Leaving Chavan Niwas

338 26 33
                                    

HELLO JEE

///////////////////////////////////////

All were sitting in hall with a tensed face and some were in fear as anger was clearly visible on Samrat face. Samrat went to check on pakhi and sat there near bed. After some hours she gets conscious. She sat holding her head as she saw samrat immediately hugged him and start crying.

P: samrat.....mujhe yaha nahi rehna please wapis chalo....yaha koi mujhe pasand nahi karta sab log sirf tane dete hai....tumhe pata unhone mujhe.....us....us

S: ssshhh...shant hojao....mujhe sab pata chalgaya hai...please ro nahi doctor ne mana kiya hai already tumhe abhi panic attack aaya tha stress lene ki wajah se

P: please chalo

S: acha ok.....hum chal rahe hai...hmm...mai tickets book karleta ho

P: nahi yaha se chalo aai baba ke ghar jakar karlenge lekin yaha nahi rukna mujhe

S: par

P: please

S: acha ok chalo

They did their packing and went downstairs. Seeing them coming mansi asked them

M: kaha jarahe ho tum dono aur patralekha beta tumhari tabiyat kaisi hai

P: mai theek ho aai.....aur hum wapis jarahe hai

M: aise achanak

S: aai mujhe urgently bula liya hai isley jana hoga

M: toh patralekha yaha chorde wo bad mai ajayegi

S: I am sorry aai lekin mai yeh nahi kar sakta....mai chand ghanto keliye bahar gaya toh yeh halat hogayi iski wapis chala gaya toh pata nahi kya hoga

A: humne konsa pahar tor diya hai zulum ka....aur jo bhi hua iski khud ki galti thi.....woh larka aya toh iske chakkar mai hi tha na

S(loudly): bass

Everyone gets shocked. As he shout for the first time and that to on his fav mami.

A: samrat

S: bas mami bahut bol liya apne aur bahut sun liya maine.....infact ap sabne bahut bol liya

So: yeh kya keh raha hai tu samrat

S: wahi keh raha ho mami jo sach hai.....bachapn se ajtak aplogo ne dikhaya toh hai ke aplog mujhe apna mante hai magar sach toh yeh hai ki aplogo ne kabhi apna mana nahi hai.....hamesha mujhe yahi feel hua ki mai bahar wala ho....bolta bhi toh kise....aai ko...jo khud mujhe kehti thi ke beta adjust karo hamara ghar nahi hai yeh....baba the nahi...aur jo baba jaise the woh itni jaldi chor kar chale gaye....tab kamzoor tha lekin ab nahi ho.....apni biwi ke liye stand an lesaku....isley kan khol kar sab sun le agar kisi ne bhi meri patni ke khilaf ek shabd bhi bola toh mai bhul jaunga mera kya rishta hai aplogo se....mai aplogo ka ehsan nahi bhul paunga lekin koi aisi harkat na kare jis se ap apni izzat khud girwale meri nazro mai

M: samrat yeh kis tarha ki bate kar raha hai tu

S: wahi bate aai jo hamesha se kehna chata tha magar keh nahi paya....isley aj boldiya

M: tameez se bat kar bare hai sab tumse...yahi sikhaya hai maine tujhe

S: ab tak tameez se hi bat kkar raha ho warna jaisi kam hai insab ke tameez bhul jani chahey thi mujhe

Bk: samrat kya hogayaa hai tujhe

A: is patralekha ne hi bhadkaya hai ise

S: mami maine kaha tha ek shabd mat boliyega meri biwi ke bare mai

So: samrat shant hoja....itna gussa acha nahi hota hai

S: kaise shant hojao mami aj tak apni zindagi mai apni marzi nahi chala paya ho mai hamesha wahi kiya jo sab chate the....isiley bas maine faisla kar liya hai mai jarha ho yaha se....aai apna saman pack kare aur chale mere sath

M: mai nahi jarahi tere sath....tune jis tarha aj sabse bat karri hai mujhe sharam arahi hai tujhe khudka beta kehne mai

S: aai

M: chala ja yaha se

Bk: mast ha mastt......aise kaise chala jayega yaha se.....parivar yaha hai aise kaise jayega chor kar

S: parivar...konsa parivar mujhe parivar mana kab hai.....aai ap chale please

M: boldiya na nahi jana

S: aai

M: chala ja yaha se

Samrat held pakhi hand and went towards door. Before going he take a last look at the whole house and then went out.

Bk: samrat patralekha

Sh: jane de vahini

B: are aise kaise jane de ghar ke bache galti karte hai toh unhe samjhate hai

So: ho na vahini...mansi tai apne unhe aise jane kyu diya...gusse mai hai woh abhi...sari zindagi parivar ke bagair kaise rahege

Sh: vahini undono ko kisi ke sath ki zaroorat nahi hai...un dono ka sath hi kafi hai ek dusre keliye.....abhi maine unke hath mai bana tattoo dekha.....woh jab hath milate hai tab complete hota hai....jinka tattoo ek dusre ke bagair adhura hai woh bhala ek dusre ke bagair kaise rahenge.....humne sirf milaya hai....jodi toh inki bappa ne hi banayi hai...yeh dono ek dusre ko sambhal lenge zindagi ke har mor par.....jaise aj tak sambhala hai kitni musibate jheli hai lkein hume bhanak tak nahi lagne di...yeh toh ek thi jo batai na jane kya kya hoga jo nahi bataya.....isiley keh rahi ho unhe hamare nahi ek dusre ke sath ki zaroorat hai

So: lekin 

Sh: abhi gusse mai hai...jab gussa shant hoga toh kuch waqt bad hum mana lenge unhe

Bk: yeh sab ashivini iski jungle bahu ki wajah se hua hai.....jis din se woh yaha ayi hai har waqt use tane deti hai

Samrakhi reached sailesh house and told them everything. They support them and asked them to stay here for somedays. Both went to her room. Samrat sat on sofa with a thud and start crying bitterly. Pakhi sat beside him and console him. He kept his head on her lap and slept in the same position

///////////////////////////////

THAT'S IT FOR TODAY.

BYE

Mai Hoon Sath TereWhere stories live. Discover now