover now