"Mein kabhi aapsi nahi ban paungi"

3 0 0
                                    

Jab woh muskurati h toh gaalon par aayi un jhurriyon ko
Mene dekha hai,

Jab woh roti hai toh ankho ke cor se beh rahe aansuon ko uske neeche ke kaale gheron se phisalte
Maine dekha hai,

Kai Kai dafaa meri khushiyon k khaatir unhe apni khushiyan sacrifice krrte
Maine dekha hai,

Woh so called 'rishtedaar' chahe Jo bvhi kahe unki Surat k bare me lekin ek Chand ko uski roshni qurbaan krrte
Maine dekha hai,

Uss thake-haare chehre ke peeche se kabhi jhaankti Hui kitni hi murjha chuki khwahishon ko dafn hote
Maine dekha hai,

Woh ek 'Chaand' h, jisne apni chamak ko daav pe laga mujhe nikhara hai,
Apni har khwahishon ko bhool meri khwahish ko poora krte unhe
Maine dekha hai,

Main unki jagah khud ko kabhi imagine tak nhi kar sakti or shayad nahi Krna chahti... kitni selfish hu na??
Par bejhijhak apni pasand ko chod meri har pasand ka khayaal rakhte unhe
Maine dekha hai,

Thodi si egoistic thodi si emotional hu mein, isliye aapse face to face toh nhi keh paungi but I salute you "MUMMA"
Kyuki mein chahakar bhi
kabhi aapsi nhi ban paungi
Kabhi aapsi nhi ban paungi....🥺❣️

आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: May 26, 2022 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

Mumma❤️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें